Tuesday, August 7, 2018

Main har roz...

Main har roz apne Baap ki khushi ki wajah talasta hun...

Par dhund nahi pata hun ki aakhir kaun si khushi Khuda ne usko bakshi thi ki use apne Bete tak yaad nahi aaye... Yaad hi nahi raha ki uske do masoom, phool se Bete the...

Rab hi jaane... GuNn ko Khuda ne kaun si Daulat de di thi ki use RaJ yaad hi nahi raha... Kabhi puchana bhi munasib nahi samjha ki zinda ho sirf ya zindagi bhi jee rahe ho...

09 barson baad Bandi kehti hai... main "Worried" thi... Main sadke jawa tere "Worried" utte... Khudgarz Bandi... Maine kabhi koi Raat nahi beetne di tujhe pyar se sulaye bina... Aur tu sirf "Worried" thi... Jaane kaun si Jagir, Rutba mil gaya tha...

Main bas woh khushi dhundhna chahta hun jo Insaan ko khudgarz bana deti hai...

Pata nahi Khuda ne mujhe kaun si mitti ka banaya hai, mujhse khudgarzi hoti nahi... Kaash Rab mujhe bhi is dunia-e-jahan ke talluk-e-anusaar banata... Meri rooh mein bhi dunia-e-rang-o-hawaa bharta... Aisa banata ki main bhi is dunia ke hisaab-kitaab anuroop chal sakta...

#Romil Arora

No comments: