Saturday, August 4, 2018

Radio... Kishore Da Day hai Bangadu...

*Inteha ho gai intezaar ki...
Aai na kuch khabar mere yaar ki...
Yeh humein hai yakeen bewafa woh nahi...
Fir wajah kya hui intezaar ki..."

Main ga raha tha... Woh aaj Kishore Da ka din jo tha Bangadu...

Tumne peeche se kahan tha...
"Chale Hero... Yeh kaam kab se start kar diya gakar mangane ka..."

Maine jawab diya tha...
"Abhi-Abhi socha tumhare office se start karu... Lo pehla grahak mil bhi gaya, boni-batta bhi ho gaya...

Petrol bharwa do..."

Tumne kaha tha...
"Tumse lift lena gunah hai samjho... Chalo full karwa lo tank..."

Petrol bharwane ke baad...

Tumne pucha tha...
"Waise kya kar rahe the itne dair se office ke bahar... Andar aa jaate AC ki hawa hi kha lete..."

Maine jawab diya tha...
"AC na re... Eye_tonic le raha tha..." hahaha....

Tumne kaha tha...
"Dhakka de dungi gaddi par se... Qasam se... Waise office mein bhi batheri hai, wahan baithkar bhi le sakte the..."

Maine kahan tha...
"tumhe koi aur dekhe to jalta hai Dil...
badi mushkilon se fir sabhalta hai Dil...
kya-kya jatan karte hai tumhe kya bataye...
yeh Dil beqarar kitna yeh hum nahi jante...
Magar jee nahi sakte tumhare bina...

Humein tumse pyar kitna yeh hum nahi jante...
Magar jee nahi sakte tumhare bina..."

Tumne peeth pe haath maarte hue kahan tha...
"Yeh roadchhap Romeo banna band karo... Log dekh rahe hai Mr..."

Tabhi traffic police rok leti hai...
"Kahan hai Helmet..."

Maine kaha...
"Dikki mein... aur kahan..."

Traffic police...
"Chalo gaadi ke kaagaz lekar Saab ke pass jeep mein pahucho..."

Maine tumko Ishara karte hue kahan...
"No problem... Main phone karta hu..."

(Phone pe...)
Woh helmet nahi lagaya tha... Rok liya hai isne...

(Udhar se...)
Tu naam dekhkar bas bata de... Main khud call karti hu usko...

Traffic police thodi dair baad...
"Is number ki gaadi tumhari hai..."

Maine kahan...
"Yes Sir... Ji meri hai..."

Traffic police
"Order mila hai humko ki... Iska double challan kaato... Peeche ek Ladki bhi bina helmet ke baithi hogi uska bhi challan katana hai... Aur saath-saath written mein warning likhna next time helmet nahi to direct licence cancel... 

Full panelty thokana dono par..."

Tum haste hue gaana ga rahi thi...
"Golmaal hai sab Golmaal hai...
Seedhe raste ki yeh ulti hi chaal hai...
Golmaal hai bhai sab Golmaal hai...
Golmaal..."

"Chalo garma-garm Bhutta khilati hun... Aur karo phone... Phone karta hun..." hahaha..

Saath-Saath Traffic Police wale bhi hans rahe the...

- RaJ

No comments: