Thursday, September 27, 2018

Radio... Pyar ka dard hai... Bichade sabhi baari-baari...

Pyar ka dard hai... 
Meetha-Meetha Pyara-Pyara...
Yeh Haseen Dard Hi... 
Do Dilon Ka Sahara....

Radio sangeet bikher raha tha...

(Tum Gurudware ho aaye? Mujhe bhi le chalte?)

(Bahut door gaya tha... Yahan kareeb wale par nahi jaata, rishtedaar dekh jaate hai to khamkha uljhan hone lagti thi...

Aaj Maa ka Shradha tha, socha Rab se do-chaar baatein kar lu... Isliye tumko nahi le gaya tha... Waise bhi bahut samay ho gaya the Gurudware gaye hue...)

(Tumne bataya nahi, Maa ka Shradha tha... Kuch kiya bhi nahi.... Ab to raat ho gai... Bol dete to main kuch taiyaari kar leti...)

(Abhi haath thoda tang chal raha hai, jab hoga tab karunga... Keh diya hai Maa se...)

Radio apni dhun main baj raha tha...

"Are dekhi zamane ki yaari...
Bichade sabhi baari-baari..."

#SuNWrites

No comments: