Wednesday, November 7, 2018

ki rishtey ki doorie na toote...

koshishein tamam ki...
jatan bhi khoob kiye...
ki rishtey ki doorie na toote...

intezaar bhi khoob kiya...
sar bhi khoob jhukaya...
zamane ke taane... baatein bhi khoob suni...
prayas bhi kiya ki rishtey ki doorie na toote...

manufacturer ke saath unke sambandh ko bhi nazar andaaz kiya...
uske product ko bhi hamesha apne sa product samajhate rahe...
unki raaton ka hisaab bhi bhool gaye...
har sambhav talasha ki rishtey ki doorie na toote...

aise hi koi bewafa nahi hota.. 
aise hi koi gair ka nahi hota...
kasoor jaroor hamara hi raha hoga...
aise hi koi maa-baap tak nahi pahuchata...
beizzati nazar andaaz ki taki rishtey ki doorie na toote...

aur

"baat maa-baap tak aa jaye...
to beedh jaana chahiye..."

isliye rishta nahi joda tha ki maa-baap ko gaali khilau...
mujhko jo kehna hai khulke kaho... Chaho to poster; hording; banner; wall painting; newspaper advertise tak nikalwa do...
Bas mere dayere tak raho... Maa-Baap tak na pahucho...

#RaJWrites

No comments: