Thursday, November 1, 2018

Kuch waqt se...

Kuch waqt se greh-nashatra aise ban rahe hai ki prateet hota hai ki dunia banane wala chahta hai ki Hum, hungama kare...

1. Aaj Gomti Nagar gaye, Patrakaar Puram pe khayal aaya ki ek Rubber Stamp banwa le... Hum complex mein shop par gaye... Usko kaagaz par likh kar diya aur bas bola hi tha ki 'Bhaiya, 20/- Rupiya lagega banai ka ya 30/- Rupiya'.... Bhai Saheb, Bande ne meri aankhon ke samne kaagaz fhaad diya... Humne bola kaahe fhada? Bola Gusse mein '20/- Rupiya mein kya Rubber Stamp banti hai? 60/- Rupiya lagega...' Humne kahan yeh baat humse bol sakte the Kaagaz fhaadne ki kya jarurat thi???... Abhi pichale mahine hi tumse banwaya tha Rubber Stamp tab to 20/- hi liye the, yeh dekho bill... Banda bola 'Yeh single line ka bill hai, ab aap Gole stamp banwa rahe ho...' Humne kahan tumko jitna Rupiya chahiye tum Rubber Stamp banao, gussa mat dikho'...

Mann hua tha yahi isko maare aur hungama khada kare...

2. Hand watch ruk gai to socha chalo cell dalwa le... Dukaandaar se kahan cell daal do, 40/- rupiya ka cell hoga... Bola 'hum to 60/- ka cell dalte hai, 40/- wala koi nahi hai hamare pass... Fir 10/- wala cell hai...' Humne pucha 10/- wala kaun sa... Bola 'Deewar ghadi wala' Humne kahan woh Hand Watch mein kaise fit hoga? Banda bola 'woh aap jaano' Humne kahan tum 60/- wala daalo dimaag mat kaho...

Mann hua tha 20 thappad maare aur mazma khada kare...

3. Road par Gaadi to itni tez chalate hai jaise Bhagbaan ke Amitabh Bachchan ho aur ghar pe Hema Malini Chai banake taiyaar hai, jaise hi ghar ke gate pe pahuchenge Darwaza khol ke welcome karegi Inka... 

Beta Dekh lo apna WhatsApp kholke woh online lagi hui hai kisi ke saath... Dheere gaadi chalao...

Kuch bol do... To aisa mooh banate hai... Itni akad dikhate hai... Aankhein aise tarerne lagenge jaise Lucknow ke bahut bade baket, mafia hai... Nawab Sahab hai... Car se nikal kar ladne to turant taiyaar...

Mann hua tha ki Bike, Car mein baandh ke aag Laga de...

Hum to muskura ke reh jaate hai... Kuch bolte nahi hai.... Sir... Sir... Madam... Madam... Ji...  Ji... Karte rehte hai...

Par ab mehsus hota hai ki Apne Baap ki tarah Maa-Behan sek de... Maar-Kaat ke bahate rahe... Court-Kacheri mein 15-20 case chalte rahe apne... Tabhi theek hai... Seedhai ka waqt beet chala hai...

#SuNWrites

No comments: