Tuesday, November 27, 2018

Samajh hi nahi aata ki... Nai shuruwat kahan se kare...

Samajh hi nahi aata ki...
Nai shuruwat kahan se kare...
Kaun sa sirra pakad ke kheenche ki poori zindagi ki dori sulajh jaye...
Itni gaanthe padi hui hai ki suljhate-suljhate kahi maut ka na waqt kareeb aa jaye...

aur

yeh Satya hai...
Tumhare chakkar mein waqt bada jaaya chala gaya...
Ab sar patakne se koi fayda bhi nahi hoga...
Nai Roshani se kya fayda...
Jab Insaan hi andha hua baitha hai...
Pyar mein andha... hahahaha...

Rab Hi Jaane... Kya Hoga...

#RaJWrites

No comments: