Monday, December 31, 2018

AajKal...

Ghar ki dararon se hawaa ka jhonkha sarsarate hue jab kaano se guzarta hai...
Aisa lagta hai tumne koi pigaam bhejha hai...

Jab dhund... kohre.... ki parat mein koi jilmilata sa roshan hota diya dikhta hai...
Aisa lagta hai bas chand qadmon ki doorie pe hi tumhara basera hai...

aur

aajkal subah... khidki ke sheeshe pe bikhari hui oos pe main tumhara naam likhta hun...

aajkal... ek cup jyada chai... tumhare naam ki main khud pe leta hun...

nai jacket mein... main kaisa lag raha hun... tumhe yaad kar aaina se khud hi puch leta hun...

hahaha

#RaJWrites

2 comments:

Anonymous said...

Happy new year

ROMIL ARORA said...

Thanks...HNY 2 also HumTum...