Monday, December 3, 2018

Mujhe fark nahi padta kisi ke jeene... Kisi ke marr jaane se...

Mujhe fark nahi padta kisi ke jeene...
kisi ke marr jaane se...
Ab mere aansoo, aankhon ke raaste nikalte nahi, balki andhar-hi-andhar beh jaate hai...
Jaise jism ke andar hi Gupt Sangam sa ban gaya ho...

Main Shiva ko pujte-pujte Shiva sa ho gaya hun...
Jalti hui Chitaon ke beech mein baitha, cheekh-pukaar mein bhi apne Mann mein hi Magan Hun...

Shayad Maa ki maut ki wajah se aisa hua...
Baap ki maut ne upper se aur daab diya...
Ab rishton ki jarurat nahi mujhe...

#SuNWrites

No comments: