Wednesday, January 16, 2019

aap itne pareshan na ho...

aap itne pareshan na ho...
banda... sambhalte-sambhalte, sambhal jayega...
jism ka rishta hi to todha hai aapne, duaon ka to nahi...
banda...itne mein hi sukoon pa jayega...

door se hi sahi... rakhiye apni nazrein qaram...
meri udasiyon ka mausam bhi badal jayega...

khud hi saja liya karenge...mehfil-e-mohabbat...
kam se kam...dil-e-armaan hi nikal jayega...

aur

mere hone ya na hone se kya fark padta hai aapko...
aapki zindagi ka safar... badta hai... badta hi jayega...

Allah Reham kare...

#RaJWrites
#SuNWrites

No comments: