Friday, January 4, 2019

varaq dar varaq dastaan likhta rehta hun...

varaq dar varaq dastaan likhata rehta hun...
main apna dard kam likhta hun...
use yaad jyada karta hun...

mere marne ki dua qabool na ho saki...
isliye zindagi jeeta rehta hun...

aur

ek halki si...
dhundhali si...
matmaili si...
surat yaad hai uski...
bahut dino se Kohra bicha pada hai...

aur

umar bhar mein sirf ek baar aai hai mere shehar mein...
kisi raja-maharaja ki beti hai... ya...
aasmaan se koi utari Pari hai...

#Romil Arora

No comments: