Thursday, March 21, 2019

Chalo Jaan... Ab nahi hoga...

Chalo Jaan... Ab nahi hoga...

Dono Saale akad dikhate the...
Saasu Maa samjhati rehti thi, Sasur purani jhoole wali Kursi pe baithe badbadate the...

Chalo Jaan... Ab nahi hoga...

Rooti hui aawaz thi...
Ab nahi jayungi yeh baar-baar kehti thi...
Kehte the hamesha muskurata rakhunga...
Par roz kisi na kisi bahane rulate ho...
Bacche to mere pass hi rahenge...
Tum kyon nahi yahan se dafa ho jaate ho...
Andar qamre se yahi shabd bahar aate the...

Chalo Jaan... Ab nahi hoga...

Saalon ki biwi, Chai-biscuit lekar aati thi...
Aapas mein batiyati thi... 
"Yahi lad-jhad kar aai hogi...
Chali jaye Apne Shauhar ke saath... Warna roz isse hamari bhi ladai hogi..."

Dono Saale... Samman ke saath Juta Bhigo-Bheego ke marate the...
"Abhi aap jaiye, 3-4 mahine baad Didi ko bhejhenge...
Bacchon ke admission hum yahi karwa denge..."

Chalo Jaan... Ab nahi hoga...

Sasur... Purani dastaan liye badbadaya karte the...
"Main to kehta hi tha, love-pyar-ishq yeh sab kuch nahi hota...
Tab sabko Ladka bada aacha lagta tha...
Shaadi karengi to isi se karengi...
Meri koi us samay nahi sunta tha..."

Saasu Maa... Samjhati hi rehti thi...
Na jaane kaun-kaun si akal ki baatein batlati thi..."

Chalo Jaan... Ab nahi hoga...

Main wapas udas chehra...Dil mein Khushiyon ka samundar liye wapas aa jaata tha...
Azaad Shehanshah ki tarah Zindagi jeene lagta tha...

Par Kuch Dino Baad...
Jaise hi uski Nautanki khatam hoti thi...
Do din baad khud-ba-khud wapas aa jaati thi...
Mujhse Ladai-Jhagada kiye Bina woh reh hi nahi sakti thi...
Pyar bahut karti thi...

Sorry Jaan... Ab Nahi Hoga...

#Romil Arora

No comments: