Thursday, March 21, 2019

jab woh Angrezi mein mujhpar Git-Pit-Git-Pit karti hai...

jab woh Angrezi mein mujhpar Git-Pit-Git-Pit karti hai...
Main to chup-chaap sunta rehta hun,
Pados wali Bhabhiyan mujhpar hasti hai...

jab bhaag kar Ghar ke Kewaad ki Kundi kholati hai...
Haafti woh rehti hai...
Dhadkan meri jaise Rail ki Patri pe Train sarpat-sarpat daudati hai...

Is Holi pe naye Salwar-Suit lene ki zid pe roothi hui hai...
Kaun use samjhaye woh purane kapdon mein bhi Mumtaz si lagti hai...

aur

Woh toh hamesha Late hi kar deti hai...
Main usse Milne ke liye Waqt se pehle pahuch jata hun...
Fir chahe Band Ghadi hi Haathon Ki Kalai mein lapate hue hun...

#Romil

No comments: