Friday, March 15, 2019

Jis tarah waqt ke kaante ghum-fir ke wahi aa jaate hai...

Jis tarah waqt ke kaante ghum-fir ke wahi aa jaate hai...
Usi tarah hum bhi Saara Shehar, Haseeno ke Dar-o-Deewar ghum ke wapas tere Dar pe aa jaate hai...

Jis tarah yeh tareeke, mahine ke paar nahi jaati hai ... Usi mein saalon-saal uljhi reh jaati hai...
Usi tarah hum bhi Saalon-saal tumhi mein uljhe se pade rehte hai, tumse paar nahi ho paate hai...

Jis tarah hafta-dar-hafta din ghumate rehte hai...
Usi tarah hum bhi tere aage-peeche ghumate-firte rehte hai...

#Romil Arora

No comments: