Wednesday, May 15, 2019

Jaise Chhota-Mota Khuda aa gaya ho koi...

yeh tamboo...yeh phoolon ki mala... yeh aarti ki thali...yeh chandan tika...
log itne baichan ho jaate hai Neta ko dekhkar...
Jaise Chhota-Mota Khuda aa gaya ho koi...

kal wahan ek jhopadi thi...
haan... haan... kal us khaali plot mein ek jhopadi thi...
lagta hai nigal gaya usko ameerzaada koi...

aaj uski kalai suni dekhi...
kal jisme sone ke kangan the...
is mehangai mein aa gai hogi majboori nai koi...

aur

is tarah brahmachari ka andhera chhaya hai uski zindagi mein...
jaise Hanuman ban Suraj nigal gaya ho koi...

#Romil Arora

No comments: