Friday, July 5, 2019

Us Rab Par Bharosa Nahi...

Jo Masoom Bacche Ki Bhookhi Cheekhe Nahi Sun Sakta,
Us Rab Par Mujhe Bharosa Nahi...
*
Jo Kisi Majboor-Lachaar Ki Izzat Nahi Bacha Sakta,
Us Parwar-Digaar Par Mujhe Bharosa Nahi...
*
Jo Khada Dekhata Rehta Hai Apne Bande Ka Ghar Ujadte Hue,
Us Khuda Par Mujhe Bharosa Nahi...
*
Jiske Saamne Banta Hai Sacchai-Imandari Ka Tamasha Yaaron,
Us Kul-Maalik Par Mujhe Bharosa Nahi...
*
Jo Do Qadam Chalkar Mandir ki Seedhi Pe Baithe Beekhari ko Zindagi Jeena Nahi Sikha Sakta,
Us Rab Par Mujhe Bharosa Nahi....
*
Jo Do-Chaar Kitabein Likhwakar Samajhata hai... Uski Jimmedariyaan Poori Ho Gai...
Us Khuda Par Mujhe Bharosa Nahi...

#RoMiL

No comments: