Monday, April 6, 2020

Tumhare mizaz ke har mausam se wakif hun main...

Ammi Kehti Thi...

Tumhare mizaz ke har mausam se wakif hun main...
Ab batao kaun sa naya Qarnama kar diya tumne...

Chehare pe tumhare sukun-shanti-muskurahat bata rahi hai...
Aaj fir kisi ki baaton ko bardasht kar liya tumne...

Beta... Izzat, Swabhiman se bada koi Rishta nahi hota...
Aur chahe Beti ho ya fir Beta... Maa ka darwaza hamesha unke liye khula hi rehta...

#Romil

No comments: