Monday, April 23, 2018

Meri Chhoti si zindagi...

Meri zindagi Maa se shuru hoti hai...
GuNn pe aakar khatam ho jaati hai...

Beech mein ek Sundar sa padav aata hai Dost...
Jahan mein apni saari thakaan door kar leta hun...

Meri chhoti si zindagi...

#Romil

मेरी जिंदगी माँ से शुरू होती है... 
गुन पे आकर खत्म हो जाती है... 

बीच में एक सुंदर सा पड़ाव आता है दोस्त... 
जहां मैं अपनी सारी थकान दूर कर लेता हूँ... 

मेरी छोटी सी जिंदगी...

#रोमिल

Sunday, April 22, 2018

Bewajah hi Bewajah si baat ho gai...

Bewajah hi Bewajah si baat ho gai...
Tumse nazre kya ladi zindagi badnaam ho gai...

Shabdon ki kheechatani aisi hui...
Ki Labon pe matam ki raat ho gai...

Aksar milte ho... Nazre milate ho... Gumsum hamare qareeb se nikal jaate ho...
Aisi kya khata huzur humse ho gai...

aur

Dekh ke tumko ab lagne laga hai...
Jo Imarat rehti thi Buland ab Khandar ho gai...

#Romil Arora

Ghar Deep se nahi Mohabbat se Roshan hota hai...

Ghar Deep se nahi Mohabbat se Roshan hota hai...

- Romil RaJ

Mujhe bhi ab aarzoo nahi rahi tumhein niharne ki...

Tumhe aadat nahi rahi tasveer badalne ki...
Mujhe bhi ab aarzoo nahi rahi tumhein niharne ki...

Tumhe ab aadat nahi rahi meeti-meeti Kheer sa banne ki...
Mujhmein bhi ab teekhapan nahi raha Lal Mirchi ki...

Tumhe aadat nahi rahi humko padne ki
Humein bhi ab aadat nahi rahi tumko likhane ki...

Tumhe aadat nahi rahi humko yaad karne ki...
Mere ko bhi ab aadat nahi rahi tumko waqt-bewaqt tang karne ki...

#Romil

तुम्हें आदत नहीं रही तस्वीर बदलने की 
मुझे भी अब आरज़ू नहीं रही तुम्हें निहारने की... 

तुम्हें अब आदत नहीं रही मीठी-मीठी खीर सा बनने की
मुझमें भी अब तीखापन नहीं रहा लाल मिर्च की... 

तुम्हें आदत नहीं रही हमको पढ़ने की 
हमें भी अब आदत नहीं रही तुमको लिखने की... 

तुम्हें आदत नहीं रही हमको याद करने की 
मेरे को भी अब आदत नहीं रही तुमको वक्त-बेवक्त तंग करने की...

#रोमिल

Saturday, April 21, 2018

Kuch Deep aise bhi hai...

Kuch Deep aise bhi hai...
Jinpar dunia ki nazar nahi...
Khuda ne kuch amanatein hamare liye bhi chhod rakhi hai...

#Romil

कुछ दीप ऐसे भी है...
जिनपर दुनिया की नज़र नहीं...
ख़ुदा ने कुछ अमानतें हमारे लिए भी छोड़ रखी है...

#रोमिल

Sirf Apne hisse ki Roshani mangate hai...

Hum kahan Miya... Deep se uske Jalne ka hisaab mangate hai...
Hum to sirf apne hisse ki Roshani mangate hai...
Sirf Apne hisse ki Roshani mangate hai...

Khoob Jalo... Jalte Raho...

- Romil RaJ

Friday, April 20, 2018

Ajeeb doori se bandhe the dono...

Koi na Koi rishta to tha...
Tu mere liye Dua kehta...
Main tere liye Dua padta to tha...

Ajeeb doori se bandhe the dono...

Ladte... Jhagadte...
Kai dino tak baat nahi karte...
Magar dilo mein baaton ka gubbara to tha...

Ajeeb doori se bandhe the dono...

Na chhua kabhi...
Na kabhi koi raat mohabbat ki sang bitai...
Fir bhi rishta apna jeevansaathi sa to tha...

Ajeeb doori se bandhe the dono...

Ho sakta hai tumhari apni ho majbooriyan...
Hum bhi vaadon se firne walon mein nahi...
Par Rab chahta to koi na koi rasta nikal sakta to tha...

Ajeeb doori se bandhe the dono...

- RaJ

Thursday, April 19, 2018

Bharm...

Ik Bharm tha...

Main jise apna samajhta raha...
Woh kabhi mera tha hi nahi...
Ik dhund mein lipte gumnaam se insaan ko maine naam de rakkha tha...
Jiska koi astitva tha hi nahi...
Mujhe ek Bharm sa ho gaya tha...

Saalon mein jisse karta raha baatein...
Jiski baatein sunta raha...
Jisko dekha nahi kabhi tasveer ko sach maanta raha...
Kalpanao mein jise zinda karta raha...
Main ik Bharm mein jee raha tha...

Mujhe Ik Bharm tha...

#Romil Arora

Wednesday, April 18, 2018

Upvaas ke Naam pe...

Garibi Mitao... Aache din aane wale hai...
Singapore sa sehar... Germany si nadi...
Rab aise kasmo-vaadon se humein bachaye...

Upvaas ke naam pe
Chole-Bhature... Bread Pakoda... khaye...
Rab aise netao se humein bachaye...

Hawaii chhappal wala bhi karega Hawai Safar...
Bullet train khoob daudaye...
Metro viheen ho gaya aam aadmi, metro ke daam badate jaye...
Rab aise sapno se humein bachaye...

Juta-Moja pehne school mein garib bacche aache lagte hai...
Budhi Dadi bhi khoob mobile pe batiyàe...
Betiya railgadhi chalaye... Ladaku vimaan udaye...
Khel-Kud mein Bharat bhi Gold Medal liye timtimaye...
Rab aise Sundar din laaye...

- ⛅

Jism ke makaan mein saansein chal rahi hai.

Jism ke makaan mein saansein chal rahi hai...
Yaadon mein zindagi kat rahi hai...

Bojh is seene mein tamam dabe pade hai...
Jaag-Jaag kar yeh raatein kat rahi hai...

aur

Tareef ki thakaan mein rehta hai...
Abhi saath uske uski qismat chal rahi hai...

Insaan bada fhankaar nikala...
Labon pe hansi ka guldasta sajaye rehta hai, seene mein iske aag jal rahi hai...

- ⛅

Tuesday, April 17, 2018

Insaan mein emaan abhi zinda hai...

Dil-e-Khuddar abhi zinda hai...
Pyar abhi zinda hai...

Kudrat ne nawaza hai khud tumhein...
Insaniyat abhi zinda hai...

Deewarein bolti hai mujhse uski baatein...
Yeh makaan abhi zinda hai...

Buniyad iski bahut gehri nikali...
Yeh dariya abhi zinda hai...

aur

Udas log hi usko pasand hai shayad...
Yeh maskari-e-yaar abhi zinda hai...

aur

Bhookh ne maar diya use par woh Roti chori kar na kha saka...
Insaan mein emaan abhi zinda hai...

#Romil Arora