Tuesday, June 26, 2018

Real Timepass... Panj rupiya... Chori...

Autowala - Panj (5) rupiye di ta gal hai... De do na Veere... Tusi ta chaali-petali (40-45) di umar ke ta honge...

Romil - Moye, Marjaane... Main ta abhi Bee (20) da haan... Ab ta main nai dena tune Panj rupiya... 

(2)

Choori salesman - Bhai Sahib, Saali, Gharwale ke liye le lijiye na...

Romil - Dono nahi hai...

Choori Salesman - To Bahaarwali ke liye le lijiye...

Romil - Woh bhi nahi hai... Kaho to khud pehan le...

hehehe

Saturday, June 23, 2018

tumhein duaon ka asar nahi maloom... Malum...

Janaab...

kahan uska pata-thikana maloom...
humein to apna hi ghar nahi malum...

kabhi na kabhi to tootkar giregi meri baahon mein...
tumhein duaon ka asar nahi maloom...

Safar mein hun... Magar khayal mein uske...
Tum Manzil puchate ho, 
Tum Manzil puchate ho, yahan rahein nahi malum...

aur

Muskurane mein kaun si jageerein kharch ho jaani hai...
Tumhein mere seene mein dabe zakhm nahi maloom...

#Romil

जनाब... 

कहां उसका पता-ठिकाना मालूम 
हमें तो अपना ही घर नहीं मालूम... 

कभी ना कभी तो टूटकर गिरेगी मेरी बाहों में... 
तुम्हें दुआओं का असर नहीं मालूम... 

सफर में हूं मगर ख्याल में उसके... 
तुम मंजिल पूछती हो... 
तुम मंजिल पूछती हो... 
यहां राहें नहीं मालूम... 

और 

मुस्कुराने में कौन सी जागीरें खर्च हो जानी है... 
तुम्हें मेरे सीने में दबे जख्म नहीं मालूम...

#रोमिल

Friday, June 22, 2018

Main jisse rishta todta hun to tod deta hun...

Main jisse rishta todta hun to tod deta hun..
Main jiska saath chhodta hun to chhod deta hun...

Hai meri nafraton mein bhi itni imandari...
Main jisse nafrat bhi karta hun to Dil Se karta hun...

Jisse rishta todta hun to tod deta hun...

-  ⛅

Vah dheer vyakti jo...

Vah dheer vyakti jo vaani ke vegh ko, 
mann ki maango ko, krodh ki kiryao ko tatha jeebh, udar evam jannedriyon ke vegho ko sehan kar sakta hai, 
vah saare sansar mein shisya banne yogya hai.

"vaacho vegam mansah krodh-vegam
Jehba-vegh-mudaropasth vegam.
Aetaan-vegham yo vishhet dheerh,
Sarvampeemam prithivim sa sisyaath."

Saleeka... Tareeka...

shabdon ko kaagaz pe utarne ka saleeka bhool gaya...
woh shaks jeene ka tareeka bhool gaya...

is tarah andar hi andar udhad chuka hai...
woh rishton ko seene ka tareeka bhool gaya...

main use samjau bhi to kaise
main use samjau bhi to kaise
woh baaton ko sunne ka saleeka bhool gaya...

aur

saza dun to isko kis baat ki dun...
samajh nahi aata...
saza dun to isko kis wajah se dun...
yeh khud mein hi qaid hokar reh gaya...

#Romil

शब्दों को कागज पर उतारने का तरीका भूल गया 
वो शख्स जीने का तरीका भूल गया... 

इस तरह अंदर ही अंदर उधड़ चुका है 
वो रिश्तो को सीने का तरीका भूल गया... 

मैं उसे समझाऊं भी तो कैसे 
मैं उसे समझाऊं भी तो कैसे
वह बातों को सुनने का तरीका भूल गया... 

और 

सजा दूं तो इसको किस बात की दूं 
समझ नहीं आता... 
सजा दूं तो इसको किस वजह से दूं 
यह खुद में ही कैद होकर रह गया...

#रोमिल

Labon...

Jo maine labon se khamoshi utaar di...
Na jaane kitno ke cheharon se naqaab utar jayenge...

Bolne se khud ko rok rakha hai maine...
Warna tumhare bhi zakhm Hare ho jayenge...

Mere shabr ka imtehaan mat lo...
Lo labon ke baandh toote to na jaane kitne ismein beh jayenge..

aur

Khayal rahe...

Yeh juban ab raat bhar tumhare kaano mein mohabbat ke nagme nahi gaati...
Naye sire se juban ko dhaar di hai maine.

sharafat utaar di hai maine...
mohabbat utaar di hai maine...

#Romil

जो मैंने लबों से खामोशी उतार दी... 
ना जाने कितनों के चेहरों से नकाब उतर जाएंगे... 

बोलने से खुद को रोक रखा है मैंने... 
वरना तुम्हारे भी जख्म हरे हो जाएंगे... 

मेरे सब्र का इम्तिहान मत लो... 
जो लबों के बाँध टूटे तो न जाने कितने इसमें बह जाएंगे... 

ख्याल रहे... 

यह जुबान अब रात भर तुम्हारे कानों में मोहब्बत के नगमे नहीं गाती... 
नए सिरे से जुबान को धार दी है मैंने... 

शराफत उतार दी है मैंने... 
मोहब्बत उतर दी है मैंने... 

#रोमिल

Thursday, June 21, 2018

Haawaon ne gunah kiya tha...

Haawaon ne gunah kiya tha...
Garib ka ghar fhuk diya tha...

Log Deep ko ilzaam dene lage...
Us bechare ne to jal kar Ujiyala kiya tha...

aur

Dheere... Dheere...
Dheere... Dheere...
2-4 dino mein...
Aadat pad jaati hai...
Aadat pad hi jaati hai...

Tanhai bhi apni si lagne lagti hai...

- ⛅

hum to purani duniya... purane daur ke hai...

hum to purani duniya... purane daur ke hai...
ishq ko saudebaazi nahi, ishq hi samajhate hai...

jiske saath Rab ne bana di Jodi...
Usi ke saath zindagi beeta dete hai...
Zakhm laakh mile...
Na uff karte hai... Na kisi ko kuch batate hai...
Bas labon ko muskaan se sajaye rehte hai...

hum to purani duniya... purane daur ke hai...

pani matke ka peete hai...
chatai bichakar zameen pe sote hai...

mehlon ki khawaish nahi humko...
jhopadi mein girdhar gopal ko baithate hai...

chidiyon ko dana dalte hai,
cheentiyon ko gur khilate hai...

hum to purani duniya... purane daur ke hai...

aam ko chhus kar hi khaate hai...
daal-chawal ko haaton se khaate hai...

ram-ram bhajte hai...
ram ki kahani gaate hai...
maut ke intezaar mein zindagi bitate hai...

hum to purani duniya... purane daur ke hai...
Ishq ko saudebaazi nahi, ishq hi samajhate hai...

- raj

Pehle zakhmo ko khud hi kuredate hai...

Pehle zakhmo ko khud hi kuredate hai...
Fir hum unhi zakhmo ke lahoo se teri tasveerein banate hai...

Jism kar diya katra-katra...channi-channi...
Par rooh uska naam pukarti rahi...
Jaane kaise log hai yeh,
Haawaon ke pairon mein zanzeerein dalte hai...

Main aaj bhi Mohabbat-e-Gultasta banata hun...
Woh log aaj bhi nafratein batate hai...

aur

Kyon badal jaata hai insaan, main samajhane laga hun...
Log har cheez ko aajkal daulat ke tarazu mein taulate hai...

- Romil RaJ

aye meri jaan... tu na ho pareshan...

naaz kehti hai...

Sultan... "aye meri jaan... 
tu na ho paresha,
koi bhi shaitan, tujhe chhoo na payega,
kar dungi katleaam...
macha dungi kohraam...
koi bhi shaitan, tujhe chhoo na payega...

aye meri jaan...
tu na ho pareshan..."

- Sultan...

"jab hum rooh ko jism se dabooch ke kheechate hai, tab bhi Reham nahi karte...
chahe koi jism kitna bhi tadpe, cheekhe, dahaade...
Par na jaane kyon Sultan tere tiye aankhon se aansoo nikal aate hai..."

"Jannat mein tere liye jagah to pehle se hi pakki hai Sultan...
Main to har roz us qaynaat-e-rab se tere liye ek jahaan mangati hun..."

"Sultan... kal parwardigar se boli tere liye...
Ise maut de de mere Shehanshah...
Aawaz aai... Abhi kuch purane hisaab-kitaab baaki hai iske...
baar-baar ise kabr mein dalna, fir jilana waajib na hoga...
ise isi zindagi mein sab aafatein bhugat lene de..."

" 6 dino mein dunia-e-jahan banane wala Rehmaan...
tere liye palak jhapakte hi khusiyon ki jhadi laga sakta hai...
Par yeh ladai... sirf Arsh se Farsh tak ki hi nahi..
Sultan... Rab se Rab banne tak hai...
aur
main dil-e-jaan se tujhe Rab bante dekhna chahti hun..."

"Par aisa na ho jaye...
Rab banne ke chakkar mein tum Insaan hi na raho... Sultan..."

- Sultan