Thursday, May 29, 2008

Batao Maa...

Batao Maa...

Maa, Rab ke dar par main bhi sar jhukati hun,
uski bandagi mein, main bhi char-chand lagati hun,
uski rehmat pane ke liye main bhi vrat rakhati hun,

Papa ki tabiyat kharab hone par main hi unko dava pilati hun,
Tera bhi to main choke (kitchen) mein haath batati hun,

Har kamzor, majboor ko sahara main deti hun,
Rab ki bandagi ka aur Beti ka farz 
ba-khubhi nibhati hun,

fir tu bata Maa!

Mujhe kyon tum ladko se kam samajhati ho?

Batao Maa, mujhe kyon tum ladko se kam samajhati ho!

#Romil

बताओ मां... 

माँ के दर पर मैं भी सर झुकती हूं 
उसकी बंदगी में मैं भी चार-चांद लगाती हूं 
उसकी रहमत पाने के लिए मैं भी व्रत रखती हूं...

पापा की तबीयत खराब होने पर मैं ही उनको दवा पिलाती हूं 
तेरा भी तो मैं चौके में हाथ बताती हूं... 

हर कमजोर, मजबूर को सहारा मैं देती हूं 
रब की बंदगी का और बेटी का फर्ज़ बाखूबी निभाती हूं... 

फिर तू बता माँ! 

मुझे क्यों तुम लड़कों से कम समझती हो?

बताओ माँ, मुझे क्यों तुम लड़कों से कम समझती हो?

#रोमिल

"kuch dil se....."

"kuch dil se....."

Tere bare mein kyon sochata hu,
yeh to mujhe bhi nahi pata,
gar kabhi Khuda mila to usse jarur puchunga!


Surat par qurbaan hone walon mein hum nahi,
Isliye shayad mohabbat par yakeen rakhate hai,
kabhi fursat ho to dil laga lena,
hum bhi sanam dil rakhate hai!


Tumse mohabbat na ki hoti,
To shayad main bhi muskuraya hota,
Andhere mujhe na pasand hote,
Gar tumne roshani ko gale lagaya hota!

Ret mein rehne walon ko paani ki aas hoti hai,
Zindagi se haarne walon ko dua ki aas hoti hai,
Jab udaas ho mann tera, mere pass aa jana,
Kyonki har diljale ko kisi ke sahara ki aas hote hai!


Mera tujh par haq hai us Khuda se jyada,
Uski ibadat karta hu, isliye main kuch jyada,
Woh Khuda bhi tujhe kaise mujhse cheen sakta hai,
Kyonki us Khuda se teri zarurat hai mujhe jyada!


Dil ke darwaze bandh the to dastak di,
tum aa gaye leke chahat ki har khushi,
dil aaj se hamara ghar hua hai tumhara,
woh hua pehle jo na hua!

Haqiqat hai ya afsana, kuchh nahi jaante hum…
HITLER pe lo aa ruka hai is dil ka yeh safar,
manzil thi saamne par hum the bekhabar,
thi HITLER ke dil pe kabse yeh nazar,
khamosh mohobbat aakhir kar aayi aasar,
HUM ko to kab se yeh ikraar hai...
HUM ko to SIRF HITLER SE PYAAR HAI!


Haan........ is ghadi ka intezaar tha humko,
aao hum de ek dua zara TUMKO,
"Ki Rakhe Door Khuda Tumse Duniya Ke Har Gham Ko"
HUM Ko To Kabse Yeh Ikraar Hai...
Ki Sirf Tumse Hi Pyaar Hai...
Ki Sirf HITLER se Pyaar Hai...!


[written by romil arora - copyright reserved]

"Taiye Kar Tujhe Kya Karna Hai"

"Taiye Kar Tujhe Kya Karna Hai"

Taiye kar tujhe kya karna hai,
zamane ke saath chalna hai ya zamane ko apne saath chalna hai,
duniya ki berukhi se tujhe kyon dar lagta hai,
jab khuda ke sajde mein sar apna jhukana hai...
khud mein gar sachai hai, to yeh zamana tera hoga,
aaj koi na ho tere sang, par kal zamana tera hoga...
Taiye kar tujhe kya karna hai!

#Romil

Kis Tarah Tadpa Hun Teri Yaadon Mein

"Kis Tarah Tadpa Hun Teri Yaadon Mein"

kis tarah tadpa hun teri yaadon mein,
mere doston se pucho!

mere dard bhare aansoo ki kahani,
meri hasraton se pucho!

raat bhar jaga hun tere intezaar mein, mere sapno ki barbadi ki kahani,
mere saayon se pucho!

kis tarah ghumta firta hun tera naam lekar main sadko par,
mere pagalpan ki dastan mere shehar walon se pucho!

kis tarah tadpa hun teri yaadon mein,
mere doston se pucho!

#Romil

किस तरह तडफा हूँ तेरी यादों में,
मेरे दोस्तों से पूछो!

मेरे दर्द भरे आंसू की कहानी,
मेरे हसरतों से पूछो!

रात भर जगा हूँ तेरे इंतज़ार में,
मेरे सपनो की बर्बादी की कहानी,
मेरे सायों से पूछो!

किस तरह घूमता फिरता हूँ तेरा नाम लेकर मैं सड़को पर,
मेरे पागलपन की दास्तान मेरे शहर वालों से पूछो !

किस तरह तडफा हूँ रोमिल तेरी यादों में,
मेरे दोस्तों से पूछो!

#रोमिल

Wednesday, May 28, 2008

Sirf mere jaisa ho... Jo bilkul tere jaisa ho...

"Sirf mere jaisa ho... 
Jo bilkul tere jaisa ho"

"Na woh khuda ho,
Na wo khuda jaisa ho,
Na woh farista ho,
Na woh fariste jaisa ho,
Mujhe talash hai us ki jo maire jaisa ho,
Sirf maire jaisa ho
Sirf maire jaisa ho"

Maire shehar mein koi aisa ho,
Jo bilkul tere jaisa ho,
Jiske ehsaas se mera dil dhad
ke,
Wo shaks tere jaisa ho,
Jo baat-baat par mujhe rulaye,
Jo baat-baat par mujhe hasaye,
Uski aankon mein pyaar ka basera ho,
Jo bilkul tere jaisa ho.

#Romil

"TABHI TO YEH ZAMANA BADLEGA"


"TABHI TO YEH ZAMANA BADLEGA"

Tu chup reh kar, jo sehti rahe,
to kya yeh zamana badala hai,
tu bolegi, jab apna moouh kholegi,
tabhi to yeh zamana badlega,

Yeh parda tumhara kaisa hai,
kya yeh mazhab ka hissa hai,
kiska mazhab kaisa parda,
Yeh sab mardo ka kissa hai.

Aawaz utha, kadmo ko mila,
raftar zaara kuch aur baada,
khuda ki kasam, rabb ki kasam,
yeh tana-bana badlega,

TU KHUD KO BADAL,
TU KHUD KO BADAL,
TABHI TO YEH ZAMANA BADLEGA.
[INSPIRED. written by romil arora - copyright reserved]

Beautiful 2 Lines

Beautiful 2 Lines...
खूबसूरत दो लाइन्स...

"Roz logon ke janaze (maut) dekhta hu, 
fir bhi mujhe apni maut ka yakeen aata nahi"
रोज लोगों के जनाजे (मौत) देखता हूं, 
फिर भी मुझे अपनी मौत का यकीन आता नहीं...

"Himmat karne walon ki kabhi haar nahi hoti, lehron se darr kar kabhi naiya paar nahi hoti"
हिम्मत करने वालों की कभी हार नहीं होती, 
लहरों से डरकर कभी नैय्या पार नहीं होती...

"rab se poochunga, kabhi fursat mile,
deta hai kyon aansoo har khushi ke baad"
रब से पूछूंगा कभी फुर्सत मिले, 
देता है क्यों आंसू हर खुशी के बाद...

#Romil
#रोमिल