Tuesday, June 10, 2008

kyon mujhe sapno ki aadat dalate ho.....

kyon mujhe sapno ki aadat dalate ho.....

“Sapno se shikayat nahi mujhe,
Jab aankhon main neend na ho,
Aapno se shikayat nahi mujhe,
Jab koi aapna na ho,
Tum gair ho kar bhi mujhe aapno ka ehsaas dilati ho,
Yeh pata hai mujhe jhod jayoge wahi chowrahe par,
kyon mujhe sapno ki aadat dalate ho”
[written by romil arora - copyright reserved]

Main Hoon...

Main Hoon...

“Tere daman mein phool hai,
tujhe kaanton ka ehsaas nahi,
mere daman mein kaante hai,
mujhe phoolo ka ehsaas nahi,
tujhe hasne se hi fursat nahi milti
aur ek main hoon jise muskurahat ka bhi ehsaas nahi”

“Shoharat kabhi naseeb nahi hui mujhe,
mera jalalat ne kabhi peecha na choda,
main ek gum hoon us saahil ka,
jise samundar ne bhi pyasa choda" 

#Romil

मैं हूं... 

तेरे दामन में फूल है, 
तुझे कांटों का एहसास नहीं,
मेरे दामन में कांटे हैं, 
मुझे फूलों का एहसास नहीं... 

तुझे हँसने से भी ही फुर्सत नहीं मिलती,
और एक मैं हूं जिसे मुस्कुराहट का भी एहसास नहीं... 

शोहरत कभी नसीब नहीं हुई मुझे,
मेरा जलालत ने कभी पीछा ना छोड़ा,
मैं एक गम हूं उस साहिल का, 
जिसे समंदर ने भी प्यासा छोड़ा...

#रोमिल

Dil se alfaaz.....


Dil se alfaaz.....

“Dard ko tum aapne muskurahat bana lo,

Har zakhm ko tum apni pehchan bana lo,

Phir dekho na jhuk jaye yeh aasman,

tum aapni udaan ko aur ucha bana lo”


“Apno ka gum sabhi ko hota hai,

kabhi gairo se bhi mohabbat karke dekho,

zakhm tumhara hum bhar denge kabhi humse bhi izhar karke dekho”



“Main wo naav hu jiska koi saahil nahi,

Main wo panshi hu, jiska koi ghosala nahi,

Mujhe kya koi pyaar karege,

Main wo diya hu, jis diye main tail nahi”


"Naam main kya rakha hai naam to ek din kho jayega,

Majnu koi bhi ho uska naam laila ke baad hi aayega"


"Har khata par wo hamari mushkurate hai,

zalim zamane main aaise bhi dost hote hai"

[written by romil arora - copyright reserved]

dil se alfaaz...


dil se alfaaz...
दिल से अल्फाज...

"Har baar sochata hu ki dost ki dar par na jau,
magar mera maan tere dar par hi aakar marna chahata hai,
aur tu bhi zalim hai dost, baar-baar zakhm dekar zinda chod deta hai"

हर बार सोचता हूं कि दोस्त के दर पर ना जाऊं 
मगर मेरा मन तेरे दर पर ही आकर मारना चाहता है, 
और तू भी जालिम है दोस्त, बार-बार जख्म देकर जिंदा छोड़ देता है...

“BAHUT MIL JATE HAI,
PYAR KARNE KO,
MAGAR KOI DOST NAHI MILTA,
DO PAL GUM BATNE KO”
बहुत मिल जाते हैं प्यार करने को... 
मगर कोई दोस्त नहीं मिलता दो पल ग़म बांटने को...

“Mohabbat, Mohabbat Hi Hoti Hai,
Khanjar Nahi,
Yeh Alag Baat Hai,
Log Mohabbat Ke Zakhm Ko Nasur Bana Dete Hai”
मोहब्बत, मोहब्बत ही होती है खंजर नहीं, 
यह अलग बात है, 
लोग मोहब्बत के जख्म को नासूर बना देते है...

"Na samajhana humko dost,
tere dil ko dhokha hoga,
main hu us talab ka keechad,
haath daloge to tumhara hi haath ganda hoga"
ना समझना हमको दोस्त, 
तेरे दिल को धोखा होगा, 
मैं हूं उस तालाब का कीचड़ 
हाथ डालोगे तो तुम्हारा ही हाथ गंदा होगा...

#Romil
#रोमिल

Mujhe Bhulana Nahi.......


Mujhe Bhulana Nahi.......


Tu khushi main na bulaye mujhe yeh teri marzi hai,

magar gum main bulana tu bhulana nahi.

tere hooton par jab haanshi ho tab na mujhe yaad kare
yeh teri marzi hai,

magar aankhon main jab aanshoo aaye tab mujhe bhulana nahi.

koi jab tumhe pyar kare tab na mujhe yaad kare yeh teri marzi hai,

magar jab tumhara koi dil toodh de to mujhe bhulana nahi.

jab koi tumhara sapna pura ho jaye tab na mujhe yaad kare yeh teri marzi hai,

magar jab tumhara koi sapna bikhar jaye to mujhe bhulana nahi.

[written by romil arora - copyright reserved]

dil se alfaaz...


dil se alfaaz...


"Khudha tumse naraz hai,
har apna tumhara dushman hain,
wo sab tumse jalte hain,
kyonki ek aacha ka dil tumhare paas hain"


"Bahut gum hai is zindagi main,
hamesha muskurate raho,
humsafar aur bhi mil jayenge huzur,
bas tum apne kadam barate raho,
jo rukh gaye tum,
to tumhari haal bhi us Jheel ke paani ke tarah hoga,
jo kamal ko khilane ke baad bhi kisi insaan ke kaam na aa saka"


"O bewafa mujhe kehne wale,
jara apne dil main jhak kar dekh,
wafa kab ki the maine jo tune mujhe bewafa samjha"
“Aisa laga ki woh apna haal - e - dil likh rahe hai,
magar jab khat padha to laga wo hamara haal - e - dil bata rahe hai”
[written by romil arora - copyright reserved]

Saturday, June 7, 2008

Tera-Mera Rishte Duniya Ko Batlati Rahenge!

Tera-Mera Rishte Duniya Ko Batlati Rahenge!

Na Rahe Hum,
Magar Yeh Kavitaiyen Jarur Hamara Ehsaas Duniya Ko Karati Rahenge,
Hamare Pyar Ki Kahani Duniya Ko Batlati Rahenge!

Yeh Khamosh Kaagaz Ke Tukade Hai,
Magar Yeh Mohabbat Ka Sehlab Laati Rahengi,
Yeh Ehsaas Kisi Na Kisi Ke Dil Main Jarur Jagati Rahengi,
Fhir Koiye Pyar Ke Liye Jiyega,
Hum Na Rahe,
Yeh Maire Kavitaiyen, Pyar Karna Sikhate Rahenge!

Yeh Maire Kavitaiyen Jarur Hamara Ehsaas Duniya Ko Karati Rahenge,
Tera-Mera Rishte Duniya Ko Batlati Rahenge!
[written by romil arora - copyright reserved]