Wednesday, June 25, 2008

mujhe is jahan se chale jana hai....

 

mujhe is jahan se chale jana hai...

Sapno mein khokar, sapno se door chale jana hai,
mujhe is jahan se chale jana hai....

Gamo ko bhool kar ab bas mujhe muskurana hai,
mujhe is jahan se chale jana hai....

Na koi mera na,
Na kisi se ab koi mujhe rishta nibhana hai,
mujhe is jahan se chale jana hai....

Sari yaadon ko bahakar aansoo mein,
chand par ek yaadon ka gharaunda banana hai,
mujhe is jahan se chale jana hai....

#Romil

मुझे इस जहां से चले जाना है...

सपनों में खोकर, सपनो से दूर चले जाना है...
मुझे इस जहां से चले जाना है...

ग़मो को भूलकर अब बस मुझे मुस्कुराना है...
मुझे इस जहां से चले जाना है...

ना कोई मेरा ना,
ना किसी से अब कोई मुझे रिश्ता निभाना है...
मुझे इस जहां से चले जाना है...

सारी यादों को बहाकर आँसू में,
चाँद पर एक यादों का घरौंदा बनाना है...
मुझे इस जहां से चले जाना है...

#रोमिल

Monday, June 23, 2008

Na jaane woh kyon?


Na jaane woh kyon?

Jis par aitbaar rehta hai khud se jyada,
Na jaane woh kyon daaga de jaata hai...

Jis par pyar rehta hai jahaan se jyada,
Na jaane woh kyon bewafa ban jaata hai...

Jis par rehta hai aitbaar woh umar bhar saath rahega,
Na jaane woh kyon beech raahon main chod jaata hai...

Jise dete hai hum dil ka tohfa,
Na jaane woh kyon dil par zakhm de jaata hai...

#Romil

न जाने वह क्यों? 

जिस पर एतबार रहता है ख़ुद से ज्यादा 
न जाने वो क्यों दगा दे जाता है...

जिस पर प्यार रहता है जहां से ज्यादा 
न जाने वो क्यों बेवफा बन जाता है... 

जिस पर रहता है ऐतबार उम्रभर साथ रहेगा 
ना जाने वो क्यों बीच राहों में छोड़ जाता है... 

जिसे देते हैं हम दिल का तोहफा 
ना जाने वो क्यों दिल पर जख्म दे जाता है...

#रोमिल

Kaun mera hai jo mere saath chalega.

Kaun mera hai jo mere saath chalega 

Mere dil-e-halaat kaun sunega,
Kaun mera hai jo mere saath chalega.

Khawab barbaad jo hue hai mere,
Unko kaun poora karega,
Kaun mera hai jo mere saath chalega.

Kitabon ke panne mein jo likhe the armaan,
Woh sab waqt ki barsaton mein dhul gaye hai,
Kaun unko fir likhega,
Kaun mera hai jo mere saath chalega.

Is shehar mein kitne chehre the,
Sab ajnabi ban gaye hai,
Kaun mujhe fir apna kahega,
Kaun mera hai jo mere saath chalega.

#Romil

कौन मेरा है जो मेरे साथ चलेगा... 

मेरे दिल-ए-हालात कौन सुनेगा 
कौन मेरा है जो मेरे साथ चलेगा... 

ख़्वाब बर्बाद जो हुए हैं मेरे 
उनको कौन पूरा करेगा 
कौन मेरा है जो मेरे साथ चलेगा... 

किताबों के पन्ने में जो लिखे थे अरमान
वो सब बरसातों में धुल गए है 
कौन उनको फिर लिखेगा 
कौन मेरा है जो मेरे साथ चलेगा... 

इस शहर में कितने चेहरे थे 
सब अजनबी बन गए हैं 
कौन मुझे फिर अपना कहेगा 
कौन मेरा है जो मेरे साथ चलेगा...

#रोमिल

Sunday, June 22, 2008

aur main raat bhar jaagta raha.

aur main raat bhar jaagta raha...

Raat mein neend aane se pehle tumhara khayal aaya,
aur main raat bhar jaagta raha.

Kuch toothe hue khawab,
Kuch bethi hui baatein yaad aai,
aur main raat bhar jaagta raha...

Kuch baatein bhuli hui,
Kuch baatein, khayalon mein lipti hui, yaad aai,
aur main raat bhar jaagta raha...

Barsaat ke mausam mein,
Bekarari ke aalam mein,
Tanhai mein,
Khud-ba-khud sapne bunta hua,
aur main raat bhar jaagta raha...

Kuch pal sochata, fir muskurata,
Tumse pyar kiya,
Tumhara haath, haaton mein thama raha,
aur baahon mein tumko bharkar main so gaya...

#Romil

और मैं रात भर जागता रहा...

रात में कुछ नींद आने से पहले तुम्हारा ख्याल आया 
और मैं रात भर जागता रहा...

कुछ टूटे हुए ख्वाब, कुछ बीती हुई बातें याद आई 
और मैं रात भर जागता रहा...

कुछ बातें भूली हुई, कुछ बातें ख्यालों में लिपटी हुई, याद आई 
और मैं रात भर जागता रहा...

बरसात के मौसम में, 
बेक़रारी के आलम में, 
तन्हाई में, 
खुद-ब-खुद सपने बुनता हुआ
और मैं रात भर जागता रहा...

कुछ पल सोचता, फिर मुस्कुराता, 
तुमसे प्यार किया, 
तुम्हारा हाथ, हाथों में थामा रहा 
और बाहों में तुमको भरकर मैं सो गया...

#रोमिल

Koi hota jisko hum apna kehte...

Koi hota jisko hum apna kehte...

Jiske mann mein ek ehsaas ban kar rehte,

Jiske aankhon mein khawab ban kar rehte,

Suhane mausam mein yaad ban kar rehte,

Koi hota jisko hum apna kehte...

Jo mere liye sapne bunta,

Makhmali chaadar mein lipatkar baahon mein bharta,

Main roothata to woh mujhko manata,

Koi hota jisko hum apna kehte...

Jo mujhe apna pyar kehta,

Apna yaar, dil-e-beqarar kehta,

Jo apni aarzoo, apna sanam kehta,

Koi hota jisko hum apna kehte...

Jo mere liye dua mangata,

Jo gum mein mujhe khushi deta,

Jo saari duniya se juda hokar bhi mera apna rehta,

Koi hota jisko hum apna kehte...

Main uske liye beqarar rehta,

Usse milne ke liye tahna rehta,

Yeh yaadon ka silsila zindagi bhar chalta rehta,

Koi hota jisko hum apna kehte...

[written by romil arora - copyright reserved]

Aisi ada sirf MAA ke pass hoti hai...

Aisi ada sirf MAA ke pass hoti hai...

Suna kar pariyon ki kahani, Baache ko bhukha sula deti hai, Aisi ada sirf MAA ke pass hoti hai..... 

Bataa kar chand, taaron ko khilauna, Baache ka dil behla deti hai, 
Aisi ada sirf MAA ke pass hoti hai... 

Aankhon mein bhare ho aansoo, hooton par woh muskaan khila deti hai, 
Aisi ada sirf MAA ke pass hoti hai...

Jab na mile gum mein koi sahara,
Goad mein bhar kar seene se laga leti hai, 
Aisi ada sirf MAA ke pass hoti hai...
[written by romil arora - copyright reserved]

Saturday, June 21, 2008

tab humne....

tab humne...

Jab khushiyon ne na diya sahara mujhko,
Tab humne dard ka sahara le liya,

Jab apno ne maira saath chod diya,
Tab humne gairon ka saath kar liya,

Jab phoolon ki shejh nahi mili mujhko,
Tab humne kantoon par sona seekh liya,

Jab lagi, zindagi daman chudane apna,
Tab humne maut ka daman tham liya...

#Romil 

तब हमने... 

जब खुशियों ने ना दिया सहारा मुझको 
तब हमने दर्द का सहारा ले लिया... 

जब अपनों ने मेरा साथ छोड़ दिया 
तब हमने गैरों का साथ कर लिया... 

जब फूलों की सेज नहीं मिली मुझको 
तब हमने काँटों पर सोना सीख लिया... 

जब लगी जिंदगी दामन छुड़ाने अपना 
तब हमने मौत का दामन थाम लिया...

#रोमिल