Saturday, July 5, 2008

har sapne gamo mein beh gaye....

Waqt ki leharon mein pyar ke moti beh gaye,
Aansoo ke sagar mein yaadon ke moti beh gaye,
Aapne hi jagaya tha pyar is zindagi mein,
Jab se toota hai yeh rishta, har sapne gamo mein beh gaye! 

#Romil

वक्त की लहरों में प्यार के मोती बह गए 
आंसू के सागर में यादों के मोती बह गए 
आपने ही जगाया था प्यार इस ज़िंदगी में, 
जबसे टूटा हैं यह रिश्ता, हर सपने गमों में बह गए!

#रोमिल

nazar aaya

Jab bhi ki humne mohabbat ki baatein, unko koi aur yaad aaya.

Diya hai mujhe aisa dard zindagi bhar unka naam mere hooton par aaya.

Tanhai itni mili ki suraj ki roshani mein bhi andhera nazar aaya.

Nikle jo aansoo, aankhon se usmein bhi unka deedar nazar aaya!

#Romil

जब भी कि हमने मोहब्बत की बातें 
उनको कोई और याद आया... 

दिया है मुझे ऐसा दर्द जिंदगी भर 
उनका नाम मेरे होठों पर आया... 

तन्हाई इतनी मिली कि सूरज की रोशनी में भी 
अंधेरा नजर आया...

निकले जो आंसू, आंखों से उसमें भी 
उनका दीदार नजर आया...

#रोमिल

nazar aata hai...

Mausam hai barsaat ka,
fir bhi har manzar veeran nazar aata hai!

Har taraf hai khushiyon ki roshani,
fir bhi har koi gamo ke andhero mein nazar aata hai!

Har taraf hai samundar mein maujo ki lehare,
fir bhi samundar tanha nazar aata hai!

Dil tod diya hai usne mera,
fir bhi meri nazron mein uske liye pyar nazar aata hai!

Jitna bhi door usse ho gaya hu main,
fir bhi uska chehara, khawabo mein nazar aata hai!

#Romil

मौसम है बरसात का, 
फिर भी हर मंजर वीरान नजर आता है... 

हर तरफ है खुशियों की रोशनी, 
फिर भी कोई गमों के अंधेरों में नजर आता है... 

हर तरफ है समुन्दर में मौजों की लहरें, 
फिर भी समुंदर तन्हा नजर आता है... 

दिल तोड़ दिया है उसने मेरा, 
फिर भी मेरी नजरों में उसके लिए प्यार नजर आता है... 

जितना भी दूर उससे हो गया हूं मैं, 
फिर भी उसका चेहरा ख्वाबों में नजर आता है...

#रोमिल

khud ko tanha paya...

Aaj khud par taras aaya,
jab maine apno ko aajmaya,
sabko khushiya di maine, apni muskurahat se,
lekin aaj gum mein khud ko tanha paya!

#Romil

आज ख़ुद पर तरस आया
जब मैंने अपनों को आजमाया 
सबको खुशियां दी मैंने, अपनी मुस्कुराहट से 
लेकिन आज गम में खुद को तन्हा पाया !

#रोमिल

haaton ki lakeeron ko milane main raha...

Main to yaadon ke shehar mein raha,
Har sapne mein khud ko jalane mein raha,
Woh chala gaya mujhko tanha chhod kar,
Main haaton ki lakeeron ko milane mein raha !

#Romil

मैं तो यादों के शहर में रहा 
हर सपने में खुद को जलाने में रहा 
वो चला गया मुझको तन्हा छोड़कर 
मैं हाथों की लकीरों को मिलाने में रहा ! 

#रोमिल

aankhen meri bhar aati hai...

tumse to wafadar tumhari yaad hai sanam,
jo jab tamanna machale chali aati hai,
kahi par bhi aahat ho agar tumhari sanam,
meri nazar us taraf chali jaati hai,
yeh kaisi chahat hai sanam,
zara sa bhi dard ho tujhe, aankhen meri bhar aati hai!

#Romil

तुमसे तो वफ़ादार तुम्हारी याद है सनम
जो जब तमन्ना मचले चली आती है...
कहीं पर भी आहट हो अगर तुम्हारी सनम
मेरी नज़र का तरफ चली जाती है...
यह कैसी चाहत है सनम
ज़रा सा भी दर्द हो तुझे, आँखें मेरी भर आती है...

#रोमिल

Tere milan se jyada aacha hai.....

Tujhe khone ka jo dard hai,
Woh tujhe paane ki khushi se jyada aacha hai,

Yeh jo halka-halka dard hai,
Woh dil ki khushi se jyada aacha hai,

Yeh jo aankhon mein gamo ki barsaat hai,
Woh khushi ke saawan se jyada aachi hai,

Yeh jo teri yaadon ka toofan hai,
Woh tere milan se jyada aacha hai!

#Romil

तुझे खोने का जो दर्द है 
वो तुझे पाने की खुशी से ज्यादा अच्छा है... 

यह जो हल्का-हल्का दर्द है 
वो दिल की खुशी से ज्यादा अच्छा है... 

यह जो आँखों में गमों की बरसात है 
वो खुशी के सावन से ज्यादा अच्छी है... 

यह जो तेरी यादों का तूफान है 
वो तेरे मिलन से ज्यादा अच्छा है...

#रोमिल