Saturday, July 12, 2008

Ek bewafa tum hi nahi.....


Ek mohabbat main barbad hone wale hum hi nahi aur bhi hai,
Ek bewafa tum hi nahi zamane main aur bhi hai!


Hum par hi nahi sirf mohabbat ka sitam hua,
Is duniya main mohabbat main zakhame aur bhi hai!


Tanha safar tha zindagi ka, tanha hi rahega,
Is tanhaiyoon main khush rehane wale abhi aur bhi hai!


Hamari haal-e-dil dekh kar kaash, yeh husn par marne wale samaj jaye,
Magar, mohabbat-e-madhoshi main marne wale abhi aur bhi hai!

[written by romil arora - copyright reserved]

Humse Kharab Koi Na Hoga!

Rab Jo Dena Hai Gum Mujhe De,
Agar Sanam Ko Kuch Kiya To 
Humse Kharab Koi Na Hoga!

Dost Ko To Aapne Humse Cheen Liya,
Agar Sanam Ko Chenna Chaha To Humse Kharab Koi Na Hoga!

Rab, Agar Humko Aap Khushi Nahi Dena Chahte,
To Koi Baat Nahi,
Magar, Hamari Wajah Se Ab Kisi Aur Ko Dard Diya To 
Humse Kharab Koi Na Hoga!

Agar Aap Rab Dekhna Chahte Ho To Aansoo Hamari Aankhon Mein Dekho,
Sanam Ki Aankhon Mein Aaye Jo Aansoo To 
Humse Kharab Koi Na Hoga!

keh dete hai...
humse kharab koi na hoga...

#BestAnswers
#Romil

Friday, July 11, 2008

Pyar, Dosti, Rishtee yahaan!

Mausam ki tarah badal jaate hai,
Pyar,
Dost,
Rishtee yahaan!
Dard main saath nahi rehte,
Pyar,
Dost,
Rishtee yahaan!
Pal bhar pyar se milte hai, waqt aane par badal jaate hai,
Pyar,
Dost,
Rishtee yahaan!
Kitabo-kahani main reh jaate hai,
Pyar,
Dost,
Rishtee yahaan!
[written by romil arora - copyright reserved]

aa jaate hai woh samne.....

Aa jaate hai woh samne fir dil dukhane ko,
Tahna hone ka ehsaas delane ko,
Reh jaate hai yaadein sirf aansoo bahane ko,
Yaad karte hai, jab hum apne guzare zamane ko!

#Romil

आ जाते हैं वो सामने फिर दिल दुखाने को, 
तन्हा होने का एहसास दिलाने को, 
रह जाती है यादें सिर्फ आंसू बहाने को, 
याद करते हैं, जब हम अपने गुजरे जमाने को... 

#रोमिल

Aaja baahon main mehboob....

Aaja baahon main mehboob tujhe pyar main kar jayun,
Zindagi bhar ki pyas aaj bhar jayun,
De apne hoonton ko maire hoonton main,
Pyar ki pyas aa main bhujha jayun!

Yeh jal rahe hai jo jism,
Aa isse main sheetal kar jayun,
Aaja baahon main mehboob tujhe pyar main kar jayun!


Naazare jo pyasi hai,
Isme aaj tera jism basa jayun,
Aaja baahon main mehboob tujhe pyar main kar jayun!

Tujhme main aur
mujhme tu shaama jayen,
Saare janamo ka pyar aaj tujhe main kar jayun,
Aaja baahon main mehboob tujhe pyar main kar jayun!
[written by romil arora - copyright reserved]

jeena seekh liya...

Ehsaas mein jeena humne seekh liya,
Dilo mein pyas bhar kar jeena humne seekh liya,
Tadapati hai yaad tumhari,
Humne sapno mein jeena seekh liya!

#Romil

एहसास में जीना हमने सीख लिया
दिलों में प्यास भरकर जीना हमने सीख लिया
तड़पती है याद तुम्हारी
हमने सपनों में जीना सीख लिया!

#रोमिल

khushi ke naam se janna chahta hu....

Saada khush rahe,
bas yahi chahta hu,
tere rahoon main khushiyoon ke phool chahta hu,

tere armaan sab poore ho jaye,
bas yahi sapna apna pura hota dekhana chahta hu,

gair ki baahon main chahe tu rahe,
main to sirf taire hoonton par muskaan chahta hu,

tere aankhon main jo aansoo aaye,
woh bhi khushi ke aaye,
main tujhe khushi ke naam se janna chahta hu!
[written by romil arora - copyright reserved]