Saturday, July 12, 2008

Ehsaas Saath Launga...

Jab-Jab Tum Mujhe Yaad Karoge,
Honthon Par Muskaan Tumhare De Jaunga,
Aankhon Mein Kabhi Aksh Nahi Aayenge,
Itne Pyare Ehsaas Saath Launga!

#Romil

जब-जब तुम मुझे याद करोगे 
होठों पर मुस्कान तुम्हारे दे जाऊंगा 
आंखों में कभी अश्क़ नहीं आएंगे 
इतने प्यारे एहसास साथ लाऊंगा !

#रोमिल

meri dushmano se dosti thi...

Jal chuke hai sab khawab mere,
sapno se meri dosti thi!

Aashiyana bikhar chuka hai mera,
gharon se meri dosti thi!


Khushi ne mujhe bahut rulaya,
muskaan se meri dosti thi!


Manzil ne kabhi saath nahi diya,
rasto se meri dosti thi!


Sab dost mere dushman nikle,
shayad meri dushmano se dosti thi!

#Romil

जल चुके हैं सब ख़्वाब मेरे 
सपनों से मेरी दोस्ती थी! 

आशियाना बिखर चुका है मेरा 
गैरों से मेरी दोस्ती थी! 

खुशी ने मुझे बहुत रुलाया 
मुस्कान से मेरी दोस्ती थी! 

मंजिल ने कभी साथ नहीं दिया 
रास्तों से मेरी दोस्ती थी! 

सब दोस्त मेरे दुश्मन निकले 
शायद मेरी दुश्मनों से दोस्ती थी!

#रोमिल

Yeh kaisa ittefaq hai khuda...

Jise bhoolne ki koshish main har baar karta raha,
Woh har baar mere khayalon mein aaya,

Door jisse jaane ki koshish main har baar karta,
Woh har baar mere saamne aaya,

Yeh kaisa ittefaq hai khuda,
Jise main paane ki koshish har baar karta raha,
Woh har baar mujhse door hota gaya!

#Romil

जिसे भूलने की कोशिश मैं हर बार करता रहा 
वो हर बार मेरे ख्यालों में आया... 

दूर जिससे जाने की कोशिश मैं हर बार करता 
वो बार-बार मेरे सामने आया... 

यह कैसा इत्तेफाक हैं खुदा
जिसे मैं पाने की कोशिश हर बार करता रहा 
वो हर बार मुझसे दूर होता गया...

#रोमिल

yaadon ka tajmahal chahta hai...

Jahan bhi dekhiye ek hi nazara, nazar aata hai,
Har aashiq, bewafai mein maara jaata hai!

Wafa ki woh kaisi keemat chukata hai,
Khushiya apni dekar bas gum hi pata hai!

Fir bhi woh bas rab se yahi dua karta hai,
Khushiya de mehboob ko, woh bas yaadon ka tajmahal chahta hai! 

#Romil

जहाँ भी देखिए एक ही नजारा, नजर आता है...
हर आशिक़, बेवफ़ाई में मारा जाता है...

वफ़ा की वो कैसी कीमत चुकाता है
खुशियाँ अपनी देकर बस ग़म ही पाता है...

फिर भी वो बस रब से यही दुआ करता है
खुशियाँ दे महबूब को, वो बस यादों का ताजमहल चाहता है...

#रोमिल

Ek bewafa tum hi nahi.....


Ek mohabbat main barbad hone wale hum hi nahi aur bhi hai,
Ek bewafa tum hi nahi zamane main aur bhi hai!


Hum par hi nahi sirf mohabbat ka sitam hua,
Is duniya main mohabbat main zakhame aur bhi hai!


Tanha safar tha zindagi ka, tanha hi rahega,
Is tanhaiyoon main khush rehane wale abhi aur bhi hai!


Hamari haal-e-dil dekh kar kaash, yeh husn par marne wale samaj jaye,
Magar, mohabbat-e-madhoshi main marne wale abhi aur bhi hai!

[written by romil arora - copyright reserved]

Humse Kharab Koi Na Hoga!

Rab Jo Dena Hai Gum Mujhe De,
Agar Sanam Ko Kuch Kiya To 
Humse Kharab Koi Na Hoga!

Dost Ko To Aapne Humse Cheen Liya,
Agar Sanam Ko Chenna Chaha To Humse Kharab Koi Na Hoga!

Rab, Agar Humko Aap Khushi Nahi Dena Chahte,
To Koi Baat Nahi,
Magar, Hamari Wajah Se Ab Kisi Aur Ko Dard Diya To 
Humse Kharab Koi Na Hoga!

Agar Aap Rab Dekhna Chahte Ho To Aansoo Hamari Aankhon Mein Dekho,
Sanam Ki Aankhon Mein Aaye Jo Aansoo To 
Humse Kharab Koi Na Hoga!

keh dete hai...
humse kharab koi na hoga...

#BestAnswers
#Romil

Friday, July 11, 2008

Pyar, Dosti, Rishtee yahaan!

Mausam ki tarah badal jaate hai,
Pyar,
Dost,
Rishtee yahaan!
Dard main saath nahi rehte,
Pyar,
Dost,
Rishtee yahaan!
Pal bhar pyar se milte hai, waqt aane par badal jaate hai,
Pyar,
Dost,
Rishtee yahaan!
Kitabo-kahani main reh jaate hai,
Pyar,
Dost,
Rishtee yahaan!
[written by romil arora - copyright reserved]