Monday, July 14, 2008

Bahaar se ik phool tod kar dekha diya maine...

Kitab-e-mohabbat ko jala diya maine, 
Na apno se na begano se koi gila kiya maine,
Jab pucha kisi ne gum-e-dil ki halat,
Bahaar se ek phool tod kar dekha diya maine!

#Romil

किताब-ए-मोहब्बत को जला दिया मैंने 
ना अपनों से ना बेगानों से कोई गिला किया मैंने 
जब पूछा किसी ने ग़म-ए-दिल की हालत 
बहार से फूल तोड़कर दिखा दिया मैंने!

#रोमिल

Paani Pila Do Mujhko.....

Fir Kahi Durr Se Aawaz Do Mujhko,
Zakhmo Se Fir Ubhar Do Mujhko,
Tum To Naadi Ho Mohabbat Ki,
Tumhe Mohabbat Ki Kya Jarurat,
Main Pyasa Musafir Hu,
Thoda Sa Pani Peela Do Mujhko!

#Romil

फिर कहीं दूर से आवाज दो मुझको
जख्मों से फिर उभार दो मुझको 
तुम तो नदी हो मोहब्बत की 
तुम्हें मोहब्बत की क्या जरूरत 
मैं प्यासा मुसाफिर हूं 
थोड़ा सा पानी पिला दो मुझको!

#रोमिल

Kaise-Kaise Sitam Sehane Padate Hai.....

Ek Sirf Humko Pagal Keh De,
Koiye Baada Ilzaam Nahi,
Duniya Wale To Mohabbat Karne Walon Ko Bahut Kuch Kehti Hai,

Kuch Rote Hai Chupke-Chupke,
Kuch Dil Hi Dil Main Aansoo Bahaya Karte Hai,
Kuch Tarafate Hai Raaton Main Jag-Jag Kar,
Kuch Awara Ban Kar Ghuma Karte Hai,
Mohabbat Karne Waloon Ko To Na Jaane Kaise-Kaise Sitam Sehane Padate Hai!

Duniya Wale To Mohabbat Karne Walon Ko Bahut Kuch Kehti Hai!
Mohabbat Karne Waloon Ko To Na Jaane Kaise-Kaise Sitam Sehane Padate Hai!
[written by romil arora - copyright reserved]

Chehare Se Muskurate Bhi Gaye...

Hum Jal Kar Dusaro Ko Roshni Dete Rahe,
Hum Ro Kar Dusaro Ko Khushi Dete Rahe,
Kisi Ne Hamare Dil Mein Jhak Kar Nahi Dekha,
Hum Dil Mein Rote Bhi Gaye, Aur Chehare Se Muskurate Bhi Gaye!

#Romil

हम जलकर दूसरों को रोशनी देते रहे 
हम रोकर दूसरों को खुशी देते रहे 
किसी ने हमारे दिल में झांक कर नहीं देखा 
हम दिल में रोते भी गए और चेहरे से मुस्कुराते भी गए! 

#रोमिल

Saturday, July 12, 2008

kabhi rona mat jaan hamare......


Teri aansoo ki boondon mein hum nazar aayenge,
kabhi rona mat jaan hamari,
warna hum dil se kabhi nahi jayenge!



Chand lamho mein daaman sab bheg jayega,
mohabbat hai tujhe yeh sabko pata chal jayega,
aankhon mein tere sabko hamara chehra nazar aayega,
kabhi rona mat jaan hamari,
warna hum dil se kabhi nahi jayenge!




Aansoo tere dekh kar jab zamana puchega, tab kya batayegi,
kya apni bewafai ki kahani sunayegi,
kabhi rona mat jaan hamari,
warna hum dil se kabhi nahi jayenge!

Sach to yeh bhi hai tera rona hum bhi nahi dekh payenge,
zinda hi marr jayenge,
gumo ki baarish mein beh jayenge,
kabhi kiya ho agar humse pyar to bas itna khayal rakhna,
kabhi rona mat jaan hamari,
warna hum dil se kabhi nahi jayenge!

[written by romil arora - copyright reserved]

Khawab...

Na Aankhon Ka Kaajal Ho Tum,
Na Koi Gulab Ho Tum,
Maine Khuda Se Jo Manga Tha Woh Khawab Ho Tum!

In Aankhon Mein Base Armaan Ho Tum,
Khuda Se Maine Jo Manga Woh Khawab Ho Tum,
Bas Khuda Kare Hum Aaise Hi Khawabo Mein Soye Rahe,
Zindagi Bhar Bas Aapki Yaadon Mein Khoye Rahe!

#Romil

ना आंखों का काजल हो तुम 
ना कोई गुलाब हो तुम, 
मैंने खुदा से जो मांगा था वो ख्वाब हो तुम! 

इन आंखों में बसे अरमान हो तुम, 
खुदा से मैंने जो मांगा था वो ख्वाब हो तुम, 
बस खुदा करे हम ऐसे ही ख्वाबों में सोए रहे, 
जिंदगी भर बस आपकी यादों में खोये रहे!

#रोमिल

Meri Tasveer Ko Pyar Kar Lena...

Jab Yaad Tumhe Meri Aaye Sanam,
Meri Tasveer Se Baatein Hazar Kar Lena!

Jab Reh Na Sako Tum Mere Bina,
Lena Tasveer Ko Baahon Mein,
Aur Jee Bhar Kar Pyar Kar Lena!


Agar Kabhi De Jaye Kismat Dhokha,
Sanam Mujh par Ek Ehsaan Kar Dena,
Roz Ek Baar Jarur Meri Tasveer Ko Pyar Kar Lena!

#Romil

जब याद तुम्हें मेरी आये सनम
मेरी तस्वीर से बातें हज़ार कर लेना!

जब रह ना सको तुम मेरे बिना
लेना तस्वीर को बाहों में
और जी भरकर प्यार कर लेना!

अगर कभी दे जाये किस्मत धोखा
सनम मुझपर एक एहसान कर देना
रोज़ एक बार जरूर मेरी तस्वीर को प्यार कर लेना!

#रोमिल