Thursday, July 24, 2008

dua karo...


"Woh phool hai mere dil-e-aashiana ka,
Dua karo usko duniya-e-bazaar ki hawa na lage"

"Hamari mohabbat se jalne lagi hai dunia-e-jahaan,
Dua karo kisi ki baddua na lage"

"Usse milkar mehakne lagta hai hamara dil-e-chaman,
Dua karo kisi ki nazar na lage"


#Romil

वो फूल है मेरे दिल-ए-आशियाना का 
दुआ करो उसको दिल-ए-बाजार की हवा ना लगे... 

हमारी मुहब्बत से जलने लगी है दुनिया-ए-जहां 
दुआ करो किसी की बद्दुआ ना लगे... 

उससे मिलकर महकने लगता है हमारा दिल-ए-चमन 
दुआ करो किसी की नजर ना लगे...

#रोमिल

basane na diya......


!!Dil-e-dua thi mohabbat-e-gharondha banane ki,
Usko bhi haawaon ne basane na diya!!



!!Dil-e-tamanna thi gharondha main rabb-e-sanam ko pujane ki,
Usko bhi haawaon ne basane na diya!!




!!Naazare-e-chahat thi usko haqiqat-e-aashiana main muskurata dekhane ki,
Usko bhi haawaon ne basane na diya!!




!!Rooh-e-aarzoo thi usko mohabbat-e-ghar main pyar karne ki,
Usko bhi haawaon ne basane na diya!!

[written by romil arora - copyright reserve]

Chalo Sanam

!!chalo sanam!!

~~ chalo sanam dekhte hai mohabbat-e-samundar mein uthar kar,
phir dekhe kinare kaun karta hai ~~


~~ chalo sanam basaate hai ek-dusare ko apni-apni neeghao mein,
phir dekhe aansoo ki baarish kaun karwata hai ~~


~~ chalo sanam mohabbat ka elaan karte hai dushman-e-jahaan mein,
phir dekhe saath-e-humsafar kaun chodata hai ~~


!!CHALO SANAM!!

#Romil

चलो सनम

चलो सनम देखते है मोहब्बत-ए-समुंदर में उतरकर,
फिर देखें किनारे कौन करता है...

चलो सनम बसाते है एक-दूसरे को अपनी-अपनी निगाहों में,
फिर देखें आँसू की बारिश कौन करता है...

चलो सनम मुहब्बत का ऐलान करते है दुश्मन-ए-जहां में,
फिर देखें साथ-ए-हमसफ़र कौन छोड़ता है...

चलो सनम...

#रोमिल

dil se...

"Hum sheher-e-mehfil mein tanha nahi the,
magar koi humsafar nahi mila sanam tere jaisa"

"Silsila mohabbat ka kuch is tarah humne nibhaya hai,
sanam tujhe apna rab banaya hai"

#Romil

हम शहर-ए-महफिल में तन्हा नहीं थे, 
मगर कोई हमसफ़र नहीं मिला सनम तेरे जैसा... 

सिलसिला मोहब्बत का कुछ इस तरह हमने निभाया है, सनम तुझे अपना रब बनाया है... 

#रोमिल

aapki yaad aane lagti hai....

"khushiyoon ke mausam mein udasi chaane lagti hai,
jab sanam aapki yaad aane lagti hai"

"sukhi hui palke, bheegane lagti hai,
jab sanam aapki yaad aane lagti hai"

"bewajah hi nazre intezaar karne lagti hai,
jab sanam aapki yaad aane lagti hai"


#Romil

खुशियों के मौसम में उदासी छाने लगती है 
जब सनम आपकी याद आने लगती है 

सूखी हुए पलके, भीगने लगती है 
जब सनम आपकी याद आने लगती है

बेवजह ही नजरे इंतजार करने लगती है 
जब सनम आपकी याद आने लगती है...

#रोमिल

samaj laite......

~~~ kaash yaar tum dil ki baat samaj laite,
sapno ko hi mulaqat samaj laite,
chand ko hi hamara chehara samaj laite,
hamari aankhon se jo gire hai aansoo usko mohabbat ki barsaat samaj laite~~~
[written by romil arora - copyright reserved]

Wednesday, July 23, 2008

~~~Daulat ke khareeddar~~~

~~~Daulat ke khareeddar~~~
!!Rishte-Naate Sab Daulat Ki Mandi Main Beekh Jaate Hai,
Yeh Duniya Hai, Mujhe Yahan Sirf Daulat Ke Khareeddar Nazar Aate Hai!!


!!Aansoo-Khushi Sab Dekhawa Naazar Aate Hai,
Yeh Duniya Hai, Mujhe Yahan Sirf Daulat Ke Khareeddar Nazar Aate Hai!!


!!Pyar-Wafa Sab Rasthey Ke Modh Ke Saath, Badal Jaate Hai,
Yeh Duniya Hai, Mujhe Yahan Sirf Daulat Ke Khareeddar Nazar Aate Hai!!


!!Apne-Sapne Sab Waqt Ki Rait Main Udha Jaate Hai,
Yeh Duniya Hai, Mujhe Yahan Sirf Daulat Ke Khareeddar Nazar Aate Hai!!


*****Dekh Kar Tere Bandon Ki Haalat Rabb Mujhe Aaisa Lagta Hai,
Shayad Tere Yahaan Bhi Sirf Daulat Ke Khareeddar Rehte Hai*****
[written by romil arora - copyright reserved]