Friday, August 1, 2008

Dil ki Aawaz

"Lakh Koshisho Ke Bawajud Bhi Tujhe Pa Nahi Sakunga,
Agar Rabb Ne Tujhe Nahi Likha Hoga
Mere Muqaddar Mein"
______________________
_______
________________

"Kaise Tujhe Bhula Du,
Kaise Teri Yaadon Ko Mita Du,
Tu Mere Rom-Rom Mein Basa Hai Zindagi Bankar"
_______________________
_______
________________
"Subah Hote Hi
Tujhe Paane Ki Dua Karta Hu,
Magar Fir Sochata Hu
Kahi Yeh Bhi Dua
Har Dua Ki Tarah Khali Na Chali Jaye"


#Romil

Bolo Sanam Kaisa Rahega...

Chalo Sanam Ek Khel Khelte Hai
Kuch Pal Ke Liye Tum Raj aur Main Sanam Ban Jaun!
***
"Har Pal Raj Ki Tarah Tum Tadpo
Sanam Ka Intezaar Subah-Shaam Karo
Sanam Se Milne Ka Koi Bahana Dhundho
Sanam Ke Sapne Mein Kho Jao
Raat Bhar Sanam Ke Ehsaas Se Baatein Karo
Sanam Se Pyar Ke Umeede Bandho
Apni Saanson Mein Sanam Ko Mehsus Karo"
***
Bolo Sanam Kaisa Rahega?

#Romil

चलो सनम एक खेल खेलते हैं 
कुछ पल के लिए तुम राज और मैं सनम बन जाऊं!

हर पल राज की तरह तुम तड़पों 
सनम का इंतजार सुबह-सुबह करो 
सनम से मिलने का कोई बहाना ढूंढो 
सनम के सपने में खो जाओ 
रातभर सनम के एहसास से बातें करो 
सनम से प्यार की उम्मीदें बांधो 
अपनी सांसों में सनम को महसूस करो... 

बोलो सनम कैसा रहेगा?

#रोमिल

Ajab Sa Luft Deta Hai...



!!*******!!
Sanam, Tumko Goad Mein Uthane Ka Ehsaas
Ajab Sa Luft Deta Hai,
Tumko Baahon Mein Bhar Kar Pyar Karne Ka Ehsaas
Ajab Sa Luft Deta Hai,
Nazre Tumko Niharati Hui
Ajab Sa Luft Deti Hai,
.
.
.
Sanam, Tumko Pa Kar Dil Ko Khushi Milegi...
Lekin....
Sanam, Tumhari Tadap Dil Ko Ajab Sa Luft Deti Hai
!!*******!!
[written by romil arora - copyright reserved]

kuch dil ki awaaz...

Agar Humko Pata Hota Unko Itne Pasand Hai
Aankhon Mein Aansoo Hamare.
Rab Qasam
Apni Aankhon Ko Hum Aansoo Ke Samundar Mein Duba Dete!

अगर हमको पता होता उनको इतने पसंद है
आँखों में आँसू हमारे
रब क़सम
अपनी आँखों को हम आँसू के समुन्दर में डूबा देते!
*****
Yaaron Yeh Mat Samjho Ki Ye
Judai-e-Gum Ke Aansoo Hai,
Yeh To Unki Khushiyaan Hai
Jo Main Aankhon Mein Basa Laya Hoon!

यारों यह मत समझो की यह
जुदाई-ए-ग़म के आँसू है
यह तो उनकी खुशियों है
जो मैं आँखों में बसा लाया हूँ!
*****
Sanam Tum Bewafai-e-Shama Bankar Humko Jalate Raho,
Hum Wafa-e-Mom Bankar Zindagi Bhar Pighalte Rahenge!

सनम तुम बेवफ़ाई-ए-शमा बनकर
हमको जलाते रहो
हम वफ़ा-ए-मोम बनकर ज़िन्दगी भर पिघलते रहेंगे!

#Romil
#रोमिल

Aaye Chand Sun Zara...

Aaye Chand Sun Zara...
Andheron Se Mujhe Mohabbat Ho Gaye Hai,
Shaam-e-Tanhai Mein Raat Bitani Hai Mujhe,

Tu Meri Parwah Na Kar Chand,
Tu Apni Chandani Mere Mehboob Ke Pass Le Ja,
Use Dekhane Wali Nazare Abhi Bahut Hai
Duniya-E-Jahaan Mein.

#Romil

Jahan Dekhu Main...

Jahaa Dekhu Main Rab Tune Bas Gum-e-Judai Banai Hai,
Teri Yeh Khudai Mujhe Samaj Nahi Aai Hai...

"Juda Zameen-O-Aasmaan Hai"
"Juda Daali Se Phool Ho Jaata Hai"
"Juda Rishte Se Ristha Ho Jaata Hai"
"Juda Sharir Se Rooh Ho Jaati Hai"
"Juda Mehboob Se Mehboob Ho Jaata Hai"
~!~koi bhi yahaan saath nahi rehta hai
yeh tune kaisi duniya banai hai~!~


Jahaa Dekhu Main Rab Tune Bas Gum-e-Judai Banai Hai,
Teri Yeh Khudai Mujhe Samaj Nahi Aai Hai...

#Romil

जहां देखूं मैं रब तूने बस ग़म-ए-जुदाई बनाई है 
तेरी यह खुदाई मुझे समझ नहीं आई है... 

जुदा जमीन-ओ-आसमान है 
जुदा डाली से फूल हो जाता है... 
जुदा रिश्ते से रिश्ता हो जाता है... 
जुदा शरीर से रूह हो जाती है... 
जुदा महबूब से महबूब हो जाता है... 
कोई भी यहां साथ नहीं रहता है 
यह तूने कैसी दुनिया बनाई है... 

जहां देखूं मैं रब तूने बस ग़म-ए-जुदाई बनाई है 
तेरी यह खुदाई मुझे समझ नहीं आई है...  

#रोमिल

dil ke jubaan....


~!~Janta Hoon Tu Muqaddar Main Nahi Mere Sanam,
Isliye Rabb Se Maine Tujhe Manga Nahi~!~


~*~ Mere Dil-e-Maakan Ko Mohabbat-e-Ghar Bana Liya Hai Tune Apna,
Kabhi Yeh Veeraniyoon Main Raha Karta Tha~*~

[written by romil arora - copyright reserved]