Wednesday, November 5, 2008

KAHI AAG NA LAG JAYE!

tum aur hum
aur upper se yeh barsaat ka mausam
KAHI AAG NA LAG JAYE!
~
tum bhi jawaan, hum bhi jawaan
aur upper se yeh suhani hawan,
KAHI AAG NA LAG JAYE!
~
tum bhi deewane, hum bhi deewane,
aur upper se yeh aankhon ke mastane ishare,
KAHI AAG NA LAG JAYE!
~
tum bhi tanha, hum bhi tanha,
aur upper se yeh judai ka saama,
KAHI AAG NA LAG JAYE!
~
KUCH DIN DURR RAHO HUMSE
KAHIN HUM-TUM NA JAL JAYE,
KAHI AAG NA LAG JAYE
~
#Romil

तुम और हम 
और ऊपर से यह बरसात का मौसम 
कहीं आग न लग जाए... 

तुम भी जवान, हम भी जवान 
और ऊपर से सुहानी हवा 
कहीं आग न लग जाए...

तुम भी दीवाने, हम भी दीवानी 
और ऊपर से ही आंखों के मस्ताने इशारे 
कहीं आग न लग जाए...

तुम भी तन्हा, हम भी तन्हा 
ऊपर से यह जुदाई का शमा 
कहीं आग न लग जाए...

कुछ दिन दूर रहो हमसे
कहीं हम-तुम ना जल जाए
कहीं आग न लग जाए...

#रोमिल

Us Rab Par Mujhe Bharosa Nahi...

Jo Masoom Bacche Ki Bhookhi Cheekhe Nahi Sun Sakta,
Us Rab Par Mujhe Bharosa Nahi!
*
Jo Kisi Majboor Insaan Ki Izzat Nahi Bacha Sakta,
Us Rab Par Mujhe Bharosa Nahi!
*
Jo Khada Dekhta Rehta Hai Apne Bande Ka Ghar Ujadta Hua,
Us Rab Par Mujhe Bharosa Nahi!
*
Jiske Saamne Banta Hai Sacchai Ka Tamasha Yaaron,
Us Rab Par Mujhe Bharosa Nahi!

[written by romil arora - copyright reserved]

Yeh to rab ko hi hai pata...

Kyon do dil milte hai
Kyon do dil toot jaate hai
Kyon do pyar karne wale juda ho jaate hai
Mujhe nahi pata
Yeh to rab ko hi hai pata!
~
Jisko chaho duniya mein sabse jyada
woh kyon nahi haasil hota
Mohabbat ka dard yeh kaisa hota hai
ki jeena bhi muskil hota hai
Aansoo hi behate rehte hai aankhon se
aur muskurana namumkin hota hai
Mujhe nahi pata
Yeh to rab ko hi hai pata!
~
Kyon rab ka banda thokar khata rehta hai
Na jaane kyon garibon ka ghar jaala diya jaata hai
Bhookhe baachon ki cheekhe kisi ko nahi sunai deti
Tooti hui jhopadi dekhai nahi deti
Kyon sacchai ko ek maazak bana diya jata hai
Mazboori par kyon yeh duniya hasti hai
Kyon gunehgar banda khushi ke saath jeeta rehta hai
Mujhe nahi pata
Yeh to rab ko hi hai pata!
~
Rishton ke jhoote libas insaan kyon pehne rehta hai,
Juban par meethi boli aur mann mein zehar chupaye rehta hai,
Khud ko dharm mein batata rehta hai aur
Insaniyat kyon bhool jaata hai
Mujhe nahi pata
Yeh to rab ko hi hai pata

Wohi sab janta hai!
Mujhe nahi pata
Yeh to rab ko hi hai pata!
~
Kyon zindagi ek khel nazar aati hai,
Guru ki baatein sab jhoot nazar aati hai,
Kyon suraj ke rehte chaaro taraf fhela hai andhera ghana,
Kyon daulat ki duniya mein mohabbat bik jaati hai.
Mujhe nahi pata
Yeh to rab ko hi hai pata
Yeh to
Rab ko hi hai pata!

#Romil

क्यों दो दिल मिलते हैं 
क्यों दिल दो दिल टूट जाते हैं 
क्यों दो प्यार करने वाले जुदा हो जाते हैं... 
मुझे नहीं पता 
यह तो रब को ही है पता! 

जिसको चाहो दुनिया में सबसे ज्यादा 
वो क्यों नहीं हासिल होता 
मोहब्बत का दर्द यह कैसा होता है 
की जीना भी मुश्किल होता है 
आंसू ही बहते रहते हैं आंखों से 
और मुस्कुराना नामुमकिन होता है...
मुझे नहीं पता 
यह तो रब को ही है पता!

क्यों रब का बंदा ठोकर खाता रहता है 
ना जाने क्यों गरीबों का घर जला दिया जाता है 
 भूखे बच्चों की चीख़ किसी को नहीं सुनाई देती 
टूटी हुई झोपड़ी दिखाई नहीं देती 
क्यों सच्चाई को एक मजाक बना दिया जाता है 
मजबूरी पर क्यों यह दुनिया हस्ती है 
क्यों गुनहगार बन्दा खुशी के साथ जीता रहता है...
मुझे नहीं पता 
यह तो रब को ही है पता! 

क्यों जिंदगी एक खेल नज़र आती है, 
गुरु की बातें सब झूठ नजर आती है 
क्यों सूरज के रहते चारों तरफ फैला है अंधेरा घना 
क्यों दौलत की दुनिया में मोहब्बत बिक जाती हैं...
मुझे नहीं पता 
यह तो रब को ही है पता! 

#रोमिल

Tuesday, November 4, 2008

kinara....

"ishq ki manzil kaash mujhe mil jaye,
is behti hui zindagi ko kinara mil jaye"

#Romil

"इश्क़ की मंज़िल क़ाश मुझे मिल जाये...
इस बहती हुई ज़िंदगी को किनारा मिल जाये..."

#रोमिल

Chain...

tu jo nahi mili to sochate hai ki marr jaye,
marr kar chain milega humko koi zara yeh bataye!

#Romil

तू जो नहीं मिली तो सोचते हैं की मर जाए, 
मर कर चैन मिलेगा हमको कोई जरा यह बताएं...

#रोमिल

Monday, November 3, 2008

har pal ko khatta-meetha banau...

dil karta hai tujhe satau,
dil karta hai tujhe cheedau,
thoda sa rulau,
fir tujhe manau!
~
pyar se tera mujhe marna,
rote-rote gale lagana,
thoda sa itrana,
ruuth jana,
fir aankhon mein aansoo lete hue muskurana!
~
dil karta hai har pal main tere saath beetau,
aye mere sanam,
aye meri doll,
aye mere rab,
har pal ko khatta-meetha banau!

#Romil

दिल करता है तुझे सताऊं 
दिल करता है तुझे चिड़ाऊं 
थोड़ा सा रुलाऊं 
फिर तुझे मनाऊं... 

प्यार से तेरा मुझे मारना 
रोते-रोते गले लगाना
थोड़ा सा इतराना
रूठ जाना 
फिर आंखों में आंसू लेते हुए मुस्कुराना 

दिल करता है हर पल मैं तेरे साथ बिताऊं
ए मेरे सनम 
ए मेरी डॉल 
ए मेरे रब 
हर पल को खट्टा मीठा बनाऊं!

#रोमिल

Saturday, November 1, 2008

Aaye Ho Meri Zindagi Mein

Aaye Ho Meri Zindagi Mein
Kuch Pal Thehar Kar Jana
Na Jeevan-Saathi Ban Sako To
Dost Bankar Rehna!

आये हो मेरी ज़िंदगी में
कुछ पल ठहर कर जाना
ना जीवन-साथी बन सको तो
दोस्त बनकर रहना!
______________________
Tum Meri Kismat Ho
Tum Ho Aaina Mera
Tumse Hi Ab Subah Hoti Hai
Tumse Hi Ab Hoti Hai Shaam
Umarbhar Ab Saath Nibhana
Na Jeevan-Saathi Ban Sako To
Dost Ban Kar Rehna!

तुम मेरी किस्मत हो
तुम हो आईना मेरा
तुमसे ही अब सुबह होती है
तुमसे ही अब होती है शाम
उम्रभर अब साथ निभाना
ना जीवन-साथी बन सको तो
दोस्त बनकर रहना!
______________________
Jabse Tumko Chua Hai Maine
Khil Utha Hai Dil Ka Chaman Mera
Na Aankhon Mein Khushi Ban Sako To
Aansoo Bankar Rehna
Tum Kiran Ho Savere Ki
Tum Hi Chirag Ho Mere Andhere Jeevan Ka
Na Jeevan-Saathi Ban Sako To
Dost Ban Kar Rehna!

जबसे तुमको छुआ है मैंने
खिल उठा है दिल का चमन मेरा
ना आँखों में खुशी बन सको तो आँसू बनकर रहना
तुम किरन हो सवेरे की
तुम ही चिराग हो मेरे अंधेरे जीवन का
ना जीवन-साथी बन सको तो
दोस्त बनकर रहना!
______________________
Aaye Ho Mere Zindagi Main
Kuch Pal Thehar Kar Jaana
Na Jeevan-Saathi Ban Sako To
Dost Ban Kar Rehna!

आये हो मेरी ज़िंदगी में
कुछ पल ठहर कर जाना
ना जीवन-साथी बन सको तो
दोस्त बनकर रहना!
______________________

#Romil
#रोमिल