Sunday, November 16, 2008

Kis Kis Na Naam Lu Mujhe Har Kisi Ne Loota...


Kya Be-basi Ka Mausam Mujhpar Chaya Hai,
Ab To Fariyaadon Ka Bhi Khuda Ke Ghar Aamal Hota Nahi!
"Yeh Meri Badnasibi Hai Ya
Meri Garibi,
Ki Mujhe Khawaise Jiske Ho Woh Mujhe Milta Nahi!
Kabhi Apne Ban Kar Loota,
Kabhi Paraye Ban Kar Loota,
Kis Kis Na Naam Lu Mujhe Har Kisi Ne Loota"
Kya Be-basi Ka Mausam Mujhpar Chaya Hai,
Ab To Fariyaadon Ka Bhi Khuda Ke Ghar Aamal Hota Nahi!
~*~
"Sikhwa Kiska Sunao,
Doston Ka Ya Dushmano Ka,
Bas Kehna Itna Hai Ki,
Dost Ne Dushman Ban Kar Loota,
Dushman Ne Dost Ban Kar Loota,
Kis Kis Na Naam Lu Mujhe Har Kisi Ne Loota"
Kya Be-basi Ka Mausam Mujhpar Chaya Hai,
Ab To Fariyaadon Ka Bhi Khuda Ke Ghar Aamal Hota Nahi!
~*~
"Rishtee Bas Naam Ke Hai
Rishtee Saare,
Ki Apnon Par Aitbaar Ab Rehta Nahi,
Kisi Ne Andhere Main Loota,
Kisi Ne Roshani Main Loota
Kis Kis Na Naam Lu Mujhe Har Kisi Ne Loota"
Kya Be-basi Ka Mausam Mujhpar Chaya Hai,
Ab To Fariyaadon Ka Bhi Khuda Ke Ghar Aamal Hota Nahi!
~*~
[WRITTEN BY ROMIL ARORA - COPYRIGHT RESERVED]

Sunday, November 9, 2008

mera rabb mujhe dikha aaj...

fhir ibadaton ke silsile suru ho gaye,
fhir duaon ka daur suru ho gaya,
mera rabb mujhe dikha aaj
fhir umeedon ke phool khilne suru ho gaye!
***
kyon nahi dikhta koi aur is jahan mein,
kyon rab dikha mujhe ek insaan mein,
sajde ke silsile suru ho gaye,
mera rab mujhe dikha aaj
fhir umeedon ke phool khilne suru ho gaye!
***
na mujhe yeh duniya chahiye,
na mujhe yeh chand, sitare chahiye,
mera rabb mujhe de do,
mujhe bas mera rabb chahiye,
fhir fariyadon ke din suru ho gaye,
mera rabb mujhe dikha aaj
fhir umeedon ke phool khilne suru ho gaye!

#Romil

फिर इबादतों के सिलसिले शुरू हो गए, 
फिर दुआओं का दौर शुरू हो गया, 
मेरा रब मुझे दिखा आज 
फिर उम्मीदों के फूल खिलने शुरू हो गए! 

क्यों नहीं दिखता कोई और इस जहां में, 
क्यों रब दिखा मुझे एक इंसान में, 
सजदे के सिलसिले शुरू हो गए, 
मेरा रब मुझे दिखा आज
फिर उम्मीदों के फूल खिलने शुरू हो जाए!

ना मुझे यह दुनिया चाहिए, 
ना मुझे यह चांद, सितारे चाहिए 
मेरा रब मुझे दे दो, 
मुझे बस मेरा रब चाहिए, 
फिर फरियादों के दिन शुरू हो गए, 
मेरा रब मुझे दिखा आज 
फिर उम्मीदों के फूल खिलने शुरू हो गए...

#रोमिल

Mera Aashiyana...

Na Jaane Kahan Hai Mera Aashiyana,
Meri Duniya,
Mera Thikana!
*
Na Koi Manzil, Na Koi Rasta Hai Pata,
Jaana Mujhe Kahan Na Iska Pata,
Koi Apna Na Koi Paraya,
Bas Peeche Chodate Jaana Mujhe Kadmo ke Nishaan!
*
Na Jaane Kahan Hai Mera Aashiyana,
Meri Duniya,
Mera Thikana!
~
Koi Na Pukare Mujhe,
Na Koi Roke Mujhe,
Dheeme-Dheeme, Halke Halke,
Chalte Jaana Hai Mujhe Wahan,
Jahan Mera Aashiyana,
Meri Duniya,
Mera Thikhana!
Hooo...
Hooo...
Ab Mujhe Fursat Kahan,
Ab Mujhe Chain Kahan,
Na Koi Dost, 
Na Koi Humdum,
Bas
Chalte Jaana Hai Mujhe Wahan,
Jahan Mera Aashiyana,
Meri Duniya,
Mera Thikhana!
Hooo...
Hooo...

#Romil

न जाने कहाँ है मेरा आशियाना
मेरी दुनिया,
मेरा ठिकाना!

न कोई मंज़िल, न कोई रास्ता है पता,
जाना मुझे कहाँ न इसका पता,
कोई अपना न कोई पराया,
बस पीछे छोड़ते जाना मुझे क़दमो के निशान!

न जाने कहाँ है मेरा आशियाना
मेरी दुनिया,
मेरा ठिकाना!

कोई न पुकारे मुझे
कोई न रोके मुझे
धीमे-धीमे, हल्के-हल्के,
चलते जाना है मुझे वहाँ,
जहाँ मेरा आशियाना
मेरी दुनिया,
मेरा ठिकाना!
होहो
होहो
अब मुझे फुर्सत कहाँ
अब मुझे चैन कहाँ
न कोई दोस्त
न कोई हमदम
बस
चलते जाना है मुझे
जहाँ मेरा आशियाना
मेरी दुनिया,
मेरा ठिकाना!
होहो
होहो

#रोमिल

Thursday, November 6, 2008

dulhan piya ghar chale...



saj rahe phoolon ke sej
ki dulhan piya ghar chale!
*
keh rahe shakheya na jayiun pardesh
ki dulhan piya ghar chale!
*
baabul re roye, maaye re roye,
de duaoon ka sandesh
ki dulhan piya ghar chale!
*
sune galiya, suna aangan
chod chali re apnon ka desh,
ki dulhan piya ghar chale!
[written by romil arora - copyright reserved]

AACHA NAHI LAGTA!

Chamakate Hue Kapdon Mein Paiband
AACHA NAHI LAGTA!
*
Roshan Hoti Tasveer Mein Daag
AACHA NAHI LAGTA!
*
Jagmagate Hue Heeron, Sone, Jevraton Ke Beech, Lohe Ka Tukda
AACHA NAHI LAGTA!
*
Chandi Ki Deewar Mein, Mitti Ka Dhabba
AACHA NAHI LAGTA!
*
Shehjadiyon Ki Mehfil Mein Garib Majnu Ka Aana-Jaana
AACHA NAHI LAGTA!
*
Ameeron Ke Khayalon Mein Garibon Ka Dikhna... Ameeron Ko...
AACHA NAHI LAGTA!
[written by romil arora - copyright reserved]

Wednesday, November 5, 2008

KAHI AAG NA LAG JAYE!

tum aur hum
aur upper se yeh barsaat ka mausam
KAHI AAG NA LAG JAYE!
~
tum bhi jawaan, hum bhi jawaan
aur upper se yeh suhani hawan,
KAHI AAG NA LAG JAYE!
~
tum bhi deewane, hum bhi deewane,
aur upper se yeh aankhon ke mastane ishare,
KAHI AAG NA LAG JAYE!
~
tum bhi tanha, hum bhi tanha,
aur upper se yeh judai ka saama,
KAHI AAG NA LAG JAYE!
~
KUCH DIN DURR RAHO HUMSE
KAHIN HUM-TUM NA JAL JAYE,
KAHI AAG NA LAG JAYE
~
#Romil

तुम और हम 
और ऊपर से यह बरसात का मौसम 
कहीं आग न लग जाए... 

तुम भी जवान, हम भी जवान 
और ऊपर से सुहानी हवा 
कहीं आग न लग जाए...

तुम भी दीवाने, हम भी दीवानी 
और ऊपर से ही आंखों के मस्ताने इशारे 
कहीं आग न लग जाए...

तुम भी तन्हा, हम भी तन्हा 
ऊपर से यह जुदाई का शमा 
कहीं आग न लग जाए...

कुछ दिन दूर रहो हमसे
कहीं हम-तुम ना जल जाए
कहीं आग न लग जाए...

#रोमिल

Us Rab Par Mujhe Bharosa Nahi...

Jo Masoom Bacche Ki Bhookhi Cheekhe Nahi Sun Sakta,
Us Rab Par Mujhe Bharosa Nahi!
*
Jo Kisi Majboor Insaan Ki Izzat Nahi Bacha Sakta,
Us Rab Par Mujhe Bharosa Nahi!
*
Jo Khada Dekhta Rehta Hai Apne Bande Ka Ghar Ujadta Hua,
Us Rab Par Mujhe Bharosa Nahi!
*
Jiske Saamne Banta Hai Sacchai Ka Tamasha Yaaron,
Us Rab Par Mujhe Bharosa Nahi!

[written by romil arora - copyright reserved]