Sunday, January 4, 2009

kuch is tarah

bas hum to kuch is tarah mohabbat karte hai
unka naam sunate hi apna sar jhuka laite hai!

#Romil

बस हम तो कुछ इस तरह मुहब्बत करते है...
उनका नाम सुनते ही अपना सर झुका लेते है...

#रोमिल

Saturday, January 3, 2009

tanhai

tanhai dhundhate hai aansoo bahane ko
chale jayenge hum kahi, kabhi wapas na aane ko...

#Romil

तन्हाई ढूँढ़ते है ऑंसू बहाने को
चले जायेंगे हम कहीं, कभी वापस ना आने को...

#रोमिल

ya khuda sukriya tera

ya khuda sukriya tera
jo tune mujhe gum diya
is duniya mein bada kaam kiya...
~
thokharey jab khaye
jab gira main
gum ne bada saath diya
ya khuda sukriya tera
jo tune mujhe gam diya
is duniya mein bada kaam kiya...
~
jab sapne toote
jab main pareshan hua
jab main rootha
yaadon ko gale lagaya tab
gum ne bada saath diya
ya khuda sukriya tera
jo tune mujhe gam diya
is duniya mein bada kaam kiya...

#Romil

या खुदा शुक्रिया तेरा
जो तुने मुझे ग़म दिया
इस दुनिया में बड़ा काम किया...

ठोकरे जब खाई
जब गिरा मैं
ग़म ने बड़ा साथ दिया
या खुदा शुक्रिया तेरा
जो तुने मुझे ग़म दिया
इस दुनिया में बड़ा काम किया...

जब सपने टूटे
जब मैं परेशान हुआ
जब मैं रूठा
यादों को गले लगाया तब
ग़म ने बड़ा साथ दिया
या खुदा शुक्रिया तेरा
जो तुने मुझे ग़म दिया
इस दुनिया में बड़ा काम किया...

#रोमिल

kitna tanha hu main

kitna tanha hu main 
khud se ru-ba-ru ho leta hu main...
~
andheri raaton main
khud ko lori sunakar sula leta hu main...
~
jab aansoo girte hai aankhon se
khud-ba-khud pooch leta hu main...
~
jab besahara hota hu
apni baahon ko aashiana bana leta hu main...
~
Jab maut aayegi
khud ko chadar main chupa lunga main...
~
kitna tanha hu main
khud se ru-ba-ru ho leta hu main...

#Romil

इतना तन्हा हूं मैं 
खुद से रूबरू हो लेता हूं मैं... 

अंधेरी रातों में 
खुद को लोरी सुनाकर सुला लेता हूं मैं... 

जब आंसू गिरते हैं आंखों से 
खुद-बा-खुद पूछ लेता हूं मैं... 

जब बेसहारा होता हूं 
अपनी बाहों को आशियाना बना लेता हूं मैं... 

जब मौत आएगी 
खुद को चादर में छुपा लूंगा मैं... 

कितना तन्हा हूं मैं 
खुद से रूबरू हो लेता हूं मैं...

#रोमिल

sach hai rab main tujhse nafrat karta hu.

chup reh mann aaj mujhe bol lene de
apne mann ka saccha haal bata dene de
sach hai rab main tujhse nafrat karta hu.
~
main ab jhooti muskurahat lekar nahi jee sakta
aankhon ke aansoo ko aur nahi rok sakta
bahut simran kar liya tera rab ab main aur nahi kar sakta
sach hai rab main tujhse nafrat karta hu.
~
Sada vishwas kiya tujh par
hamesha har dukh tera ashirwad samaja
hazar kasth mile fir bhi satya ke maarg se nahi hata
magar sach hai rab main tujhse nafrat karta hu.

#Romil

चुप रे मन आज मुझे बोल लेने दे 
अपने मन का सच्चा हाल बता देने दे 
सच है रब मैं तुझसे नफरत करता हूं... 

मैं अब झूठी मुस्कुराहट लेकर नहीं जी सकता 
आंखों के आंसू को और नहीं रोक सकता 
बहुत सिमरन कर लिया तेरा रब अब मैं और नहीं कर सकता 
सच है रब मैं तुझसे नफरत करता हूं... 

सदा विश्वास किया तुझ पर 
हमेशा हर दुख तेरा आशीर्वाद समझा 
हजार कष्ट मिले फिर भी सत्य के मार्ग से नहीं हटा 
मगर सच है रब मैं तुझसे नफरत करता हूं...

#रोमिल

marr jaun isi waqt...

dil mein aata hai ki marr jaun isi waqt
qadam rukh jate hai yeh soch kar ki marr kar jana hai Rab ke ghar...

#Romil

दिल में आता है की मर जाऊं इसी वक्त 
कदम रुक जाते हैं यह सोचकर की मरकर जाना है रब के घर...

#रोमिल

mere rabb main tujhse nafrat karta hu.

dil se main kehta hu
mere rabb main tujhse nafrat karta hu
~
jala dena chahta hu teri banaiye yeh qayanat ko
yeh duniya ko
yeh aakash ko
tere banaiye sab shaitano ko
sab matlabparasth logon ko
dil se main kehta hu
mere rabb main tujhse nafrat karta hu.
~
aache logon ki khushi tujhse kabhi dekhi nahi jati
burai ke saada saath rehta hai tu
bebaso ki majboori ka faida uthata hai
masoom se zindagi cheen leta hai tu
dil se main kehta hu
mere rabb main tujhse nafrat karta hu.

bahut jyada nafrat karta hu.
bahut jyada.
[written by romil arora-copyright reserved]