Saturday, January 31, 2009

bachpan ki mohabbat ko...

bachpan ki mohabbat ko mann se juda kabhi mat karna
meri yaadon ko sanjo kar rakhna...
~
chandani raaton mein chand mein mera mukhda dekhna
hawaon ke saath mujhko sandesha bhejna
jab aaye kisi ke aane ki aahat
dil ko samjhana, mera khawab samajhana
bachpan ki mohabbat ko mann se juda kabhi mat karna
meri yaadon ko sanjo kar rakhna...
~
fariyad bas itni hai apna khayal rakhna
kabhi aankhon ko narm mat karna
honton par sada muskan rakhna
bachpan ki mohabbat ko mann se juda kabhi mat karna
meri yaadon ko sanjo kar rakhna...

#Romil

बचपन की मोहब्बत को मन से जुदा कभी मत करना 
मेरी यादों को संजो कर रखना... 

चांदनी रातों में चांद में मेरा मुखड़ा देखना 
हवाओं के साथ मुझको संदेश भेजना... 
जब आए किसी के आने की आहट दिल को समझाना... 
बचपन की मोहब्बत को मन से जुदा कभी मत करना 
मेरी यादों को संजो कर रखना... 

फरियाद बस इतनी है अपना ख्याल रखना 
कभी आंखों को नर्म मत करना 
होठों पर सदा मुस्कान रखना
बचपन की मोहब्बत को मन से जुदा कभी मत करना 
मेरी यादों को संजो कर रखना...

#रोमिल

Friday, January 30, 2009

jab usne mere khat...

jab usne mere khat jalaye honge
haath nahi uske jale honge...
jab bewafai ke liye kadam usne badaiye honge
zameen nahi dhaas gaye hogi...
jab soye hogi gair ki baahon main
qayamat nahi aaye hogi...
[written by romil arora-copyright reserved]

hum hai kirayedar...

naukari bhi hai
chokari bhi hai
nahi hai to bas ek ghar.
kirayedar
kirayedar
hum hai kirayedar...

tv raat bhar mat chalao
gaana zor se mat bajao
zor-zor se mat chillao
scooter tumne beech raste mein kyon khadi ki
tumne bahar darwaze ki chitkani kyon nahi band ki
roz-roz hai kitne lafde
hua mera bura haal
kirayedar
kirayedar
hum hain kirayedar...

dekho deewarein nahi gandi hone chahiye
kisi bhi tarah ki tod-phood nahi chahiye
raat 10:00 baje se pehle ghar aa jana chahiye
bijli bill ka rupiya har mahine alag se chahiye
ek saal ka kiraya advance mein chahiye
kirayedar
kirayedar
hum hain kirayedar...

shaadi se pehle koi ladki nahi aani chahiye
kisi bhi tarah ki party nahi honi chahiye
dost-yaaron ka raat mein rukna allow nahi
tumhara identity verification chahiye
kirayedar
kirayedar
hum hai kirayedar...

naukari bhi hai
chokari bhi hai
nahi hai to bas ek ghar.
kirayedar
kirayedar
hum hai kirayedar...

kirayedar


#Romil

Wednesday, January 28, 2009

jaane kya...

jaane kya khata ho gaye
zindagi juda ho gaye
toote kuch is tarah se apne khawab
zindagi khawab ho gaye...
[written by romil arora - copyright reserved]

do pal ki zindagi hai...

do pal ki zindagi hai
uljhane hain badi...
path-path hai zakhmi
raste mein mushkil hai badi...
aansoo mein kho gayi hai kyon khushi
koi nahi apna, be-gaano ki bheed hai badi...
kaha mein jaun
har raah mein maut hai khadi...

#Romil

दो पल की जिंदगी है 
उलझनें है बड़ी... 
पथ-पथ है जख्मी 
रास्ते में मुश्किल है बड़ी... 
आंसू में खो गई हैं क्यों खुशी 
कोई नहीं अपना, बेगानों की भीड़ है बड़ी... 
कहां मैं जाऊं 
हर राह में मौत है खड़ी...

#रोमिल

Tuesday, January 27, 2009

ek toota hua patta....

ek toota hua patta uda kar mere pass aaya
mujhse pucha
kiski khata se mera yeh haal hua hai
hawaa ka kasoor hai ya
khiza ka...

abhi to daal par thik se nahi jhool saka
abhi to kai panchiyon ki aawaze mujhe sunni baki thi
abhi to maine nahi dekhe kai basant
kiski khata se mera yeh haal hua hai
hawaa ka kasoor hai ya
khiza ka...

main bola
nahi pata mujhe kiska kasoor hai
hawaa ka, khiza ka ya
khuda ka
bas itna janta hu ki
kasoor kisi ka to hai...

#Romil

एक टूटा हुआ पत्ता उड़कर मेरे पास आया 
मुझसे पूछा 
किसकी खता से मेरा यह हाल हुआ है 
हवा का कसूर है या खिज़ा का... 

अभी तो डाल पर ठीक से नहीं झूल सका 
अभी तो कई पंछियों की आवाजे मुझे सुननी बाकी थी 
अभी तो मैंने नहीं देखे हैं कई बसंत 
किसकी खता से मेरा यह हाल हुआ है 
हवा का कसूर है या खिज़ा का...

मैं बोला 
नहीं पता मुझे किसका कसूर है 
हवा का, खिज़ा का या 
खुदा का 
बस इतना जानता हूं कि 
कसूर किसी का तो है...

#रोमिल

koi phool...

koi phool, khile bina hi toot gaya
koi khawab poora hue bina hi reh gaya
hum begano se kuch is tarah mile ki
apno se rishta hi toot gaya...

raat ki doli mein kuch aaise saawar hue
savere se haath hi chooth gaya
jaaye to ab jaaye kidar
raste mein tanha khade hai
karwan se naata toot gaya...

#Romil

कोई फूल, खिले बिना ही टूट गया 
कोई ख्वाब पूरा हुए बिना ही रह गया 
हम बेगानों से कुछ इस तरह मिले की अपनों से रिश्ता ही टूट गया... 

रात की डोली में कुछ ऐसे सवार हुए 
सवेरे से हाथ ही छूट गया 
जाए तो अब जाए किधर 
रास्ते में तन्हा खड़े हैं 
कारवां से नाता टूट गया...

#रोमिल