Monday, March 16, 2009

minnat aur mannat

kya rakha hai aaisi pal do pal ki zindagi mein Romil
Jo minnat aur mannat par teeki hai...
[written by Romil Arora-copyright reserved]

fark

tumhare jaane se meri zindagi main bas itna sa fark aaya hain
pehle main akela tanha rehta tha
ab tumhari yaadon ke saath tanha rehta hu.
[written by Romil Arora - copyright reserved]

choti si baat...

choti si baat hai magar badalon ko kaun samjhaye
chand ko khilauna batakar meri maa mujhe sulati hai...

#Romil

छोटी सी बात है मगर बादलों को कौन समझाये 
चाँद को खिलौना बताकर मेरी माँ मुझे सुलाती है...

#रोमिल

---guftagu---

bahaaron se kabhi fursat mile to humse bhi pal do pal guftagu kar lena
phoolon ko bhi kaanton ka dard pata hona chahiye...
[written by Romil Arora - copyright reserved]

Kal ki Tarah

gaya aaj ka din bhi kal ki tarah
usne mujhe yaad nahi kiya kal ki tarah...
~!~
hawan bhi lai nahi koi paigam uska
hum karte rahe intezaar uska kal ki tarah
gaya aaj ka din bhi kal ki tarah
usne mujhe yaad nahi kiya kal ki tarah...
~!~
mehfil sajate rahe gum-e-tanhai ki
hum raat bhar roote rahe kal ki tarah
gaya aaj ka din bhi kal ki tarah
usne mujhe yaad nahi kiya kal ki tarah...
~!~
pucha na haal kisi ne mera
ek nigah bhi nahi dali kisi ne pyar ki
hum fhir akele rahe kal ki tarah
gaya aaj ka din bhi kal ki tarah
usne mujhe yaad nahi kiya kal ki tarah...

#Romil

गया आज का दिन भी कल की तरह 
उसने मुझे याद नहीं किया कल की तरह... 

हवा भी लाई नहीं कोई पैगाम उसका 
हम करते रहे इंतजार उसका कल की तरह है
गया आज का दिन भी कल की तरह 
उसने मुझे याद नहीं किया कल की तरह... 

महफिल सजाते रहे ग़म-ए-तन्हाई की 
हम रात भर रोते रहे कल की तरह
गया आज का दिन भी कल की तरह 
उसने मुझे याद नहीं किया कल की तरह... 

पूछा ना हाल किसी ने मेरा 
एक निगाह भी नहीं डाली किसी ने प्यार की 
हम फिर अकेले रहे कल की तरह
गया आज का दिन भी कल की तरह 
उसने मुझे याद नहीं किया कल की तरह... 

#रोमिल

Sunday, March 15, 2009

dil se


sar dhak kar rakha karo dost mere
rab ka hamesha sar par haath rehta hai...
aafaton se khuda hamesha dur rakhta hai...
kaum ka hamesha maan rehta hai...

#Romil

सर ढक कर रखा करो दोस्त मेरे
रब का हमेशा सर पर हाथ रहता है...
आफ़तों से ख़ुदा हमेशा दूर रखता है...
कौम का हमेशा मान रहता है...

#रोमिल

kuch is tarah usse mohabbat ki kadiya jodi maine...

kuch is tarah usse mohabbat ki kadiya jodi maine Romil
ki paaon ki zanjeer ban gai...

#Romil

कुछ इस तरह उससे मोहब्बत की कड़िया जोड़ी मैंने रोमिल 
की पांव की जंजीर बन गई... 

#रोमिल