Friday, March 27, 2009

bewafai...

jab koi puchata hai uske baare mein
main haans kar baat taal deta hu Romil
magar aankhen uski bewafai ki dastaan suna deti hai...

#Romil

जब कोई पूछता है उसके बारे में 
मैं हंसकर बात ताल देता हूं रोमिल 
मगर आंखें उसकी बेवफाई की दास्तान सुना देती है...

#रोमिल

Thursday, March 26, 2009

~khud se rubaru~ ~sach se rubaru~

humne hamesha uspar aitbaar kiya...bina dekhe usse pyar kiya...magar usne ek baar bhi humpar aitbaar nahi kiya...
"humne nikal kar rakh di, jaan unke samne Romil
magar woh bole, yeh kafi nahi aitbaar-e-mohabbat ke liye"

humne hamesha uski har baat par aitbaar kiya...usne jhoot bhi bola tab bhi aitbaar kiya...magar usne ek baar bhi humpar aitbaar nahi kiya...
"usse jo jhoot bolane ki aadat padh gaye hain Romil,
kasoor mera tha jo uski har baat par aitbaar kar leta tha"
woh humko apna rabb kehti thi...magar ek baar bhi apne rabb se nahi milana chah...aur hum hamesha usse milane ke liye betaab rahe...
"main sochata tha woh shaks mujhe phool samajhata hain Romil
magar woh mujhe kaanta samaj kar pass na aaya kabhi"
usne kahan hum maut ke daaman main hain...fhir bhi humne uska saath nahi choda...maut ke safar main bhi uska haath pakade rahe, nahi choda...magar jab hamara accident hua, tab woh insaan ek baar bhi humse hamara haal bhi nahi puchane aaya...
"woh humko bewafa kehta hain Romil
zaara unse koiye waafa ka matlab to puche"
humne har kadam par uska saath daine ki poori koshish ki...uska har dukh apna maana...uske har dukh main hum rooye...magar aaj hum khush hain to unke parivar wale yeh keh rahe hain ki hum khush kyon nahi....kyon jee rahe hain apni zindagi....kya kiya uske parivar waalon ne kabhi hamare dukh-dard ke liye jo aaj woh hamari khushi par aitraaz kar rahe hain....
"jab unki judai main hum footh-footh kar roye to kisi ne dekha nahi Romil
aaj unki baanton ko yaad kar-karke muskura rahe hain to gunehgaar ho gaye"
kasoor kissa tha romil...yeh main nahi keh sakta...magar hum itna jante hain ki hamara kasoor bilkul nahi tha...bilkul nahi tha...
"yeh kehna bahut mushkil hain ki kasoor kiska tha Romil
mera ya uska...
magar itna janta hu ki dono ne zindagi khoye hain...
ek ne maut paaye hain to ek ne tanhai paaye hain..."

[written by romil arora - copyright reserved]

chala gaya...

mere har khawab woh todkar chala gaya
mujhe gum ke andhere mein tanha chodkar chala gaya
main karta raha hamesha uska intezaar mohabbat-e-sagar mein
woh mujhe toofan mein akela chodkar chala gaya...

#Romil

मेरे हर ख़्वाब वो तोड़कर चला गया
मुझे ग़म के अँधेरे में तन्हा छोड़कर चला गया
मैं करता रहा हमेशा उसका इंतेज़ार मुहब्बत-ए-सागर में
वो मुझे तूफान में अकेला छोड़कर चला गया...

#रोमिल

sannata...

itna sannata kabhi nahi tha mere aas-pass romil
jo aaj uske jaane ke baad hai... 

#Romil

इतना सन्नाटा कभी नही था मेरे आस-पास रोमिल
जो आज उसके जाने के बाद है...

#रोमिल

Wednesday, March 25, 2009

woh rab hai...

uske qatil ko dekha nahi kabhi Romil
lekin dil yeh kehta hai ki woh Rab hai...
woh Rab hai... 

#Romil

उसके क़ातिल को देखा नहीं कभी रोमिल...
लेकिन दिल यह कहता है कि वो रब है...
वो रब है...

#रोमिल

talash kar...

rehne de romil, 
ab na kisi ki talash kar 
jo apna tha, woh tanha chhod kar chala gaya 
ab na kisi ki talash kar... 
~ 
har aarzoo poori ho jaati teri 
agar khuda tere saath hota 
rehne de romil, 
ab na khuda ki talash kar... 
~ 
kya kahe kya guzari hai dil par 
zinda rahe bas jhooti muskaan ke saath 
ab na zindagi ki talash kar...

#Romil

रहने दे रोमिल 
अब ना किसी की तलाश कर 
जो अपना था, वो तन्हा छोड़कर चला गया 
अब ना किसी की तलाश कर... 

हर आरजू पूरी हो जाती तेरी 
अगर खुदा तेरे साथ होता 
रहने दे रोमिल 
अब ना खुदा की तलाश कर... 

क्या कहें क्या गुजरी है दिल पर 
जिंदा रहे बस झूठी मुस्कान के साथ 
अब ना जिंदगी की तलाश कर...

#रोमिल

uske deedar ke liye...

uske deedar ke liye dil muddat se beqarar tha

naseeb to nahi the milane ke,

fhir bhi aankhon ko intezaar tha...

***

chor kar raah main akela, chal diya mujhko

main baitha raha rashtee main tanha

mujhe uske laut aane ka yakeen tha...

***

milkar rukhsat bhi na kar saka usko

mere allah ka yeh kaisa insaaf tha...

***

aaj tak yeh nahi samaj paya romil

kyon mere zindagi main, nahi kisi ka pyar tha...

[written by romil arora - copyright reserved]