Wednesday, September 16, 2009

yeh zindagi nahi...

yeh zindagi nahi saaza hain
na jaane kya hui khata hain...
~*~
aadarsh-sansar ki uddha rahi dhajiya hain
chandi-sone ke sikke main band gaya insaan hain...
~*~
sach andhere main chala gaya hain
jhoot aur kapat badh raha ujala hain...
~*~
jurm-atyachar ka fhela samraj hain
na jaane khuda kahan chup gaya hain...

#Romil

यह जिंदगी नहीं सजा है 
ना जाने क्या हुई खता है... 

आदर्श-संस्कार की उड़ रही धज्जियां है 
चांदी-सोने के सिक्के में बंद इंसान है... 

सच अंधेरे में चला गया है 
झूठ और कपट बढ़ रहा उजाला है... 

जुर्म-अत्याचार का फैला साम्राज्य है 
ना जाने खुदा कहां छुप गया है...

#रोमिल

wajah-e-tanhai

yaadon mein chirag-e-dil jalta raha sari raat
hum wajah-e-tanhai kisi ko bata na sake...
~*~
faisala-e-ishq humko manzoor tha unka
hum toote hue khawab kisi ko dikha na sake....
~*~
daman-e-yaar ki aarzoo thi apni
hum jala hua haat chhupa na sake...
~*~
aarzoo thi ki unki nazron ke noor bane
hum apne aansoo bahane se bacha na sake...
~*~
yaadon mein chirag-e-dil jalta raha sari raat
hum wajah-e-tanhai kisi ko bata na sake...

#Romil

यादों में चिराग-ए-दिल जलता रहा सारी रात 
हम वजह-ए-तन्हाई किसी को बता ना सके... 

फैसला-ए-इश्क तुमको मंजूर था उनका 
हम टूटे हुए ख्वाब किसी को दिखा ना सके... 

दामन-ए-यार की आरजू थी अपनी 
हम जला हुआ हाथ छुपा ना सके...

आरजू थी कि उनकी नजरों के नूर बने 
हम अपने आंसू बहाने से बचा ना सकें...

यादों में चिराग-ए-दिल जलता रहा सारी रात 
हम वजह-ए-तन्हाई किसी को बता ना सके...

#रोमिल

Monday, September 14, 2009

naqaab...

naqaab hata do re zara
yeh sharm-o-haya hata do re zara
nazron se dil jalne do re zara
chirag-o-aftaab jalne do re zara
tera dar chodkar jaun kahan
abhi do ghadi dil ko behlane do re zara.

#Romil

नकाब हटा दो रे जरा 
यह शर्म-ओ-हया हटा दो रे जरा 
नजरों से दिल जलने दो रे जरा 
चिराग़-ओ-आफताब जलने दो रे जरा 
तेरा दर छोड़कर जाऊं कहां 
अभी दो घड़ी दिल को बहलाने दो रे जरा... 

#रोमिल

~anjaane main~

khushboo se mehak gaye dil-e-aashianaye main
ek purana khat pada anjaane main...
~*~
jin zakhamo ko waqt bhar chala tha
woh cheedh gaye anjaane main...
~*~
aankhon main naami thi, haansi thi hoonton par
kitne khawab machal rahe the anjaane main...
~*~
ta-umar dhoondhate rahe ishq duniya main
veeraniya mili khaton main hume anjaane main...
~*~
khushboo se mehak gaye dil-e-aashianaye main
ek purana khat pada anjaane main...
[written by romil arora - copyright reserved]

Saturday, September 12, 2009

main jaanu na...

tera dil maine thoda
tujhe tanha maine chod
kyon taraf raha hain mera dil
main jaanu na
main jaanu na
oh sanam main jaanu na
main jaanu na...
________
tu hain mere dil ki khushi
tu hain mere hoonton ki haansi
kyon gire hain aankhon se aansoo mere
main jaanu na
main jaanu na
oh sanam main jaanu na
main jaanu na...

[written by romil arora - copyright reserved]

tab bhi lagte ho kitne pass tum!

jab nahi hote pass
tab bhi lagte ho kitne pass tum!
~
mujhme chhupe ko dhadkan ki tarah
aaina dekhu to dekhe chhupe chehare ki tarah
aankhon mein band khawabon ki tarah
jab nahi hote pass
tab bhi lagte ho kitne pass tum!
~
barish ki har boond mein tum
phoolon ki har khushboo mein tum
suraj ki har kiran mein tum
jab nahi hote pass
tab bhi lagte ho kitne pass tum!

#Romil

जब नहीं होते पास 
तब भी लगते हो कितने पास तुम! 

मुझमें छुपे हो धड़कन की तरह 
आईना देखूँ तो दिखे छुपे चेहरे की तरह 
आंखों में बंद ख्वाबों की तरह 
जब नहीं होते पास 
तब भी लगते हो कितने पास तुम! 

बारिश की हर बूंद में तुम 
फूलों की हर खुशबू में तुम 
सूरज की हर किरण में तुम
जब नहीं होते पास 
तब भी लगते हो कितने पास तुम!

#रोमिल

Friday, September 11, 2009

dil bole hadippa!!

zindagi ke 60 saal mein aarzoo hui
shahid kapoor jaisa dikhu...
kabhi amrita
kabhi kareena
kabhi priyanka
to kabhi rani ke saath love scene karu...
~*~
isse dhun mein kaminey movie style mein
hair wig lagwa li
pehan kar punjabi suit
apni moustache bhi katwa li...
~*~
ghar mein jab aaya wapas
sab dekhkar hairan hue
bole
"budda satak gaya hai
budhape mein jawani ka bhoot ise chada hai
yeh bhi koi umar hoti hai fashion ki
safed baalon ko kaala karwane ki"
~*~
main to dil ki aarzoo mein bahe ja raha tha
ghar walon ki har baat ansuni kiye ja raha tha
baar-baar aaina ke pass jakar khud ko niharata tha
wig wale baalon par haath ferta tha...
~*~
aarzoo hui kisi amrita rao ke saath ishq-visk ho jaye
vivah ke bandhan mein hum dono band jaye
magar usne saath nahi diya
bas ek-do hits ke baad rishta tod liya...
~*~
ab tamanna thi ki koi kareena mil jaye
yeh zindagi bhi apni safal ho jaye
tabhi khidki se dekha
samne wali budiya khadi thi
mujhe dekh kar muskurate hue
mind blowing keh rahe thi
use dekha to aisa laga meri kareena mil gai
apni zindagi bhi safal ho gai
~*~
fir roz usse milne-milane ka silsila suru hua
apna budhapa bhi reverse gear mein chala gaya
tab apne saath ek tragedy hui
saif ali khan ki entry hui
dil mera tukade-tukade ho gaya
kareena saif ki
aur main
priyanka ka ho gaya...
~*~
Hum Dono ne raat ke dhai-dhai baje tak masti ki
shayad apna saath itna tha
uske mann mein to harman ka sapna tha
apni rashee mil na saki
apni kahani yahi par the end ho gayi...
~*~
Ab main samaj chuka tha
in budhiyo ke dil ka paragraph pad chuka tha
chewing gum ki tarah hum buddho ko hai yeh samajhati
jab tak maaza aaye tab tak chusati, baad main fek deti
maine fir qamar kas li
rani ke saath apni rashee bana li
ab bhool kar sab syappa
dil bole hadippa!!

#Romil