Wednesday, November 25, 2009

abhi kahan zamana tumne dekha...

abhi kaha zamana tumne dekha hai Romil 
abhi to aur zamana kharab aayega...
***
hamari hokar, aaj kal gair se karti hai baatein
isse bura kya zamana aayega...
***
rang layegi ek din meri wafai jarur
mera mehboob mujhse jarur milne aayega...
***
 uske siva kaun sath dega mera
farishta kahan baar-baar insaan ka roop lekar aayega...

#Romil

अभी कहां जमाना तुमने देखा है रोमिल 
अभी तो और जमाना खराब आएगा... 

मेरी होकर, आजकल ग़ैर से करती है बातें 
इससे बुरा क्या जमाना आएगा... 

रंग लाएगी एक दिन मेरी वफ़ाएँ जरूर 
मेरा महबूब मुझसे जरूर मिलने आएगा... 

उसके सिवा कौन साथ देगा मेरा 
फरिश्ता कहां बार-बार इंसान का रूप लेकर आएगा...

#रोमिल

Tuesday, November 24, 2009

woh mujhse bewafai karegi main janta tha


woh mujhse bewafai karegi main janta tha
fhir bhi dil usse hi apna rabb manta tha...
***
issi kashmakash main beeth gaye zindagi apni
woh apna tha ya paraya tha...
***
saare shehar main sab jante the usse mujhko
usse ne ab benaam mujhe banaya tha...
***
khelate the phool jisse dekh kar hooton pe
usse ne mujhe rulaya tha...
***
safar suru kiya tha usse ne mohabbat ka
usse ne khatam bhi kiya tha...
[written by romil arora - copyright reserved]

Asha...

subah-subah jab uthata tha
aangan mein mere
chi-chi ki aawaz sunai deti thi...
ek chidiyaan apne char baachon ke saath wahan rehti thi....
***
din bhar hoti kitni chehal-pehal mere aangan mein
chidiyaan apni chonch se baachon ko khana khilati thi...
***
shaam hote hi sab chup-chap apne ghosale mein baith jaate the
chidiyaan ke saath bade prem se sote the...
***
ek din subah utha
mere aangan mein ghosala pada tha
na chidiyaan thi
na koi uska baacha tha...
na jaane kaha woh sab apna ghosala chhod kar chale gaye the
shayad unke pankh nikal aaye the
aur sab ab udne lage the...
***
main roz subah sune aangan ko dekhata hu
us ghosale ko roz sajata hu 
isi asha ke saath
fir koi chidiyaan aayegi
fir mere aangan mein chehal-pehal hogi...

#Romil

सुबह सुबह जब उठता था 
आंगन में मेरे 
ची-ची की आवाज सुनाई देती थी...
एक चिड़िया अपने चार बच्चों के साथ वहां रहती थी... 

दिन भर होती कितनी चहल-पहल मेरे आंगन में... 
चिड़िया अपनी चोंच से बच्चों को खाना खिलाती थी...

शाम होते ही सब चुप-चाप अपने घोसले में बैठ जाते थे... 
चिड़िया के साथ बड़े प्रेम से सोते थे...

एक दिन सुबह उठा 
मेरे आंगन में घोंसला पड़ा था...
ना चिड़िया थी 
ना कोई उसका बच्चा था...
न जाने कहां वो सब अपना घोंसला छोड़ कर चले गए थे... 
शायद उनके पंख निकल आए थे और सब अब उड़ने लगे थे... 

मैं रोमिल रोज सुबह सुने आंगन को देखता हूँ 
उस घोंसले को रोज़ सजाता हूं 
इसी आशा के साथ 
फिर कोई चिड़िया आएगी 
फिर मेरे आंगन में चहल-पहल होगी...

#रोमिल

aa kahin ek naye duniya banaye hum...

aa kahin ek naye duniya banaye hum
apni khushiyoon se usko sajaye hum
tu mere pass rahe, mere khuda
main tere pass rahu, mere khuda...
aa kahin ek naye duniya banaye hum...
*****
chand, taaron se saaje aasman main
burf se bana hamara ek ghar ho
saath rangon se saje indradhanush main
hum tum saath-saath jhulate ho...
aa kahin ek naye duniya banaye hum
apni khushiyoon se usko sajaye hum
tu mere pass rahe, mere khuda
main tere pass rahu, mere khuda...
aa kahin ek naye duniya banaye hum...
*****
phoolon ki saje par laite rahe
teri zulfoon ki ghani saaye main soye hum
meri baahon ki panahon main teri zindagi beethe
teri aankhon main khoye rahe hum
tu mere pass rahe, mere khuda
main tere pass rahu, mere khuda...
aa kahin ek naye duniya banaye hum...
NAAZ...aa kahin ek naye duniya banaye hum...
*****
[inspired - written by romil arora - copyright reserved]

Sunday, November 22, 2009

ek gudda hu main...

ek gudda hu main...
ek gudda hu main...
khelane walon ke liye ek gudda hu main...
***
jab mann kiya dil bhela liya
jab mann kiya mujhko saaja liya
jab mann bhar gaya dil se nikal diya
jab mann bhar gaya kinare par rakh diya...
***
ek gudda hu main...
ek gudda hu main...
khelane walon ke liye ek gudda hu main...
***
jab gum main hote the mujhse hi baatein kiya karte the
jab gussa hote the mujhpar hi gussa nikal diya karte the
jab khushiya mili dusaron ki baahon ka sahara le liya...
****
ek gudda hu main...
ek gudda hu main...
khelane walon ke liye ek gudda hu main...
***
jab tak woh bachpan ki ungali pakade the
mujhe hamesha apne saath rakhate the
jaise hi jawani main kadam rakha
dusaroon ka haath tham liya...
***
ek gudda hu main...
ek gudda hu main...
khelane walon ke liye ek gudda hu main...
[written by romil arora - copyright reserved]

tu hai...

tujhse na jaane juda kyon ho gaye hum
kyon hain na jaane yeh dooriyaan...
tere bina kaise jiye hai hum
kya bataiye kya hain majbooriyaan...

tu pyar hai
tu hi rabb hai...
tu hai...
****
aankhon mein hai mere kitne sapne
aansoo ban kar sab beh gaye
....oooohhhh.....
yaadon main teri hum jiye
tere hi hokar reh gaye...

tu pyar hai
tu hi rab hai...
tu hai...
****
ehsaason main base ho tum
is dil ki dardhan main dharakte ho tum
....oooohhhh.....
tum baaton main meri ho
tum khawab main ho
jahan bhi nazare dekhe
tum hi tum nazar aa rahe ho....

tu pyar hai
tu hi rab hai...
tu hai...
****
khawabon mein kitni baar tumko choo liya
samne kabhi na lab tumse keh paye
...oooohhhh....
rahe tujhse kyon hamesha begane bankar hum
tere hokar bhi yeh dil...tere na ho paye

tu pyar hai
tu hi rab hai...
tu hai...
****
gair ke hoke bhi tum lagate apne se ho
durr se dekh kar tumko rote rehte hain
dil yeh darakta hai
aansoo tapakte hai
kisi se na kuch bole hum
na jaane kyun
na jaane kyun
....oooohhhh.....
har pal yeh soche mann
har pal yeh gaaye mann
tujhse na jaane juda kyon ho gaye hum
kyon hain na jaane yeh dooriyaan...
tere bina kaise jiye hain hum
kya bataiye kya hai majbooriyaan....

tu pyar hai
tu hi rab hai...
tu hai...
***

#Romil

Saturday, November 21, 2009

ehsaan tera hain mujhpar NAAZ....


Ehsaan tera hain mujhpar NAAZ
tune mujhse dosti ki...
is zindagi main gum hi gum the
tune khushiyoon ki baarish ki...
"mere maalik, mere humsafar...
naazaron ka qaram rakhana"
*
Yeh hi umeed hain ki tujhse rubaru hu
issi kashmakash main beethe hain kaiye raatein apni...
"yeh sitare tere aanchal se lagte hain
yunhi tanha main ispar laita rahu"
Koiye mujhse na puche haal-e-dil mera
main yunhi yaadon main khoya rahu
Na jaane kyon hain meri aankhein jhalki
main yunhi teri taraf main tarapta rahu...
"aaye sitamgar tere yaadon main tarafne main bhi kitna sukun hain..."
*
Bas ek aur ehsaan mujhpar kar tu
dekh le mujhko naazarein mohabbat se...
de apna haath tu mere haaton main
is zindagi se mujhko ab baari kar...
ehsaan tera hain mujhpar NAAZ

tune mujhse dosti ki...
is zindagi main gum hi gum the
tune khushiyoon ki baarish ki...
[written by romil arora - copyright reserved]