uski karni woh hi jaane
woh hi samjhe
woh hi pehchane...
*
usse bada na koi
sabse uccha ek bhagwant wohi...
*
woh hi mata
woh hi pita
uske siwa jhoota har rishta...
*
kaise rishte
kaise naate
sab hai bas aate-jaate...
*
do pal ki zindagi
maya duniya saari
jhooti shaan na dikha, kar nadani...
***
kaisa krodh
kaisa ahankar
meetha bol...bole sab sansar...
darbaar uske sar jhukao... na kar abhimaan...
*
uski karni woh hi jaane
woh hi samjhe
woh hi pehchane
uske aage bas nahi chalta
sabse bada woh hi bhawanta...
[written by romil arora - copyright reserved]
All my posts dedicated to My Rab NaaZ... Bas is tarah mohabbat ki namazein ada kar leta hun, naam NaaZ ka zameen pe likh sajda kar leta hoon... Written By ROMIL.COPYRIGHT RESERVED to http://www.sunny-raj.blogspot.com and writer!
Friday, February 19, 2010
sabse bada woh hi bhawanta..
Thursday, February 18, 2010
Ya fir...
Ya to mujhe apni qaid mein bandh le
Ya fir mujhe riha kar de Mitr...
***
Ya to mujhe khud mein sama le
Ya fir mujhe aawara kar de Mitr...
***
Ya to yeh aankhen band kar de
Ya fir intezaar ke pal mita de Mitr...
***
Ya to yeh zindagi le le
Ya fir zindagi ki dua na de Mitr...
Ya fir mujhe riha kar de Mitr...
***
Ya to mujhe khud mein sama le
Ya fir mujhe aawara kar de Mitr...
***
Ya to yeh aankhen band kar de
Ya fir intezaar ke pal mita de Mitr...
***
Ya to yeh zindagi le le
Ya fir zindagi ki dua na de Mitr...
#Romil
या तो मुझे अपनी क़ैद में बांध ले
या फिर मुझे रिहा कर दे मित्र...
या तो मुझे ख़ुद में समा ले
या फिर मुझे आवारा कर दें मित्र...
या तो यह आँखें बंद कर दें
या फिर इंतेज़ार के पल मिटा दे मित्र...
या तो यह ज़िन्दगी ले ले
या फिर ज़िन्दगी की दुआ ना दे मित्र...
#रोमिल
Rabb janta hain...
Kyon mila mujhe bewafa ka saath Rabb janta hain
Kyon toota mera dil baar-baar Rabb janta hain...
***
Thi to uski baaton main mohabbat
Dil main kyon jehar bhara hua tha, Rabb janta hain...
***
Aankhon main kyon aate hain khawab
Fhir kyon aansoo ke saath beh jaate hain, Rabb janta hain...
***
Intezaar ka pal kyon nahi khatam hota,
Kyon aati hain intezaar-e-shaam, Rabb janta hain...
***
Parwane ko kyon hoti hain shaama se mohabbat,
Kyon parwana shaama main jal jaana chahta hain, Rabb janta hain..
[written by romil arora - copyright reserved]
Wednesday, February 17, 2010
kash-ma-kash
Badi ajeeb kash-ma-kash mein zindagi bitati hai Romil
Bewafai karo to woh rota hai
Wafa karo to hum rote hai...
#Romil
बड़ी अजीब कशमकश में ज़िन्दगी बीतती है रोमिल
बेवफाई करो तो वो रोता है
वफ़ा करो तो हम रोते हैं...
#रोमिल
intezaar~~
Tere intezaar ka chirag kabse dil main jala rakha hain NAAZ
Keh do haawan se aakar mujhe bhujha de...
[written by romil arora - copyright reserved]
Sochata hoga..
Dard daine bhi nahi aata ab woh
Sochata hoga dard se mera rishta judh gaya...
Puchata bhi nahi hain ab mera haalchal kisi se
Sochata hoga judai-e-gum se shayad marr woh gaya...
[written by romil arora - copyright reserved]
Tuesday, February 16, 2010
KUCH...
Ab manzil ki raah mein chalne ko dil nahi karta Romil
Ab aarzoo hai ki khud manzil chal kar hamare kadamo mein aaye!
***
Itni Shiddat-e-aadat aachi nahi hoti Romil
Tu to Nafrat bhi karta hai Shiddat ke saath!
***
Badi zor se udega kisi din duniya ke sab bandhan todkar yeh kabutar Romil
Chahe jitna bhi daulat-e-husn se bandh lo uske paro ko!
#Romil
अब मंजिल की राह में चलने को दिल नहीं करता रोमिल
अब आरजू है की ख़ुद मंजिल चलकर हमारे क़दमो में आए...
इतनी शिद्दत-ए-आदत अच्छी नहीं होती रोमिल
तो तो नफरत भी करता है शिद्दत के साथ...
बड़ी ज़ोर से उठेगा किसी दिन दुनिया के सब बंधन तोड़कर यह कबूतर रोमिल
चाहे जितना भी दौलत-ए-हुस्न से बांध लो उसके परो को...
#रोमिल
Subscribe to:
Posts (Atom)