Wednesday, May 19, 2010

Aaj bhi khushboo tere khat se aati hain...

Aaj bhi khushboo tere khat se aati hai
Aaj bhi khat padh lu to aankhon se need chhen jaati hai...
*
Aaj bhi tere likhe shabdon par gumaan hota hai
Aaj bhi har pal tere naam hota hai...
*
Aaj bhi shabd tere nagme bankar hawaa mein bhikhar jaate hai
Aaj bhi shabd tere fizaon mein gaate hai...
*
Aaj bhi zindagi roshan ho jaati hai
Aaj bhi khaton mein chupi teri mohabbat badi yaad aati hai...

#Romil

आज भी खुशबू तेरे खत से आती है 
आज भी खत पढ़ लूं तो आंखों से नींद छिन जाती है... 

आज भी तेरे लिखे शब्दों पर गुमान होता है 
आज भी हर पल तेरे नाम होता है... 

आज भी शब्द तेरे नगमे बनकर हवा में बिखर जाते हैं 
आज भी शब्द तेरे फ़िज़ाओं में गाते है... 

आज भी जिंदगी रोशन हो जाती है 
आज भी खातों में छुपी तेरी मुहब्बत बड़ी याद आती है...

#रोमिल

Tuesday, May 18, 2010

jhuka nahi tha kabhi apna sar

jhuka nahi tha kabhi apna sar
hum bhi sultan hua karte the...
*
koi khareed nahi sakta tha
aisa besh-keemati haar hua karte the...
*
mohabbat kya kar li
hum raaste ke pather ho baithe
kabhi hum bhi tajmahal hua karte the...

#Romil

झुका नहीं था कभी अपना सर 
हम भी सुल्तान हुआ करते थे... 

कोई खरीद नहीं सकता था 
ऐसा बेशकीमती हार हुआ करते थे... 

मोहब्बत क्या कर ली 
हम रास्ते के पत्थर हो बैठे 
कभी हम भी ताजमहल हुआ करते थे...

#रोमिल

TERE LIYE...

ITNA TO KOI BANDA BHI NAHI JHUKA HOGA KHUDA KE LIYE
JITNA MAIN JHUKA HU SANAM TERE LIYE...
*
KAASH YEH SAMJHA PATA MAIN KHUD KI ROOH KO
TU NAHI BANI HAIN MERE LIYE...
*
KIS KI BADDUA MUJHE LAGI HAI
MUJHE NAHI PATA
MAGAR SACH HAI
BAHUT JALIL HUA HU MAIN TERE LIYE...
*
IS BAZAR MEIN HUSN-E-JAAN AUR BHI HAI
MAGAR NA JAANE YEH DIL DHADAKATA HAI KYON SIRF TERE LIYE...
*
JITNA ROYA HU MAIN TERE LIYE
UTNE TERE MAA-BAAP KYA
KHUDA BHI NAHI ROYA HOGA TERE LIYE...

#ROMIL

इतना तो कोई बंदा भी नहीं झुका होगा खुदा के लिए 
जितना मैं झुका हूं सनम तेरे लिए... 

काश यह समझा पाता मैं खुद की रूह को 
तू नहीं बनी है मेरे लिए... 

किस की बद्दुआ मुझे लगी है मुझे नहीं पता 
मगर सच है बहुत जलील हुआ हूं मैं तेरे लिए... 

इस बाजार में हुस्न-ए-जाम और भी है 
मगर ना जाने यह दिल धड़कता है क्यों सिर्फ तेरे लिए... 

जितना रोया हूं मैं तेरे लिए 
उतने तेरे मां-बाप क्या खुदा भी नहीं रोया होगा तेरे लिए...

#रोमिल

Monday, May 17, 2010

PHIR TOOTA KYA HAI...

AANKHON MEIN CHUPA HUA YEH DARD KYA HAI...
DIL NAHI, SAPNA NAHI, UMEED NAHI... PHIR TOOTA KYA HAI...

#ROMIL

आंखों में छुपा हुआ यह दर्द क्या है... 
दिल नहीं, सपना नहीं, उम्मीद नहीं... 
फिर टूटा क्या है...

#रोमिल

YAAD AATI NAHI...

PARDESH MEIN GHUMANE WALE
TUJHE KABHI APNE GHAR KI YAAD AATI NAHI...
*
MAA KI CHITTHI TO KABHI KHOL KAR PADH LIYA KAR
TUJHE USME CHUPI MAMTA KI MEHAK YAAD AATI NAHI...
*
KAB TAK JHUKTA RAHEGA YEH SAR, GUNEHGARO KE AAGEY
APNE BABU JI KI PAGADI KI IZZAT YAAD AATI NAHI...
*
DO ROTI KE LIYE BAICH DIYA TUNE APNA IMAAN, APNA DHARM
GURUON KI BANI TUJHE YAAD AATI NAHI...

परदेस में घूमने वाले 
तुझे कभी अपने घर की याद आती नहीं... 

माँ की चिट्ठी तो कभी खोलकर पढ़ लिया कर 
तुझे उसमें छुपी ममता की महक याद आती नहीं...

कब तक झुकाता रहेगा यह सर, गुनाहगारों के आगे 
अपने बाबू जी की पगड़ी की इज्जत याद आती नहीं... 

दो रोटी के लिए बेच दिया तूने अपना ईमान, अपना धर्म, 
गुरुओं की बानी तुझे याद आती नहीं...

#रोमिल

#ROMIL

Friday, May 14, 2010

Saata-saata ke tujhe majboor main kar dunga

Saata-saata ke tujhe majboor main kar dunga

Apni taraf se tujhe beqaraar main kar dunga
Aayegi khud chal kar tu maire pehlu main
Tere dil main apni mohabbat ka aisa toofan main kar dunga...
[written by romil arora - copyright reserved]

khuda qasam itna hi kaafi hain...

dum bhar ko hi sahi

aaya to unko hamara khayal
khuda qasam itna hi kaafi hain...
*
hum rahe roshani se mehroon
mehfil main unki shama jali hain
khuda qasam itna hi kaafi hain...
*
na jaane yeh qayamt kya rang layegi
haata hain jo unka naaqab
ab to yeh jaan jayegi
khuda qasam itna hi kaafi hain...
*
layega rang ek din jarur hamari wafa ka
chahe umar yeh dhal jaye
woh khud aayega hamare kareeb
khuda qasam itna hi kaafi hain...
[written by romil arora - copyright reserved]