Saturday, July 24, 2010

jaise aankhon par ujala rakha hai!

raat bhar neend nahi aati hai
jaise aankhon par ujala rakha hai!
*
woh mujhe dekhkar bhi do qadam nahi chala yaaron
jaise pairon mein zanjeer band rakha hai!
*
kisse kahu unki shikayat mere doston
har kisi ko to unhone apna humdum bana rakha hai!
*
khuda se bas itni si dua mangate hai hum
woh mera dil riha kar de
jo unhone apne pehlu mein chhupa rakha hai!

#Romil

रात भर नींद नहीं आती है 
जैसे आंखों पर उजाला रखा है... 

वो मुझे देखकर भी दो कदम नहीं चला यारों 
जैसे पैरों में जंजीर बांध रखा है... 

किससे कहूं उनकी शिकायत मेरे दोस्तों 
हर किसी को तो उन्होंने अपना हमदम बना रखा है... 

खुदा से बस इतनी सी दुआ मांगते हैं हम 
वो मेरा दिल रिहा कर दे 
जो उन्होंने अपने पहलू में छुपा रखा है... 

#रोमिल

Friday, July 23, 2010

INCOME minus EXPENDITURE = PROFIT

~MANAGEMENT MASTI MAIN~

INCOME minus EXPENDITURE = PROFIT

Is FORMULA ko samajhane ke liye kisi DEGREE ki jarurat nahi hoti hai...

keep learning... keep walking... keep growing...
---------------
bahut simple si baat hai... koiye jaruri nahi hai ki business karne ke liye kisi degree ki jarurat hai... magar shiksha jarur hai... hamesha seekhate rehna jaruri hai... 

agar aap kisi bhi wajah se school/ college main padh nahi paye to yeh mat sochiye ki aap business nahi kar sakte...

Mere hisaab se har woh insaan business kar sakta hai, jisse....
Yeh pata hai ki PROFIT kya hota hai???
PROFIT nikala aata hai???
Yeh pata hai kaise customer ki pocket main se apne saaman ka RIGHT PRIZE nikal sakte hai???

Business ke liye bahut jaruri hai ki aap business ko samjhe... aap business ki gehraiye tak jaye... jitna jyada prize analysis kar sake utna aacha hota hai... hamesha seekhate rahe... innovation karte rahe... aur MANN SE SUNDAR RAHE...

Ohh... Guptayeen Jee...

NaaZ... GuNn... tumko kuch unique sunata hu... aise hi mann se kahan to likha...

*
Ohh... Guptayeen Jee...
Ohh Pyari Guptayeen Jee...
chaal to dekho iski
smile to dekho iski
sabke dil par chaaye
yeh hai pyari guptayeen...
ohh.. Guptayeen Jee
ohh... Pyari Guptayeen Jee...
*
bhashan sabko daite
dusaron ki problem main fhasi rehti
pehalwan se bheedh jati
government employee ko jimmedari samjhati
sabke dil par chaaye
yeh ahi pyari guptayeen...
ohh.. Guptayeen Jee
ohh... Pyari Guptayeen Jee...
chaal to dekho iski
smile to dekho iski
sabke dil par chaaye
yeh hai pyari guptayeen...
ohh.. Guptayeen Jee
ohh... Pyari Guptayeen Jee...
*
panga na lena isse
danga kar degi yaaron
parsad churaya to mandir main pujari ko nanga kar daiti yaaron
traffic hua to yeh mantri ko phone kar daiti yaaron
vardi ka roob dekhaya to thanedaar ko jail main band kar daiti yaaron
chaal to dekho iski
smile to dekho iski
sabke dil par chaaye
yeh hai pyari guptayeen...
ohh.. Guptayeen Jee
ohh... Pyari Guptayeen Jee...
*
motorcycle yeh chalaye
internet par chatting bhi isse aaye
angregi jab yeh bole, angrej bhag jaye
[i can leave angrej behind]
sab kehte hai yaaron
Guptayeen Jee... apna desh bhi chalaye...
chaal to dekho iski
smile to dekho iski
sabke dil par chaaye
yeh hai pyari guptayeen...
ohh.. Guptayeen Jee
ohh... Pyari Guptayeen Jee...
[written by romil - copyright reserved]

Friday, July 16, 2010

bhooli-besari baatein yaad aa jati hai

bhooli-besari baatein yaad aa jati hai
aksar tanha raatein yaad aa jati hai...
*
kabhi khud par sarmindagi hone lagati hai
kabhi khud ki sanjeedagi yaad aa jati hain...
*
mujhpar shaq karne ki aadat purani thi tumhari
kabhi tumhari jurm ki kahani yaad aa jati hain...
*
zindagi kam hai itna to pata tha mujhe
safar main akele chod jaane ki ada yaad aa jati hain...
*
bhooli-besari baatein yaad aa jati hai
aksar tanha raatein yaad aa jati hai..
[written by romil arora - copyright reserved] 

Thursday, July 15, 2010

Woh zidd par aadhe-aadhe rehte hai...

Woh zidd par aadhe-aadhe rehte hai...
Jaise phool, kaanton se lipate-lipate rehte hai...
*
Anban main hum-dono is tarah uljhe hai
Woh durr bhi rehte hain, kareeb bhi rehte hai...
*
Har ek baat par jo mera zikr kiya karte the
Woh aajkal mera naam laine se bhi parhej kiya karte hai...
*
Uljhan hai bas is baat ki dil main RoMiL
woh dekar dard mujhe
kyon itna tanhai main rote hai...
[written by romil arora - copyright reserved]

Tuesday, July 13, 2010

Ms. Jee... Jee...

NaaZ... GuNn hum aapko ek shararat song sunate hain... sirf masti hain baba... sachi...
-------------------
Ohh... Jee... Jee...
Ms. Jee... Jee...
Jee... Jee...
Jee... Jee... Karke yeh bheja mera re khaye
Chotey-Baade re sabko yeh Jee... Jee... Keh kar bulaye...
(kal padosi ke kuttey ko bhi yeh Doggy Jee keh kar bula rahi thi...) 
Kaise hain yeh punjaban na mirch... na garam masala... re hey...

Dekh kar isko

Punjabi munde re yeh gaaye...

HEY...
JEE...JEE...
Ohh.. Ms. Jee... Jee...
*
Gal mitthi-mitthi bole
Shehad re isme ghole
Down to Earth... Simple, Loving re rehte

Dekh kar isko
Punjabi munde re yeh gaaye..

HEY...
JEE... JEE...
Ohh... Ms. Jee... Jee...
*
Inni sohni hai yeh
chasmis anmol hai yeh
chehara manmohani iska
chal par bajate iske taashe dhol hai

Dekh kar isko
Punjabi munde re yeh gaaye...

HEY...
JEE...JEE...
Ohh.. Ms. Jee... Jee...
*
khud ki problem na solve kar paye
jisse pyar kare, usse izhaar na kar paye
par dusaron ko samjhaye ban kar NANI
Dekh kar isko
Punjabi munde re yeh gaaye...

HEY...
JEE...JEE...
Ohh.. Ms. Jee... Jee...
*
Pal main ho jaati hain jazbaati
sabke dukhon ki hain woh saathi
ek hain laakhon main
sabke dil ki shehzaadi

Dekh kar isko

Punjabi munde re yeh gaaye...

HEY...
JEE...JEE...
Ohh.. Ms. Jee... Jee...
[written by romil arora - copyright reserved]

Saturday, July 10, 2010

NOTICE

NOTICE

1. Sabko yeh nivedan ke saath hum batana chah rahe hai ki hamara kisi bhi SOCIAL NETWORKING SITES aur FORUM (FACEBOOK, ORKUT, TWITTER, OTHERS) par ACCOUNT NAHI HAI... NA HI KOI PROFILE HAIN...

2. Hamare pass currently 03 E-Mail accounts hain... Ek Yahoomail par... Do Gmail par (Ek hamara aur Ek GuNn ka diya hua mail Id hai)...

In mail ids se hum kisi ko koi.mail NAHI KARTE HAI...

3. Hamare pass koi bhi MOBILE NO. NAHI HAI...

Aapka

#Romil