Monday, April 2, 2018

Bandishe do tarah ki hoti hai...

Ammi kehti thi...

Bandishe do tarah ki hoti hai...

Ik insaan ko bigaad deti hai...
Dusari insaan ko sawaar deti hai...

04th April

#Romil Arora

Sunday, April 1, 2018

Gar hum udne ke liye pankh dete hai to...

4th April... Maa ka Birthday...

Ammi kehti thi...

Gar hum udne ke liye pankh dete hai to...
Pankh katarna bhi jante hai...

Humko kamzor aakna tumhari galatfehmi sabit hogi...
Hum khandani log hai...
Isliye apna mizaz nurm rakhte hai...

aur

Bachane aayenge Faristee unko...
Jo apne ghar mein Quran rakhte hai...

#Romil Raj

Shor wale juban pe lagaam bhi rakhte hai...

Sagar se keh do...
Shor wale juban pe lagaam bhi rakhte hai...

Apni gehrai pe itna mat itrao...
Hum Sagar ko khangalne ka hunar rakhte hai...

aur

Sahil se milkar yeh lehrein palat jaati hai...
Yeh log ab bhi Sagar par aetbaar rakhate hai...

aur

Humko dunai-e-ajab se kya lena-dena
Hum Bande-e-Khuda hai...
Khuda se kaam rakhate hai...

#Romil

सागर से कह दो... 
शोर वाले जुबान पे लगाम भी रखते हैं... 

अपनी गहराई पे इतना मत इतराओ...
हम सागर को खंगालने का हुनर रखते हैं... 

और 

साहिल से मिलकर यह लहरें पलट जाती हैं 
यह लोग अब भी सागर पर एतबार रखते हैं 

और 

हमको दुनिया-ए-अजब से क्या लेना-देना 
हम बंदे-ए-खुदा हैं... 
खुदा से काम रखते हैं... 

#रोमिल

Kaha gaya guzaar do zindagi uske saath to guzaar di...

Humne kabhi kisi se Sikayat nahi ki...
Bas yahi Galti umarbhar ki...

Kaha gaya guzaar do zindagi uske saath to guzaar di...
Kabhi khud ki khawaish jahir nahi ki...

Khilati hai...
Pilati hai...
Fir Halal karti hai...
Tangein fhelati hai... Kehti hai pyar karti hai...
Jism diya use magar kabhi Rooh se usse mohabbat nahi ki...

aur

Utar jayenge kai sareefjaado ke naqaab...
Humne khamosiyon ki parat jo utar di...

#Romil Arora

Rab... Sar dekh kar Sardari deta hai...

Rab... Sar dekh kar Sardari deta hai...

RadhaSoami

Saturday, March 31, 2018

Sar chaddkar mohabbat ka asar bolta hai

Sar chaddkar mohabbat ka asar bolta hai...
Jab apne seene mein mehboob ka dil bolta hai.. 

Tum lakh kar lo parda...
Sach to tumhari nazaron se bolta hai...

Aksar milte ho baat nahi karte ho...
Lub khamosh rehte hai par jism bolta hai...

aur

Main sirf qatil hun, gunehgar nahi...
Uska yeh zameer roz usse bolta hai...

31st March

- RaJ 

Tasveer teri fhat jaati hai...

Mere ashkon mein teri tasveer utar aati hai...
Jitna bhi chupana chaho Ishq ki khushbu fhal jaati hai...

aur

Hum tummein aur Teri tasveer mein koi fark nahi samajhate hai...
Jab-Jab teri bewafai yaad aati hai...
Tasveer teri fhat jaati hai...

31st March...

-RaJ