Tuesday, April 3, 2018

Patharon mein bhi Zindagi bana deta hai...

Patharon mein bhi Zindagi bana deta hai...
Khuda bhi hone ke kya-kya Saboot deta hai...

aur

Andhiyan sab kuch lapet ke chali jayengi...
Par mujhse meri himmat nahi le payengi...
Khuda apne Bandon ko musibatein bhi unke hisab se deta hai...

Ammi meri kehti thi...

04th April...

#Romil Arora

Tumhara lehja bata raha hai Siyasat karte ho

Yeh sab aasman se utare hue Faristee hai...
Inhe Sorry.... Sorry...  Sorry....  Kaho...
Yeh safedposh log hai...
Inhe Bhastachari mat kaho...

aur

Kadwahat bhare Shabd Mithas se bhar gaye...
Tumhara lehja bata raha hai Siyasat karte ho...

- Romil RaJ

Woh Shaks Kitabon mein hi uljha reh gaya...

Woh Shaks Kitabon mein hi uljha reh gaya...
Saamne uske zindagi ka pal nikal gaya...

aur

Kabhi Kitabein karti thi uski baatein mujhse...
Kitabon mein chupa phool, daba ka daba reh gaya...

#Romil Arora

Monday, April 2, 2018

Teri mohabbat wajah hai meri bekari ke peeche..

Bujurgon ki rivayat hai meri khuddari ke peeche...
Teri mohabbat wajah hai meri bekari ke peeche...

aur

Ammi kehti thi...

Karm us Kul Malik ka hi to hai...
Jo aaye the Beparda is jahan mein...
Saj Sawar ke band-baajee ke saath pahuche kabristan mein...

4th April...

#Romil Raj 

Tu katre ko haaton mein thame reh gaya...

Tu katre ko haaton mein thame reh gaya...
Tere haaton se Sagar nikal gaya...

aur

Tu marr kar bhi zinda rahegi...
Tera naam, mere naam ka hissa bankar hai reh gaya...

#Romil

तू कतरे को हाथों में थामे रह गया... 
तेरे हाथों से सागर निकल गया... 

और 

तुम मर कर भी जिंदा रहेगी... 
तेरा नाम, मेरे नाम का हिस्सा बनकर है रह गया... 

#रोमिल

Tu mere haaton ki lakeron mein nahi...

Tu mere haaton ki lakeron mein nahi...
Mere naseeb mein nahi... Qismat mein nahi...

Par...

Tu mere chehre ki parchai mein to hai...
Tu meri juban ke shabdon mein to hai...

#Romil

तू मेरे हाथों की लकीरों में नहीं... 
मेरे नसीब में नहीं... किस्मत में नहीं... 

पर 

तू मेरे चेहरे की परछाई में तो है...
तू मेरी जुबान के शब्दों में तो है... 

#रोमिल

Maut to waqt pe hi aayegi...

Maut to waqt pe hi aayegi...
Usse pehle teri bewafai mujhe nigal jayegi...

aur

Yeh Deep apni dhun mein Jal raha hai...
Ise jalne do...
Jab andherein qareeb honge tab ise apni qeemat samajh aayegi...

- Sun