Wednesday, April 11, 2018

Mooh ke bal girenge yeh ucche makaan wale

Mooh ke bal girenge yeh ucche makaan wale...
Khud hi jal marenge... Mujhe jalane wale...

Kitne dino tak mauj-e-kashti mein rahoge...
Kabhi to kinare aayenge yeh Sagar wale...

Hum bachte rahe kaanton se... humein to Phoolon ne maar dala...
Mere apne hi the Khema badalne wale...

Aur

Meri keemat tum nahi laga paoge...
Hum tumhari boli uchalenge sadakon mein, bazaron mein...

Sagar tumko dubone ki lakh koshish karega...
Sahil tumko bacha lega...
Yahi fark hai apno mein, begano mein...

- Romil RaJ

Tuesday, April 10, 2018

Yaad karoge mujhe dafnane ke baad bhi...

Janazein khol-khol ke dhundhoge mujhe...
Yaad karoge mujhe dafnane ke baad...

aur

Is tarah tumhari zindagi mein ishq ke rang bhar jayunga...
Tum pee na sakoge Sagar haath mein utane ke baad...

#Romil Arora

Monday, April 9, 2018

Jo uski Inayat hogi to sawar jayunga...

Jo uski Inayat hogi to sawar jayunga...
Warna khaakh bankar mitti mein mil jayunga...

aur

Tum rakho Sagar ka hisaab...
Humein Katre ekattha karne do...

Mujhpe uthai hai ungali kai baar tumne...
Hum bhi bolenge...
Jawab denge...
Hamara bhi waqt aayega...

- Romil RaJ

Sach se Rubaru...

Maine apni duniya ko bahut chhota kar rakkha hai...
Bas teen pag (Maa, NaaZ, GuNn) mein hi nap jaati hai...

aur

Maine apne shabdon ko chaar dishao mein bandh rakkha hai (Maa, NaaZ, GuNn, Khud)

#Romil Arora

Sunday, April 8, 2018

Chahe tum jitne taiyaar kar lo Jhooti Baaton ke Laskar...

Chahe tum jitne taiyaar kar lo Jhooti Baaton ke Laskar...
Koi Emaan ke Suraj ke aage nahi tik payega...

Tum lehron ko sametane mein waqt zaaya karte rahoge...
Sagar tumhare haaton se nikal jayega...

aur

Nasha-e-Taaqat mein ho abhi...
Jab Khuda ki maar padegi... Saara guroor nikal jayega...

Chahat hoti hai tumhein tumhari chaukhat pe hi maare...
Par tu to Shadyantrakari hai... Meri dushmani ke layak bhi nahi...
Agar hum dahaad bhi de to tumhara dum nikal jayega...

- Romil RaJ

Saturday, April 7, 2018

Main uski Begum hun... Sirf Saath Fheron ki wajah se...

Meri baat are chhodo Miya...
Tumhein khudpe bhi to aitbaar hota...

Mujhe bura kehne wale to tamam log hai...
Jo bura kehte hai mujhe...woh khud to aacha hota...

Maana tere-mere masle tamam hai...
Yeh dushmani... Yeh ranjishein sareaam hai...
Magar koi to hota jo HAQ ke saath khada hota...

aur

Main uski begum hun... Sirf Saath Fheron ki wajah se...
Kaash... Jise Rooh saopi apni...  Dil diya apna... Woh hi apna Shauhar hota...

#Romil

मेरी बात छोड़ो मियां... 
तुम्हें खुदपे भी तो ऐतबार होता... 

मुझे बुरा कहने वाले तो तमाम लोग हैं 
जो बुरा कहते हैं मुझे... वो खुद तो अच्छा होता... 

माना तेरे-मेरे मसले तमाम है... 
यह दुश्मनी, यह रंजिशे सरेआम है 
मगर कोई तो होता जो हक़ के साथ खड़ा होता... 

और 

मैं उसकी बेगम हूं... सिर्फ सात फेरों की वजह से... 
काश... जिसे रूह सौंपी अपनी... दिल दिया अपना... वो ही अपना शौहर होता...

#रोमिल

Friday, April 6, 2018

Mohabbat aisi dekhi ki dil bhar aayaa...

Mohabbat aisi dekhi ki dil bhar aayaa...
Woh bhi tasveer se nikal aaya...

Fhaake ke din rahe ho ya fir Gurbat ne use gehra ho...
Uski jhopdi mein khud ko maine Rani ki tarah paaya...

aur

Pehle apne grehba mein jhako jo humein bewafa keh rahe hai...
Humne inko kai baar apne dushmano ke saath hai paaya...

- Romil RaJ