All my posts dedicated to My Rab NaaZ... Bas is tarah mohabbat ki namazein ada kar leta hun, naam NaaZ ka zameen pe likh sajda kar leta hoon... Written By ROMIL.COPYRIGHT RESERVED to http://www.sunny-raj.blogspot.com and writer!
Saturday, April 14, 2018
Teri raza ke bina chuhu tujhe...
Teri raza ke bina chuhu tujhe...
Mujhe yeh gavara nahi...
Kyonki main Aashiq hun tera Haq jatane wala Shauhar nahi...
- RaJ
Mujhe yeh gavara nahi...
Kyonki main Aashiq hun tera Haq jatane wala Shauhar nahi...
- RaJ
Har aansoo...
Har aansoo ki ik apni kahani hoti hai...
Koi aankhon se dhulak jata hai...
Koi aankhon ke samundar mein hi samaya rehta hai...bahar nahi aata hai...
To koi Dil ke andar hi bhar jata hai... Wahi apna ghar basa leta hai...
Koi khushboo bankar Khushi ke saath udd jaata hai...
Har aansoo ki apni qismat hoti hai...
- ⛅

Friday, April 13, 2018
Silsila pyar tak nahi pahucha...
Aaina tang aakar toot jayega...
Jo mujhe aajmaoge to bikhar jaoge...
Abhi dikha lo tum apni narazgi...
Hum bhi nahi bolenge jab hamari kabr pe aaoge...
Maana ki hum Kitab purani hai...
Par iske nuskhe aajmaoge to sawar jaoge...
Rangeen nazarein kai milenge tumko...
Par Hamari jaisi saadgi dhoondhe nahi paoge...
aur
Tasveerein bhi khoob nihari...
Baatein bhi ki...
Qasme bhi khai...
Kai Raatein jaag kar kaati bhi...
Aansoo bhi bahaye...
Galiyan bhi di... Kosa bhi use... Jalil bhi kiya...
Roothe bhi... Usko manaya bhi...
Saare daav-pech chal ke dekh liye...
Par Silsila pyar tak nahi pahucha...
#RaJ

Thursday, April 12, 2018
Humse kehta...
Kaash kabhi qareeb mere bimaar-e-yaar hota...
aur humse kehta...
Mere sarhane se uthkar mat jao...
Kabhi dildar-e-yaar se jo hum rooth jaate...
to humse kehta...
Udaas chhod ke in rangeen mausamo ko mat jao...
aur
Kabhi padte hum saath qasam-e-mohabbat...
kabhi humse kehta...
Aakhiri dum tak saath nibhayunga... Aakhiri saans tootane tak mera saath chhodhkar mat jao...

Yeh Bandisein hai Kehlati...
Ammi kehti thi...
Paak rehne ki hidayat dena...
Sar dhak kar rakhna... Kaum ka pehnawa pehanna...
Kaum ke logon ki khidmat karma...
Bandisein nahi hai kehlati...
Ucchi talem se rokna...
Haq ki baat kehne se rokna...
Fark karma...
Khawaishon ko pankh na lagana...
Pinjare mein qaid rakhna, udane ki izajat na dena...
Yeh Bandisein hai kehlati...

Wednesday, April 11, 2018
Hum Sagar pe kadam rakhkar chalte hai...
In katron se keh do, beh humko mat dikhao...
Hum Sagar pe kadam rakhkar chalte hai...
Adchano tum bhi aao...
Aandhiyon tum bhi aao...
Toofano tum bhi aao...
Bhavaron tum bhi aao...
Hum sar pe kafan baandkar Safar karte hai...
Yeh keet-patange chale hai roshani se muqabala karne...
Hum apni jebon mein imandari ka suraj rakhate hai...
Aur
Kisi KAMJARB se baat karne se behtar hai chhup raha jaye...
Hum log khandani hai dushmani mein bhi usool rakte hai...
- Romil Raj

Subscribe to:
Posts (Atom)