Monday, April 23, 2018

Vyatha... Kirayedaar...

Vyatha...

Humne to apna Dil diya tha saal-do saal Kiraye ke liye...
Doctorni Sahiba to Kabza karke hi baith gai...

Mukadma ladte-ladte 12 saal beet gaye...
Par insaaf na mila...
Na jaane kitni baar sunwai hui...
Taareekhe badli...
Kitne Judge badal gaye...
NaaZ vakeel ne samjhauta bhi karwana chaha...
Par mere Dil se gair-kanooni kabza na hata pai...

Gurudware, Dargah ke chakkar bhi lagaye...
Devi-Devta ko prasad bhi chadaye...
Na jaane kitne Panditon-Maulavilo ko rishwat bhi khilai...
Par kahi bhi sunwai nahi hui...

Kitni baar bola hai Kirayedaar ko khareed hi lo ab is Dil-roopi makaan ko...
Par uspar bhi woh raazi nahi hui...

Ajeeb samasya hai yeh...
Jiska koi Samadhan nahi...

#Romil Arora

Meri Chhoti si zindagi...

Meri zindagi Maa se shuru hoti hai...
GuNn pe aakar khatam ho jaati hai...

Beech mein ek Sundar sa padav aata hai NaaZ...
Jahan mein apni saari thakaan door kar leta hun...

Meri chhoti si zindagi...

#Romil Arora

Sunday, April 22, 2018

RadhaSoamiJi - Charan Sharan Ki Vandana, Nit Koi aur Na Kaam, Guru Baso Chit Aay Mere, Baksh Do Nij Naam


RadhaSoamiJi - Guru Dhyan Dharo Tum Man Mein, Guru Naam Sumir Chin-Chin Mein...


Bewajah hi Bewajah si baat ho gai...

Bewajah hi Bewajah si baat ho gai...
Tumse nazre kya ladi zindagi badnaam ho gai...

Shabdon ki kheechatani aisi hui...
Ki Labon pe matam ki raat ho gai...

Aksar milte ho... Nazre milate ho... Gumsum hamare qareeb se nikal jaate ho...
Aisi kya khata huzur humse ho gai...

aur

Dekh ke tumko ab lagne laga hai...
Jo Imarat rehti thi Buland ab Khandar ho gai...

#Romil Arora

Ghar Deep se nahi Mohabbat se Roshan hota hai...

Ghar Deep se nahi Mohabbat se Roshan hota hai...

- Romil RaJ

RadhaSoamiJi - Guru Ki Kar Hardum Puja, Guru Samaan Koi Dev Na Duja... Guru Ki Sewa Nit Kariye, Tan Man Guru Aagey Dhariye...