Wednesday, May 2, 2018

Uljhano mein Uljhe...

Uljhano mein Uljhe...

Ajeeb baat hai...
Use meri baaton ka bura lagta bhi nahi hai...
Woh mujhse rishta todata bhi nahi hai...
Mujhe apnata bhi nahi hai...

Kuch puchu...
To bolta bhi nahi hai...
Mere sawalon ka jawab deta bhi nahi hai...

Zindagi hai ya uski koi Khazana...
Chupaye-Chupaye firta rehta hai...
Apni zindagi ki kitab kholta bhi nahi...

Waqt mera barbaad karne se use kya haasil hoga...
Mujhe nakamiyon mein dhakelane se use kya mil jayega...
Kaun si Dushmani hai use mere saath...
Main isi uljhan mein uljha rehta hun...
Woh suljhata bhi nahi hai...

#Romil

उलझनों में उलझे...
अजीब बात है 
उसे मेरी बातों का बुरा लगता भी नहीं है... 
वो मुझसे रिश्ता तोड़ता भी नहीं है... 
मुझे अपनाता भी नहीं है... 

कुछ पूछो 
तो बोलता भी नहीं है 
मेरे सवालों का जवाब देता भी नहीं है...

जिंदगी है या उसकी कोई खजाना 
छुपाए - छुपाए फिरता रहता है 
अपनी जिंदगी की किताब खोलता भी नहीं है... 

वक्त मेरा बर्बाद करने से उसे क्या हासिल होगा 
मुझे नाकामियों में धकेलने से उसे क्या मिल जाएगा 
कौन सी दुश्मनी है उसे मेरे साथ... 
मैं ऐसी उलझन में उलझा रहता हूं 
वो सुलझाता भी नहीं हैं...

#रोमिल

Har rishta Bed-Bistar ka hi to nahi hota...
Woh shayad yeh samajhta hi nahi hai...

#Romil

हर रिश्ता बेड-बिस्तर का ही तो नहीं होता...
वो शायद यह समझता ही नहीं है...

#रोमिल

Tuesday, May 1, 2018

Chand ke liye to Suraj ko bhi chhupana padta hai...

Bandishon mein bhi sawarna aana chahiye...
Chand ke liye to Suraj ko bhi chhupana padta hai...

Zindagi se samjhauta nahi karna chahiye...
Apne Usoolon pe chalkar hi insaan Adarshwadi banta hai...

aur

Bandisein do tarah ki hoti hai...

Ik Sher ko pinjare mein qaid karke rakhna...
Aur Dusari Sher ko yeh ehsaas karwa dena ki Jungle ki Paridhi kitni hai... Rekha paar kroge to maar diye jaoge...

- Romil RaJ

Janamdin ki Badhai...

khawab... iN+dU = I & U

Revadi-Mewa Kheer se bhari katori lekar qareeb mere aai...
aur boli...
Aapne pucha nahi... Maine yeh Kheer aaj kyon banai?

Main bola...
Aaj aapka janamdin tha...
Isliye hai Kheer mujhe khilai...

Woh boli...
Yaad tha...
To kyon nahi di mujhe Badhai...

Main bola...
Kya tere-mere rishtee mein bachi hai itni gehrai...
Ki padhu tere liye Dua aur du tujhe Badhai...

Ik chhupa hua ansuljha sa rishta...
Jiski dor sirf mene thaam rakhi thi...
Har pal mene pyar ki bheekh maangi...
Tum to mere dukh mein bhi saath khadi na reh saki thi...
Kyon chahti ho purani baaton ki ladai...

Tumne Kheer banai...
Maine Khai...
Isi ko samjho apne Janamdin ki Badhai...

- RaJ

Uljhane hi Uljhane...

Uljhane hi Uljhane...

Sirf In+dU hi nahi... Aur bhi bahuton se pareshan hun...

Ik rupiya ke chote wale sikke ne pareshan kr rkha hai...
Bikhari ko do... to woh bhi lauta deta hai...

Dus rupiya ka sikka... Samajh hi nhi aata kon sa chal rha hai kon sa nhi chalta...
Roz koi na koi jhik-jhik kr hi leta hai...

Duniya lagi hai Tarah-Tarah ke shadyantra rachane mein... Naye-Naye kaand rachane mein...
Koi gap marta us ladki ko SMS kiya... Koi gappe krta usko prem-patra likha... Koi meri shaadi-bacchon ki gappe hakata...
Na koi ladki Rubaru hokr humse baat krti... Na face-to-face Ilzaam lagati hai...
Pata nahi kya drama chal rha hai...
Poore shehar, poori dunia mein mere naam ka dhindhora-nagada peeta hua hai...

Ik baar pata chal jaye to saale ko patak ke marna hai...

Monday, April 30, 2018

Dheere-Dheere iska Hausala badta jyega...

Yeh jis roshani pe itna itra raha hai...
Dekhna yahi ujala ise nigal jayega...

Dariya mein utarne ka hunar ise pata nahi...
Kahan yeh Sagar ki gehrai naap payega...

Tumhe jo lagta hai yeh mamuli sa piyada...
Yahi ik din Vazir ko kha jayega...

aur

Shab-e-Barat hai...
Kabron ko sajaya jaye...
Aaj ki raat apno ke bichadne ke gum ko bhi khushi ke saath manaya jayega...

aur

Pehla naam puchata tha...
Fhir tasveer mangata tha...
Ab use chahta hai...
Dheere-Dheere iska Hausala badta jyega...

- Romil RaJ-Sultan

Uljhi hui raatein...

Uljhi hui raatein...
उलझी हुई रातें...

Sawalon si ghiri...
Uljhi hui raatein...
Mujhse jawab puchati hui...
Jagati-Tadapti hui raatein...

सवालों से गिरी 
उलझी हुई रातें 
मुझे जवाब पूछती हुई 
जागती-तड़पती हुई रातें...

Zindgi yunhi barbaad karne ka irada hai...
Ruhoon sang baatein...
Ajnabiyon sang mohabbatein karne ka irada hai...

जिंदगी यूंही बर्बाद करने का इरादा है...
रूहों संग बातें... 
अजनबियों संग मोहब्बतें करने का इरादा है...

Waqt ret ki tarah haath se fisalta hua...
Umar ka aaina jism pe jhalakta hua...
Na manzil koi... Na safar ka pata...
Na footi kaudi haath mein... Na kafan ka pata...
Yunhi bandh kamre mein ghutate hue marne ka irada hai...

वक्त रेत की तरह हाथ से फिसलता हुआ... 
उम्र का आईना ज़िस्म से झलकता हुआ... 
ना मंजिल कोई... ना सफर का पता... 
ना फूटी कौड़ी हाथ में... ना कफन का पता... 
यूंही बंद कमरे में घुटते हुए मरने का इरादा है...

Use tera hona hota to kab ki ho jaati...
Yunhi na chhupti firti...
Na tohmate lagati...
Kisi padav pe... Kisi gum mein tera haath pakad kar sahara deti...
Door yuh na sirf baithi baatein banati...
Tasveerein dekh-dekh ke dum ghotne ka irada hai...

उसे तेरा होना होता तो कब की हो जाती... 
यूंही ना छुपती फिरती... 
ना तोहमतें लगाती... 
किसी पड़ाव पे... किसी गम में तेरा हाथ पकड़ कर सहारा देती... 
दूर यूं न सिर्फ बैठी बातें बनाती... 
तस्वीर देख-देख के दम घोंटने का इरादा है...

Zindgi yunhi barbaad karne ka irada hai...
जिंदगी यूंही बर्बाद करने का इरादा है...

#Romil
#रोमिल

Sunday, April 29, 2018

Hum Ishq Mein udhari nahi rakhte hai...

Hum ishq mein udhari nahi rakhte hai...
Jawab ka Jawab turant dete hai...
Bekaari nahi rakhte hai...

Tumhe ho na ho meri parvah
Hum teri Khushian chahte hai, tere liye dua padte hai...
Mohabbat mein dunia-dari, tool-mool nahi karte hai...

aur

Tumhein apni aap-beeti kehne se dar lagta hai...
Aur Hum kuch bhi kehne se pehle sochte nahi...
Apna rishta... Namak-Cheeni sa lagta hai...

- RaJ