Friday, May 18, 2018

Woh insaan kitabon mein hi uljha reh gaya...

Woh Insaan kitabon mein hi uljha reh gaya...
Uske samne se Manzar nikal gaya...

Akhbaron ka use bahut shauk tha...
Woh khud khabar bankar reh gaya...

Tum thame reh gaye Chnd Katre apni okhaliyon mein...
Tere haaton se Saagar nikal gaya...

aur

Main chahta hun woh mandir ka Deep bane...
Jise raahon mein andheron se ladte hue ik arsa ho gaya...

- Romil RaJ

Sabse pehla davaikhana apni Rasoi hoti hai...

Ammi kehti thi...

Ise pavitra, sudh, saaf-suthara rakho...
Sabse pehla davaikhana apni Rasoi hoti hai...

Ismein thodi si mishri rakho...
Juban meethi rahe to hi aachi lagti hai...

Yeh koi mazboori ka samjhauta nahi hai...
Sar dhaka rahe to Surat sohni lagti hai...

Hamesha aachi kitabon se dil lagaye rakho...
Rooh ke liye yeh khuraak jaroori lagti hai...

Neki... Khidmat-pasandagi... Ebadat... Naam ki Kamai... Haq-halal ki kamai...
Inke bina zindagi ik mrityun si lagti hai...

#Romil Arora

RadhaSoamiJi - Aap Satguru Bade Hi Mahaan Hai, Saare Brahmand Ki Muskaan Hai, Mere Adharon Pe Rahe Teri Dasta, Nahi Duniya Se Koi Vasta...



Thursday, May 17, 2018

Jao use khushboo ki kitab de aao...

Ammi kehti thi....

Jao use khushboo ki kitab de aao...
Use ik gulab de aao...

Yunh na likho baar-baar uska naam kaagazon pe...
Utho jao use sorry ka greeting card de aao...

Chaurahe pe jao Chai piyo...
Use bun-makhan khilao...
Gurudware le jao... Mattha tika aao...
Kuch dair wahi baithkar Gurbani bhi sun aao...

Lautate hue uski pasand ki Sabji lete aana...
Bana dungi...
Raat hote hi Kheer sang Sabji uske ghar de aao...

Ab utho bhi...
Ghar mein lete-lete manusiyat mat pehlao...

Jao...

#Romil Raj

RadhaSoamiJi - Soami Ji Maharaj Jashn-Di-Shatabdi ka Waqt Aa Gaya hai (1818-2018) - Beautiful Video - Radha Soami Satsang by Pakistani Qawwal


Sunya hai Baba Ji Tu Dukhiaan Da Dardi


Kya faida itne bade bahumat ka Miya...

Kya faida itne bade bahumat ka Miya...
Pichale chaar saalon mein Ik Sansad to theek se chalwa nahi paye...

Kehte hai Sabse jyada Sadasyon wali Party hai Miya...
Par sirf Do Cheraron ke aage koi teesara chehara to la nahi paye...

Duniya Jeeta to Sikandar bhi tha...
Par gaya Khali Haath...
Kya faida us jeet ka Miya... Jo nafraton ko pyar mein badal na paaye...
Jannat ko Jalne se rok na paaye...

aur

Muft Ration (National Food Security)...
Muft Shiksha (Sarv Shiksha Abhiyan)...
Muft Swasthya Sewa (Ayushman Bharat)...
Awas, Pani, Bijli, Sauchalay, Gas Chulha... Rozgaar ki Guarantee... Bima... Bank Khata.. Kaushal Vikas...
Kya faida insab sarkari yojnao ka Miya...
Jab Garib Ko, Kisan Ko... marne se bacha nahi paaye...

- Romil RaJ