Monday, May 21, 2018

Tu SUN main DEEP piya ji...

Suraj, Aam ke patton ke jhurmut se jhakane laga...
Murgi apne chujhoo sang idhar-udhar dolne lagi...
Ped pe kauwein jhund banakar kauw-kauw karne lage...
Bailon-Gaayon ke lautane ki dhoo aasmano mein udne lagi...

Woh Pagli, Pani ki Balti aur haaton mein Gamcha liye apne Saiyan Ji ka intezar karne lagi...

Tu SUN main DEEP piya ji...

- Romil RaJ

Sazaa keval Garib bhugatate hai...

NaaZ kehti hai...

Bade-Bade Vakilon ko bade log khareed lete hai aur nyay ke surakhon se bahaar ho jaate hai. Sazaa keval Garib bhugatate hai...

Chhoti-Chhoti baatein bhi darj karwa deni chahiye... Kabhi-2 Chhota sa surakh bhi badi gufa ka rasta bata deta hai...

Kanoon mein andazan koi baat nahi hoti...

NaaZ kehti hai...

Kanoon mein andazan koi baat nahi hoti. Pramaarh ka likhit bayaan Satya se milta hona chahiye... Dono halaton mein yeh kamjor sabit hua to koi kuch nahi kar sakta...

Mujhse paison ka hisaab kya mangate ho...

Mujhse paison ka hisaab kya mangate ho...
Khud ho be-sawaal, jawab kya mangate ho...

Zamuriyat ko dhikhane ke liye saja rakhi hai tumne yeh aftaar-e-party...
Khuda se fir Roze ka hisaab kya mangate ho...

Saari awaam ko pata hai kaun hai gunehgar... Kisne ki hai himakat...
Fir yeh sabut, yeh tehreer kyon mangate ho...

aur

Jab Saiyaan bane hai Kotwaal... Dar kahe ka...
Fir Romil insaaf kisse mangate ho...

- Romil RaJ

Saturday, May 19, 2018

Yeh alag-alag dharm ka alag-alag dress code kyon hota hai...

Ammi kehti thi...

Bhalu...

Jitni zarurat hoti hai parinde utna hi bada ghosala banate hai...
Chentiyaan sanjokar khana rakhti hai...

Suraj bina ruke-thake jalta rehta hai...
Kiske aadesh ka palan kar raha hai...

Bailon-Gayon ke kadmo ki dhool Saanjh hote hi udne lagti hai...
Dudh mein ghee-malai-makhan kaha chhupa hota hai...

Kaise subah ki pehli kiran ki aahat se phool khil uthate hai...
Yeh indradhanush kyon itne rangon se range hote hai...

Jangal mein ped-paude-phoolon ki rakhwali kaun karta hai...
Yeh alag-alag dharm ka alag-alag dress code kyon hota hai...

Is ghumati hui dunia mein insaan umarbhar ghumata hi kyon rehta hai...
Sambhalkar baith kyon nahi jata hai...

#Romil Raj

Kajal ka chhota sa tika tere maathe pe laga dun...

Ammi kehti thi...

Bhalu... Kajal ka chhota sa tika tere maathe pe laga dun...
Aa tujhe maa wala pyar dun...

Goad mein sar rakh le...
Tujhe sukun wali neend dila dun...
Aa tujhe maa wala pyar dun...

Garm Ghee-Cheeni sang tujhe roti khilwa dun...
Matke ke thande pani mein nimboo-shakkar mila shikangi bana dun...
Chandani se bheege khule thande aasman mein tere liye pateeli bhar Kheer rakh dun...
Aa tujhe maa wala pyar dun...

Mango-Shake piyega ya fir burf fhodke Lassi bana dun...
Kulfi khayega ya thanda-thanda rooh-afza bana dun...
Thandai to piyega hi... Sang mein Badam-Kaju Shake bhi bana dun...
Aa tujhe maa wala pyar dun...

#Romil Raj

Friday, May 18, 2018

Dheere-Dheere hi asar karega...

Ammi kehti thi...

Bhalu... Tu na meethi dava ki goli sa hai...
Dheere-Dheere hi asar karega...

Elachi sa hai tu...
Zindagi mein mehak bharega...

Ghee mein chupadi Roti sa hai...
Mathani se madi hui Lassi sa hai...
Silbatte pe pise hue Masale sa hai...
Martbaano mein rakha hua purana Aachar sa hai...
Okhali mein peesi teekhi Lal Mirchi sa hai...
Rasoi si aati Halwe ki khushboo sa hai...
Tu rooh mein utarkar dastak to karega...

Asar karega... Dheere-Dheere hi asar karega...

#Romil Arora