Saturday, June 9, 2018

Chhoto-Chhoto...

Ammo kehti thi...

Bhalu... ko Chhoto-Chhoto bola karta hai...

"Nadaan logon ko Suraj bhi chhoto so laage...
Par woh hi saare jag mo prakash fhelaave"

"Chhoto so naav...
Saare samundar pe apno raj chalave"

"Chhoto so chenti bhi...
Bado so bado haathi ko chit kar aave"

"Chhoto so sui...
Woh kar jaave... Jo talvar na kar paave"

aur

Main to marr-khap jayungi...
Bada Bhai toko do-roti bhi na khilave...
Apno vaste...
"Chhoto-Chhoto punji joda kar,
Bura waqat mo Chhoti Punji bhi badi kaam aave"

#Romil Arora

Tumhi Kaho...

Abhi bistar pe anginat karwatein lete hue soch raha tha...

Tumhein 'Dip' bulau...
'Dipa' bulau...
Pyar se 'Deepu' pukaru,
'Pali' hi keh du...
Tumpar swabhimaan karte hue 'Deep' hi kaha karu...
Ya mazaak mein 'Ali' bulau...
Ya sirf 'Di' hi rehne du...

Tumhi Kaho 'Dipali' kya kahu?

Main to GuNn ka RaJ hu...
GuNnRaJ hi rehne do...

- ⛅

Friday, June 8, 2018

Irade buland ho to manzil qadmo tak aa hi jaati hai...

Ammo kehti thi...

Bhalu... Irade buland ho to manzil qadmo tak aa hi jaati hai...

aur

Jo insaano se mohabbat nahi kar sakta...
Woh Allah se mohabbat kya karega...

Arsh aur fharsh ke chakkar mein rahoge to zindagi bhar beech mein latakna padega...

Deeni kitabein padne ke saath-saath samajhana bhi padega...

Andhera door bhagana itna aasan nahi hai
Khud Deep ki tarah jalna padega...

#Romil Arora

Duniya ka ilm bhi seekho...

Ammo kehti thi...

Bhalu... yeh mujhe mazhabi baatein mat sikhaya kar...
"Deen ke elm ke saath...
Duniya ka ilm bhi seekho...
Log aankhon se kaajal chura le jaate hai...
Apne chashme se duniya ko dekhna seekho..."

aur

Bhalu... Kitabi hidayat nahi, khud Krishna bano, khud Rama bano...
"Jab kisi chhoti si masoom bacchi ke saath galat hove,
To na HanumanJi Gadha leke prakat hove,
Na Khuda, aasman se dori latka ke neeche zameen pe aave...
Khud Ram bano, Raavan ko maro,
Khud Krishna ban Dropadi ka cheer badana hove"

aur

Jab apna hi sikka khota hove...
Dusare ki ladki ko bolkar kya fayda hove...

aur

Baap, Bhai, Pati na Beta...na Behane...
Mera to koi bhi Saga nahi nikla...
"Tu Bhalu, apni soch,
Paise jama karna seekh,
Yahan to bina paise ke koi laash bhi na fhuke"

#Romil Arora

Wednesday, June 6, 2018

Radio...

thandi-thandi badan ko cherati hui hawayein chal rhi thi...

hum chhat pe akele tanha khatiya pe aaram se dono haaton pe sar ko rakhe lete hue,
khule aasman mein taaron ko nihaar rahe the...

Fhate-Purane, Maile-Kuchele Takiye ke bagal mein rakhe RADIO pe ik geet baj utha...
'khud bhi aasman se jb zameen pe dekhata hoga, mere Mehboob ko kisne banaya sochata hoga...'

Honton pe bhaav-bheeni muskaan liye meri aankhein chhalchhala uthi...
Chanchalhirday mein bhav umad pade, tumhari yaadon ne fir raat bhar sone nahi diya..."

- RaJ

Jab Chhota tha to Do Nivale Roti ke...

Ammi kehti thi...

Jab Chhota tha to Do Nivale Roti ke khane ke liye poore ghar ke chakkar lagwa deta tha...
Ab bada ho gaya hai to akele hi kha leta hai Maa ko puchhata bhi nahi...

aur

Joru ke aate hi Rang badal gaye Bete ke,
Ganda khoon to asar dikhata hi hai na...

aur

Yeh rishteedar mere sage nahi hue
Bete ke sage ban rahe hai...
Dekhna ek din Beta bhi dhokha khayega... Tab iske samaj mein aayega...

aur

Beton se wafaa na mil saki to Meri Maa ne Kutta rakh liya...

#Romil Arora

Apna Dil-Dimaag Pagal to nahi hai...

Yeh Dil kisi aur pe aata bhi nahi hai...
Uske siwa Kambhakht kisi ko chahta bhi nahi hai...

Aisa nahi hai ki mere shehar mein Haseen, Khoobsurat log nahi hai...
Par yeh kisi ke chehare pe tikta bhi nahi hai...

Usne... 
GuruJi ke pass koi arzi to nahi laga rakhi hai...
Ya Jadoo-Tona, Kaala Jadoo,
Fir koi Mantra to padh kar mujhpar fhuka to nahi hai...

Ya fir apna Dil-Dimaag Pagal to nahi hai...

- RaJ