Wednesday, June 13, 2018

Udne do...

NaaZ kehti hai...

udne do...
dekhate hai kitni dair udd payenge.
jab thakaan liptegi pairon mein,
khud-ba-khud zameen pe utar aayenge..

- ⛅

Aasman mein kisi ka ghar nahi hota
jo zameen ka nahi hota,
woh kisi ka nahi hota...

Tuesday, June 12, 2018

Ammo kehti thi... Bhalu...

Ammo kehti thi...

Yeh Bhalu koi seedha-sadha nahi hai...
Piyo hai duja...
Pran Nath hai...
Kisi din maar-kaat kar dalega...
Tum log dekh lena...

Dekho kitna sateer hai Bhalu...
Maa ko paise bhijwata hai to maa se sign. karwa leta hai...
Sateer hai chhota...

aur

Mere liye to sabhi rishtedaar mar chuke hai...
Bhalu.... Tumhare saamne zindagi padi hai...
Tum nibha sakte ho to nibhana...

aur

Beta... Mere pas to fhooti-kudi nahi hai...
Jo aaj tak kamaya... Tum logon pe hi kharcha kar diya... khud ka to ek bhi shauk poora nahi kiya...
Tu apne liye kuch Paisa jod-jama kar le...
Bada Bhai, Pani nahi puchane wala hai tujhe...
Akele aise hi meri tarah kamre mein marr jayega...

#Romil Arora

batati nahi hai...

hosiyar ho gai, siyani si betiya...

ab shabdon mein katauti karne lagi hai...
bata ke to pehle bhi nahi jaati thi bahar,
ab kahan se aati hai yeh bhi chhupati hai...

vasundhara se connaught place... Cab se gai ya metro pakdi ya fir saathi-yaar apni private car mein le gaya... 
batati nahi hai...

moroccan chesse spring rolls, cheese cowboy nachos and veg platter... 
sukha-sukha to khaya nahi hoga?
saath mein Beer pi ya fir 2-4 Whiskey Peg lagaya...
batati nahi hai...

jab dusara koi aa jaye handsome zindagi mein ladkiyaan tabhi yeh sab chhupati hai...

(khush rahe tu sada yeh dua hai meri)

- ⛅

Ammo kehti thi... Bhalu...

Ammo kehti thi...

Bhalu... Dahej to humne manga nahi tha,
Izzat mangi thi...
Woh bhi nahi mili..

Mahino Tiffin lagwakar diya,
Naye-Naye Suits khareedwa kar diye...
Par parai ladki to nikali parai...

aur

Dusara Gogi hai yeh marzana...
Jee chahta hai Bade wale ki maa-behan sek dun...
Biwi ke isharon pe naach raha hai kamina...

Gogi ne mere maa-bhai ko sataya hai...
Main to mar-khap jayungi...
Magar aasheeshein nahi, baddua dekar jayungi....
Bhugtega jaroor woh bhi marzana...

aur

Bhalu... Apne liye khud ladki pasand kar lena,
Mera dimaag mat khana....
Bade wale ka dekh, bhugat chuki hun,
Tum khud hi laavan-phere daal aana...
Mujhse mat kehna...

#Romil Arora

Radio... kisi hotel mein khaaye...

fhakkad ban sadak par main thehal raha tha...
shaam ka waqt tha...

naalo ki safai ho chuki thi... naale se malba, koodha nikaal kar sadak pe chittara pada tha...
sadak se sati hui gali ke kinare chhota sa pilla, apni maa ke isthano se dudh ka paan kar raha tha...

thodi hi si doorie pe mukhbir... jisse mein roj jaankar nazre milata hun... ki paan ki gumti pe rakha Radio... pe ek Gaana baj utha... 

"kisi disco mein jaye, 
kisi hotel mein khana khaaye,
koi dekhle na le humein yahan... 
badi door se aaye hum...
chalo ishq ladaye, chalo ishq ladaye,
chalo ishq ladaye Sanam"

anandmay hue, mere qadam eka-ek wahi usi jagah pe tham se gaye...

maile se fhate-purane jhola chhap kurte-pajame ke khaano mein haath ki ungaliyan na jaane kya dhundhane lagi...
paanch ka pitali rang wala sikka neeche pajame ki chor pocket mein mila...

main turant palta... Gaana gungunata hua...
tumhare makhmal se mulayam khawabon ko odhe main sadak ke kone wale chai ke thele pe pahuch gaya...
paanch ka sikka dete hue Amma se cutting chai mangi aur fir unki gyan ki do-chaar baaton mein kho gaya...
gaadiyon ke traffic ka shor dheere-dheere badne laga...

main honton pe ajeeb si muskaan liye ghar pahuch gaya...

- raj

Sunday, June 10, 2018

Radio...

Ghar ki chhat pe khade tooti hui railing ko pakde,
Main upper aasmaan mein jaate hue helicopter ko dekh-dekh khush ho raha tha...
Tabhi chhat ki munderi pe rakhe Radio mein gaana baj utha...

"... hm bande hai Pyar ke, maange sabki khair... De De Pyar... Pyar De De... Humein Pyar De...duniya wale kuch bhi samjhe hum hai prem deewana... De De Pyar De...

Amitabh-Jaya, Sharaabi movie...

Mann sweater ki tarah khawab bunne laga...

Tm left hand mein Whiskey ki aadhi bhari hui Bottle pakde Amitabh Sir ki tarah mere Ghar ke neeche khade... Usi Sharaabi movie andaaz mein thi
aur
Main ghar ki chhat pe upper Jaya Ma'am ki tarah khada nazara dekh raha tha...

Dur se Band-Baaje walon ki aawazein aa rahi thi..."

Gaana khatam hua...
Radio pe naya gaana baj utha...

Main fir aasmaan mein helicopter dekhane laga....
Raat kaali ho gai....
Fir bhor ho chali...
Main nukkad pe chai ki dukaan pe pahuch gaya...

- RaJ

Sapno ki Train ka Safar..

Har raat tum mere sapno ki train mein jabardasti sawaar ho jaati ho...

Har raat main sochata hun apne sapno ki train ki zanjeer kheech kar tumko baahein pakadkar kisi halt station pe utaar dun...

Ya chalti hui train se dhakka hi de dun...

Ya fir is Ishq wale coach se uttar kar tumko dushmani wale coach mein chhada dun...

Kabhi-Kabhi sochata hun khud hi is sapno ki train se chhalang laga dun...

Par kya karu tum bin yeh Sapno ki Train ka Safar poora hota hi nahi...

Bhor mein hi main nukkad wali chai ki dukaan pe pahuch jaata hun...

- RaJ