Monday, July 9, 2018

Shabd apna roop swayam dhar leta hai...

kehti hai Shabd apna roop swayam dhar leta hai...
bas aap Shabd japn mein rame rahe...

isi Vishwas ke saath... 
dekhana...ek din...
GuNn shabd bhi apna roop swayam bana lega...

RadhaSoami Ji...

- raj

Main aaina hu meri apni bhi kuch jimmedari hai...

NaaZ keh rahi thi...

Main roje poore kar rahi hui...
Kuch tumhare maslo ki wajah se adhure reh gaye the...

Waise keh do zamane se...

"Jhoot bolne ki use aadat hai,
Kahani gadne ki uski fitrat hai,
Jo sach bol de to raste asaan ho jaye...
Saamne uske manzil hai..."

"Main aaina hu meri apni bhi kuch jimmedari hai,
Tum lakh sahi mujhpar pathar uthao"

- Sultan

tohmate lagana to tumhari purani ada ho chuki hai...

tohmate lagana to tumhari purani ada ho chuki hai...
chalo koi aur tareeqa apnao mujhse peecha chhudaane ka...

mere sawalon se kab talaq nazarein churaogi,
ek na ek din to khayal aayega tumhe deewane ka...

aur

is dil mein ek kabristan basa hua hai...
12 saalon se mile zakhmo ko dafan kiya hua hai...
ab waqt aa gaya hai ek-ek kabron ko kholane ka...
tumse zakhmo pe marham lagwane ka...

- raj

Sunday, July 8, 2018

Chhora to apna bhola-bhala se, Chhori ne kar ditto kharab...

chhora to apna bhola-bhala se...
chhori ne kar ditto kharab...

nain-matakke-adaye karke chhore ko fhasa liyo...
raat bhar fone pe jagave...
meethi-meethi baatein karke lalchaye...
kabhi idhar ghumaave, kabhi udhar ghumaave,
na kharche apno baap ka koi daam...
chhori ne kar ditto kharab...

shaadi ke baad...
pehli hi raat so gulaam bana liyo...
jaane kaiso jaadu daalo...
ghar-baar chhudwa liyo...
chhora bhaaga-bhaaga fhire kabhi maiya-kabhi sasural ke dwaar...
chhori karo aaram...
chhori ne kar ditto kharab...

chhora to apna bhola-bhala se,
chhori ne kar ditto kharab...

- raj

Dekhne ko tasveer bhi nahi hai...

Ab to nazron pe bhi pabandi lagi hui hai...
Dekhne ko tasveer bhi nahi hai...

Pehle jab jee karta tha...
Kar leta tha uski shikayat usse...
Abhi tak yeh aadat maine badli nahi hai...
Dekhne ko tasveer bhi nahi hai...

Raat dheeme-dheeme dhalti thi Chand se, usse baatein karte...
Ab to Suraj ke intezaar mein Sehar hogi...
Apni to jugnuo se dosti bhi nahi hai...
Dekhne ko tasveer bhi nahi hai...

aur

Lab pyase rahenge...
Lab Sukhenge...
Labon pe papdi jam jayegi...
Peene ko ab aamras nahi hai...
Chumane ko ab tasveer nahi hai...
Dekhne ko tasveer bhi nahi hai...

- tumhara raj

kaun si dunia mein hu...

kaun si dunia mein hu...
kis ki nigehbaani mein hu...
Khuda tum ho ki nahi ho ya fir tilismi kahaniyon mein hu...

kal talak jo shaks mera tha
aaj Rab tera ho gaya...
abhi gale lagke ro lene do...
baad mein dekhenge kitne nafe-kitne nuksaan mein hu...

maut ka lamba safar asaan kaise ho sakta hai?
zindagi mein isi pareshani mein hu...

aur

logon ne duaein bhi mangi mere liye to ehsaan jataa ke...
Rab ne sari duaein thukra di unki...
main kabr mein bhi gaya... to bhi Khuddari mein hu...

- raj

Ameer ki ladki thi...

Ameer ki ladki thi...
Kam se kam Ishq nahi Daulat ke Maane to samjha hi gai...

aur

Tum amanat ho kisi aur ki...
to kisi aur ki hi sahi...
Tum raunak ho kisi aur ki haveliyon ki...
to kisi aur ki hi sahi...
Garib ko itna haq to do ki umeedon ka ek diya hi jala sake...

- raj