Sunday, July 15, 2018

Mere faisale to Khuda likhta hai...

Mere faisale to Khuda likhta hai...
Tumhe yeh gumaan hoga ki Tum Kuch Ho...

aur

Rahi zindagi ke karvatein badalne ki baat...
Kabr mein hun...
Kabr mein hun ab to chain se letane do...

- RaJ

Saturday, July 14, 2018

RSSB - Jab hum Satguru ka kaam karne mein lage rehte hai...

Jab hum Satguru ka kaam karne mein lage rehte hai to hamari duniyavi jaruratein apne aap poori ho jaati hai. Lekin jab hum duniya ke peeche daudate hai to hum saansarik hi nahi, balki roohani daulat ko bhi kho dete hai. 

radhasoami ji...

"agar tumhe kursiya hi chahiye to badaie ko hi apne ghar le aao" Isi prakaar agar hum parmatama ko apne 'ghar' le aaye to is dunia mein jo bhi humein chahiye milta rahega. Agar hum apne andar usko dhund le to uski sabhi daatein humein apne aap mil jayengi...

- Bade Maharaj Ji

O Raja... Aag lage tere Bangle mein...

O Raja... Aag lage tere Bangle mein,
Tu kyon na Kothe pe aaye...

Tak-Tak taakti rahi khadi main chhajjhe pe,
Tu kyon na nain ladaye...

O Raja... Aag lage tere Bangle mein...

Kotha mera tere bina suna hai,
Na naach hoye na hi baje basuri.
Tu jaldi aaja Raja, dono milkar Raas Rachaye...

O Raja... Aag lage tere Bangle mein...

Mashooqa se pyari tujhe Joru lage kya?
Jo tu raat Bangle pe bitaye...
Main tadpu Kothe par tere bin kaise rattiyan bitaye...

O Raja... Aag lage tere Bangle mein...
Tu kyon na Kothe pe aaye...

- RoMil RaJ

dilkash kahani...

badi hi dilkash kahani hai apne bigadne ki...
pehle pyar kar-kar ke khud hi bigaad dete hai...
fir Rab se shikhayat karte firte hai ki sudharta nahi hai...

- raj

RSSB - Darshan to ek shishya ki majboori hai...

Darshan to ek shishya ki majboori hai, vah apne priyetam ko lagataar dekhate rehna chahta hai. Humein yeh hisaab nahi lagana chahiye ki darshan ke fhalswaroop humein kitni roohani tarakki prapt hogi. Saccha darshan to apne aap ko darshan mein kho dena hai, bina kisi asha ya iccha ke apne aap ko Satguru mein leen kar dena hai. Satguru ki oor nirantar dekhate rehne ki vivashata hi darshan hai...

- Maharaj Ji

radhasoami ji...

Woh Sahi Insaan Dhundhane Nikle Hai...

suna hai Miya...
Woh sahi Insaan dhundhane nikle hai...
hum to Purane Khayalaton mein qaid hai...
na ufff, na aah karte hai...
Jiske saath Rab Ne Bana Di Jodi...
Usi ke saath zindagi beeta dete hai...

aur

Kya hota hai Rooh ka Sukoon... Pyar...

Kal maine ek Insaan ko Chhote se Masoom se Kutte ke Pille ko goad mein uthakar dularte hue dekha tha... pyar lootate hue dekha tha...

- RaJ...

Is galatfehmi mein mat raho tum...

NaaZ kehti hai... Inko ek mashwara de do...

andheri, kaali, daravani, sannata maarti raat ki kaalima ko bhi,
chand ki roshani dho deti hai...
are hum to fir bhi Suraj pe Safar karne wale hai...

aur

is galatfehmi mein mat raho ki tum hamare saath khel rahe ho...
Sach to yeh hai...
Hum khila rahe hai tumhe apne saath, to tum khel rahe ho...

hahaha...

aur

Randi ko Randi hi kehte hai...
Devi nahi...
Randiyon ke saath Dil behlaya jaata hai,
Unhe haveliyon ki raunake nahi banaya jaata hai...

#Romil Arora